Detail discussion of inverted hammer and shooting star candlestick pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Detail discussion of inverted hammer and shooting star candlestick pattern
    Dear friends, Forex trading main kamyabi k liy candlesticks ki study zarori hai. Is main ap apny knowledge aur experience k sath kamyab ho sakty hain. Technical analysis skills, say ap ko kamyabi mil sakti hai. Technical analysis k liy candlesticks ap ki help krti hain.
    Aj main apni post main, ap say inverted hammer candlestick ka knowledge share krna chata hoon.

    Introduction of inverted candlestick:

    Inverted hammer candlestick pattern, aik single candlestick say banta hai. Yah aik trend reversal pattern hai. Yah candle downtrend k bad aik support level k oper banti hai. Ya daikhny me bilkul inverted hammer ki tarah nazar ati hai. Yah aik buht simple pattern hai jis ko identify krna buht asan hai.

    Identification:

    Is ki pehchan yah hai k is ki body chuti aur shadow oper ki taraf body say 2, 3 percent zayda hota hai. Is candlestick ki body itni chuti hoti hai k is ka close, is k open k pass hota hai. Aur high point, Kafi oper hota hai.

    Trading strategy:

    Dear friends, inverted hammer trend reversal ko show krti hai is ko daikhny k bad pata chalta hai k market main uptrend start hony wala hai. Is ki choti body indecision ko show krti hai. Is pattern ko daikhny k bad ap ko buy ki entry laini chaiy.

    Chart:

    Dear friends, main ap k sath is ka chart share kr ra hoon jis say ap ko is pattern ko identify krny main madad mily gi.

    Shooting star:

    Dear friends, jis Tarah inverted hammer aik important candlestick hai, isi Tarah shooting star bi aik buht important candle hai.

    Identification:

    Dear friends, yah aik trend reversal pattern hota hai jo ap ko uptrend k khtum hony ki information daita hai. Yah inverted hammer ki tarah nazar hai. Is ko identify krna buht asan hai. Is ki pehchan hai k is candlestick ko body chuti hoti hai aur shadow body say 2, 3 gunna lamba aur oper ki taraf hota hai. Is candlestick main open aur close pass pass hoty hain

    Trading strategy:

    Dear friends, yah pattern hamain aik uptrend k khtum hony ka btata hai. Is liy ager hamari already buy ki trade open hain to foran close kr daini chaiy. Is pattern ko daikhny k bad hamain sell ki trade lagani chaiy. Shooting star aik buht acha pattern hai agr ap kisi longer time frame me is ko study krny k bad trade krty hain to ap ki trade loss me jany k kam chances hoty hain.

    Chart explanation:



    Click image for larger version

Name:	download (25).png
Views:	25
Size:	5.3 کلوبائٹ
ID:	12565860

    Click image for larger version

Name:	download (24).png
Views:	6
Size:	3.6 کلوبائٹ
ID:	12565861Dear friends, ager ap chart ko carefully study karin to ap is pattern ko asani k sath samjh sakty hain aur apny knowledge ko improve krty howy profit hasil kr sakty hain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Detail discussion of inverted hammer and shooting star candlestick pattern

    Shooting famous character candlestick sample single candle sample hone ki waja se technical assessment essential bohut ziada istemal hone wala aik bearish fashion reversal pattern hai, jiss ko na sirf forex shopping for and promoting mein ziada istemal kia jata hai, balkay index, bands, aur cryptocurrency shopping for and promoting mein bhi is ka khasa use hota hai. Shooting big name candle charge motion buyers ko bullish ya bearish trend ke baad mumkina style reversal ko talaash karne mein madad kar sakti hain. Shooting famous person candle ki karkardagi ka inhisar selected time frame par hota hai, jab bhi ye candle prices ok pinnacle par banti hai, to ye mumkina bearish fashion reversal ka signal deti hai. Bearish taking snap shots large call candlestick dosre indicators k sath charges okay top par bearish fashion reversal ka adequate leye ziada mashahoor hai, jiss adequate contrary direction crucial bottom expenses fundamental hammer candle banti hai. Shooting famous person candle ok sath costs adequate pinnacle par aik hanging guy candle bhi identical hososeyat rakhti hai, jo bearish fashion reversal ka sabab banti hai, lekin shape essential shooting celebrity candle se mukhtalif hoti hai.

    Detail discussion of inverted hammer and shooting star candlestick pattern
    Dear pals asalamo alykum kesay hain ap sb umeed hay ap sb tk hon gay aur ap ka buying and selling week bhi acha ja rha ho ga.Aj hum shouting celebrity kar bray me bt krain gay.Technical evaluation me capturing star ko aik kisam okay reversal sample say taabeer kiya jata hay jo girti hui keemat ko display krta hay.Capturing famous person blkl wasa hi dikhai dita hay jasay inverted hammer lkn yeh nichay kay trend me paye janay kay bajaaye oper kay trend me jata hay aur is trah is ok mukhtalif asraat hoty inverted* hammer ki trah yeh aik candle say bna hota hay jis me small lower frame hoti hy jis small ya lower wick ni hoti aur aik long upper wick hoti hay jo decrease frame kay size say kam sy kam 2 guna ziyada hoti hay.Taking pictures star aik berish candlestick hay jis top shadow lengthy hota hay aur is ka shadow kam ya lower shadow ni hay din kay decrease hissay k qareeb aik small real frame hay aur yeh aik uptrend okay terrible zahair hota hay.Strengthen kay terrible aik shooting big name open day time very storngly upward thrust hota hay aur yeh woi buying strain show krta hay pichaly kai adwaar me dikha geya hay
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Detail discussion of inverted hammer and shooting star candlestick pattern

      Assalamu Alaikum Dosto!


      Inverted Hammer Candlestick


      Inverted hammer kisi bhi range ki single session candlestick hai, jo aik down-trend ke bilkul nechay zahir hota hai. Ye candle prices k bottom par aik strong support level banati hai, jiss k baad market main bulls active hona shoro ho jate hen. Ye candle trend reversal ki nishan-dahi karta hai, candle k real body k upper shadow aik ishara hai, keh buyers ne prices ko ooper le jane ki koshish ki, lekin din k ikhtetam k baad wo nakaam ho jate hen. Kuch chartists ke mutabiq, inverted hammer ko pechle session ke ekhtataam ke waqfay ke sath bhi paish kya jana chahiye. Inverted hammer ka oopri saya is ke real body ki lambai se kam az kam dugna hona chahiye.

      Click image for larger version

Name:	images (27).jpeg
Views:	15
Size:	11.0 کلوبائٹ
ID:	12446007

      Candles Formation


      Inverted hammer candlestick dekhen main dosre candles jaisi dekhaye deti hai, lekin prices k bottom par ya bearish trend main banne ki waja se aik strong bullish trend reversal ka kaam karti hai. Candle prices ko lower side par reject karti hai, jiss se maojoda trend badal jata hai. Ye aik single candle pattern hai, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

      Click image for larger version

Name:	images (37).png
Views:	32
Size:	5.3 کلوبائٹ
ID:	12446008

      Inverted Hammer Candle: Inverted hammer candlestick aik small real body wali candle hai, jiss k upper side par aik long shadow hota hai. Candle ka shadow candle k real body ka dungna ya uss se bhi ziada hota hai. Jab k candle k lower side par koi shadow nahi hona chaheye, lekin agara banta bhi hai, to bohut ziada large size main nahi hona chaheye, jiss se candle ki formate tabdeel hone ka hadsha ho.

      Explanation

      Inverted hammer candlestick aik small real body wali single candle pattern hai, jo k upper side par aik lamba shadow ya saya rakhti hai. Candle ka saya hamesha candle ki real body se ziada hota hai. Candle k baane ki pechay ki psychology kuch yon hoti hai, k jab bhi aik session ya aik din k dowran prices pehle upward movement karne k baad wapis apne open price k qareeb a kar close ho jati hai, jiss se candle k upper side par aik lamba shadow ya saya ban jata hai. Ye candle normal price chart par ziada moasar sabit nahi hoti hai, lekin candle ka trend k bottom par low price area main banne par bullish trend reversal ka kaam karti hai.

      Click image for larger version

Name:	TBDKxgLROk.png
Views:	15
Size:	16.6 کلوبائٹ
ID:	12446006

      CENTER] Trading [/CENTER]

      Inverted hammer trading main buy ka signal genrate karti hai, jiss par market main confirmation k baad entry ki ja sakti hai. Candle ka long timeframe main hona zarori hai, jab k confirmation candle ak lazmi bullish real body main hona chaheye, jab k sath sath bullish candle ka inverted hammer candle k lower par bhi close honi chaheye. Ye single candle pattern hone ki waja se indicator se bhi trend confirmation lena zarori hai, jaise RSI, MACD, CCI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main hona chaheye. Candle k baad bearish candle banne ki sorat main trade entry nahi karni chaheye. Candle par Stop Loss sab se bottom position ya candle k low price jo k trend k leye resistance zone banta hai, se two pips below set karen.

      Click image for larger version

Name:	images (36).png
Views:	34
Size:	13.0 کلوبائٹ
ID:	12446005

      اب آن لائن

      Working...
      X