Aslam O Alikum
Introduction
I hope all friends fine main ummid karta hun aap AP sab dost khairiyat se honge aur apna Kam samajhdari ke sath complete kar rahe honge ,,
What is harami candlestick patterns,
Harami Candlestick pattern aik Japanese candlestick pattern hai jo market main bullish aur bearish short term single produce karta hai. Harami Candlestick pattern price action ke direction kay hisaab say bullish ya bearish consider hota hai. Harami candlestick pattern 2 candlesticks par mushtamil hotaa hai. 1 candlesticks bullish aur dosri bearish hoti hai aur es hisaab say market ke bullish ya bearish direction ka andaza lagaya jaata hai. Neechy dee gai tasveer main aap bullish aur bearish Harami pattern dekh sakte hain.
Bullish Harami
1. Downtrend Ka aghaz karta hai
2. Pehli candlestick bari aur bearish hoti hai
3. Bari bearish candlestick kay baad us sy qadry choti bullish candlestick banti hai
What is Bearish Harami
1. Uptrend ka aghaaz karti hai
2. Pehli candlestick bari aur bullish hotii hay
3. Dosri candlestick choti aur bearish hoti hai
Trading With Harami Candlestick Pattern
Harami Candlestick pattern dono bullish aur bearish signals muhaiyah karta hai aur ye signal candlestick pattern kay zariye pehchaany ja sakte hain kay bullish hain ya bearish. Neechy dono pattern ke tasaveer aur details main aap kay sath share karne jaa raha hun jis main ye pattern aap clearly dekh sakte hain.
Example of Bullish Harami Candlestick Pattern
Oper dee gai tasveer main mulahiza kiya jaa sakta hai kay EURUSD pair par bullish harami pattern banny kay baad uptrend dobara sy jaari hua hai. Lekin ess baat ko bhee mad-e-nazar rakhna chahey kay tamaam Harami pattern reversal ke taraf ishaara nahi karte.
Exompletion
Dosto Jesa kay oper dee hui misaal main apne dekha kay bullish Harami pattern banny kay baad kiss tarha market ny move kiya to same ussi tarha market nay bearish pattern banny kay baad bhe matket ke movement dekhai hai. Lekin aik baat aur jo zehan nasheen karne ke zaroorat hai kay trading karte huy trading ka time frame, classic chart pattern aur price action ko dekh kar decision lain.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим