Bullish Hammer Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish Hammer Candlestick Pattern
    Bullish Hammer Candlestick Pattern

    Hammer candle kisi bhi range ki single session candlestick hai, jo aik down-trend ke bilkul nechay zahir hota hai. Ye candle prices k bottom par aik strong support level banati hai, jiss k baad market main bulls active hona shoro ho jate hen. Ye candle trend reversal ki nishan-dahi karta hai, candle k real body k lower shadow aik ishara hai, keh sellers ne prices ko nechay le jane ki koshish ki, lekin din k ikhtetam k baad wo nakaam ho jate hen. Kuch chartists ke mutabiq, hammer candle ko pechle session ke ekhtataam ke waqfay ke sath bhi paish kya jana chahiye. Hammer candle ka nechla saya is ke real body ki lambai se kam az kam dugna hona chahiye.

    Click image for larger version

Name:	1.png
Views:	65
Size:	20.5 کلوبائٹ
ID:	12567930

    Candles Formation of Bullish Hammer Candlestick Pattern

    Hammer candlestick dekhen main dosre candles jaisi dekhaye deti hai, lekin prices k bottom par ya bearish trend main banne ki waja se aik strong bullish trend reversal ka kaam karti hai. Candle prices ko lower side par reject karti hai, jiss se maojoda trend badal jata hai. Ye aik single candle pattern hai, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai Hammer candlestick aik small real body wali candle hai, jiss k lower side par aik long shadow hota hai. Candle ka shadow candle k real body ka dungna ya uss se bhi ziada hota hai. Jab k candle k upper side par koi shadow nahi hona chaheye, lekin agara banta bhi hai, to bohut ziada large size main nahi hona chaheye, jiss se candle ki formate tabdeel hone ka hadsha ho.

    Click image for larger version

Name:	3.png
Views:	83
Size:	5.2 کلوبائٹ
ID:	12567931

    Explanation of Bullish Hammer Candlestick Pattern

    Hammer candlestick aik small real body wali single candle pattern hai, jo k lower side par aik lamba shadow ya saya rakhti hai. Candle ka saya hamesha candle ki real body se ziada hoti hai. Candle k baane ki pechay ki psychology kuch yon hoti hai, k jab bhi aik session ya aik din k dowran prices pehle downward movement karne k baad wapis apne open price k qareeb a kar close ho jati hai, jiss se candle k lower side par aik lamba shadow ya saya ban jata hai. Ye candle normal price chart par ziada moasar sabit nahi hoti hai, lekin candle ka trend k bottom par low price area main banne par bullish trend reversal ka kaam karti hai.

    Click image for larger version

Name:	2.jpg
Views:	37
Size:	51.1 کلوبائٹ
ID:	12567932

    Trading on Bullish Hammer Candlestick Pattern

    Hammer trading main buy ka signal genrate karti hai, jiss par market main confirmation k baad entry ki ja sakti hai. Candle ka long timeframe main hona zarori hai, jab k confirmation candle ak lazmi bullish real body main hona chaheye, jab k sath sath bullish candle ka hammer candle k upper par bhi close honi chaheye. Ye single candle pattern hone ki waja se indicator se bhi trend confirmation lena zarori hai, jaise RSI, MACD, CCI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main hona chaheye. Candle k baad bearish candle banne ki sorat main trade entry nahi karni chaheye. Candle par Stop Loss sab se top position ya candle k low price jo k trend k leye support zone banta hai, se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	4.png
Views:	41
Size:	18.3 کلوبائٹ
ID:	12567933
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bullish Hammer Candlestick Pattern

    Asslam o Alaikum, forex ky dosto kia hall han.
    Bullish hammer candlestick pattern support per banti hai jo k market mein reversal ka chance ka ishara hota hai agar Ham technical analysis ki baat karen to yah intha hi m candle Hoti hai yah candle price ke bottom per extra support level banati hai jiske bad market ke uthne ke chance hote hain upar jaane ke chance hote hain iske bad 61 banti hai aur yah ishara deti hai ki market off revers hone wali hai upar jaane wali hai to isko yahan se fayda uthane ke liye ja sakte hain aur jyada se jyada profit Kama sakte hain yah candle iske Naam hai isko hammer candle bhi kahate Hain hathaude ki shakal ki najar aati hai isliye isko hammer candle kahate Hain kuchh candle characteristics yad ke mutabik hammer candle ko Piche session se kam se kevak se ke sath hi paida ho jaati hai Ban jaati hai iske level ki body per staff lash lagakar aap ismein Bhai ki candle bike ke trade mein ja sakte hain.


    Click image for larger version

Name:	Bullish Hammer candlestick.png
Views:	4
Size:	2.4 کلوبائٹ
ID:	12431803



    Hammer candlestick yah candle hathaude ki shakal ki hoti hai aur iski chhoti si Badi aur lambi tel hoti hai yah candle police bhi ho sakti hai aur mere bhi ho sakti hai candle ka jo shad hota hai yah thoda lamba hota hai body ki rishwat isliye isko hanger kahate Hain isliye isko hammer kahate Hain jabki candle ke upar side per Koi Shadow Nahin hota lekin agar thoda bahut handlebar bhi jaaye to bahut jyada Nahin hota iske bad candle ki tabdili ka ishara milta hai aur market revers hone ke chance hote Hain

    اب آن لائن

    Working...
    X