Bearish Harami Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Harami Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Harami Candlestick Pattern


    Bearish harami candlestick pattern prices k top main banta hai, jahan par buyers ki ziada buying ki waja se market main bohut high area main trade kar rahi hote hai. Ye pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai. Ye candle ziada buying ki waja se bari white candle hoti hai. Pattern ki dosri candle aik small real body wali bearish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k real body main banti hai, yanni iss candle ka open aur close dono pehli candle k andar hote hen. Pattern ki dosri candle lazmi aik to bearish honi chaheye aur dosra ye candle real body main bhi small honi chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (12).jpeg
Views:	10
Size:	21.7 کلوبائٹ
ID:	12565521

    Candles Formation


    Bearish harami candlestick pattern two days candles par mushtamil hota hai, jo k bearish trend k baad prices ko bearish trend reversal main tabdeel karte hen. Ye pattern prices k top main banne par ziada asar dekhata hai, jiss main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (15).png
Views:	9
Size:	5.1 کلوبائٹ
ID:	12565522

    1. First Candle: Bearish harami candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices main maojood bullish trend ki alamat hoti hai. Ye candle white ya green color main hoti hai, jiss ki aik long real body hoti hai. Bullish candle buyers ki mazboti dekhati hai.

    2. Second Candle: Bearish harami candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, lekin ye candle aik small real body main hoti hai. Ye candle aik to bearish candle hoti hai, dosra ye candle pehli candle k andar open aur close hoti hai. Dosri candle ki real body black ya red color main hoti hai, jo k bullish trend reversal ka sabab banti hai.


    Explanation

    Bearish harami candlestick pattern price chart par buying k baad prices k top ya bullish trend k baad banne par brearish trend reversal ka kaam karta hai. Ye pattern dekhne main descending hawk pattern se melta julta hai, lekin dosri candle ki color ya format change hone ki waja se ye pattern uss se mukhtalif dekhta hai. Pattern two days ka mukhtalif colours par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k long real body main banti hai. Pattern ki dosri candle aik small real body main hoti hai, lekin ye candle bearish candle bhi hoti hai aur pehli candle k andar open aur close bhi hoti hai. Dosri candle ka open aur close same point par nahi hona chaheye, warna ye pattern bearish harami cross pattern ban sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (16).png
Views:	11
Size:	9.0 کلوبائٹ
ID:	12565520

    Trading

    Bearish harami candlestick pattern par market main traders k leye sell k signals hote hen. Pattern par trading se pehle market main prices ka high area ya bullish trend main hona chaheye, jab k pattern k baad aik bearish confirmation candle ka hona bhi zarori hai. Pattern ki trend confirmation technical indicators jaise CCI aur Stochastics oscillator se bhi ki ja sakti hai, jo k overbought zonr main hona chaheye. Pattern k baad bullish ya white candle k baane se pattern par trading se ihtiat karen, q k prices trade k bar akas bhi move kar sakti hai. Stop Loss pattern k leye zarori hai, jo k pattern k sab se highest ya pehli candle k top price se two pips above set karna chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (13).jpeg
Views:	21
Size:	26.4 کلوبائٹ
ID:	12565519
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bearish Harami Candlestick Pattern

    Bearish Harami Candlestick Pattern

    Dear forex members Bearish Harami pattern dusre Patron se different Hota Hai aur is pattern Mein different candlesticks Banti Hain aur Hamare liye in candlesticks ke bare mein information Hasil karna Jaruri hota hai ya candlesticks market Mein trade open karne mein Hamari bahut jyada help Karte Hain barrish Harami Patron ki madad se Ham acchi trade Lagane ke bad Ek Achcha prapt bhi Hasil kar lete hain is pattern ko Ham us Waqt acchi Tarah Se samajh Sakenge Jab hamare pass knowledge or experience hoga yah behtrin market mein bahut hi Achcha roleplay karta hai Iske information Hasil kiye bagair market Mein trade open karne mein main bahut acchi difficulties ko face karna padta hai apni trade se profit Hasil karne ke liye aur apne business ko Aage badhane ke liye Hamen market Mein maujud Tamam patterns ko understand karne ki jarurat hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	111.png
Views:	17
Size:	2.5 کلوبائٹ
ID:	12429400

    Trading with Bearish candlestick pattern

    1. Market man clear up-trend hona zarori ha.
    2. Relative Strength Index (RSI) ager over-bought ka signal de, to iska matlab ha k up-trend ka momentum khatam ho raha ha. Trader ko Relative Strength Index (RSI) 70 ki line cross-back kerna ka wait kerna chaheye aur yahen iski confirmation ha.
    3. Bearish Harami Pattern ager new high per hona sa market ka mazeed down jana ki confirmation ho jati ha.

    Click image for larger version

Name:	333.png
Views:	23
Size:	4.0 کلوبائٹ
ID:	12429401

    Types of Bearish Harami Candlestick Pattern

    Dear friends Humein apni Har tarha ki Forex trading se relevant information ko strong bnane ki koshish krni chaheye ta ky hum is information ka istemal kr KY khud ko ache level ka trader Bana saken aur is ky saath saath Hum asaani see market ko analyse krny mein Kamyab ho saken kyun KY jab tak hmara analysis acha nahi ho GA tab tak Hum ache entry point ko find nahi kr saken ge is market Mein bohat sare patterns banty hain Jin ko follow krna humein faida dy sakta hai.
    1.W pattern.
    2. Cup pattern.
    3. Flag pattern.
    4. Bearish harami pattern.

    Click image for larger version

Name:	222types.png
Views:	14
Size:	4.1 کلوبائٹ
ID:	12429402

    اب آن لائن

    Working...
    X