Identification of Support and Resistance levels...
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Identification of Support and Resistance levels...
    Assalamu alaikum dear forex friends I hope up sab khairiyat se honge dear forex market mein acchi running ke liye acchi knowledge aur experience ke sath sath discipline ke sath kam karne ki jarurat Hoti hai kyunki jab bhi aap fax market mein acche knowledge aur experience ke sath aur proper planning ke sath apna Kam karte hain to aapko uske acche advantages najar aate Hain dear friends aapko kabhi bhi forex market mein jaldbaji se Kam Nahin Lena chahie balki acche tarike se soch samajhkar apna order place karna chahie aaj Ham apni post mein support aur resistance level ke bare mein important information share karenge.

    Support and Resistance Level:

    Dear friends agar aap forex market ki movement ko acche tarike se carefully study karte Hain to kuchh level aise hote hain jinse market bounce back Hoti hai yah level sport aur resistance level kahlate Hain ine levels ko determine karne ke liye different methods use hote Hain jinki madad se ine per trading karna hamare liye bahut aasan ho sakta hai sport aur resistance level ke darmiyan jab Ham trading karte hain to ise Ham acche advantages Le sakte hain aaj ham sab se famous indicator ke bare mein baat karenge.

    Click image for larger version

Name:	Support and Resistance.png
Views:	9
Size:	18.2 کلوبائٹ
ID:	12565076

    Fibonacci levels:

    Dear friends forex market mein jab aap nasi level ko identify kar lete hain to aapko isase bahut acchi benefits available ho sakte hain kyunki fibonac replacement tools aapko Golden ratio ke hisab se market ke support aur resistance level ki information provide karta hai Golden reshon ke mutabik market mein 38.2% 50% aur 61.8 percent hote hain ine market levels ko market bahut jyada follow karti hai aur jab aap iske mutabik apni working karte Hain to aap market se achcha profit and kar sakte hain.

    Divisions of support and Resistance levels:

    Dear forex trading market mein kam kar rahe hote hain to use waqt level aur resistance level ke hisab se aur time frame ke hisab se ine levels ko do divisions mein divide Kiya jata hai.
    Major Levels
    Minor Levels

    Major Levels:

    Friends forex market ko jab bade time frame h for your D1 mein study karte hain aur vahan per aapko Koi level milta hai jisko market follow kar rahi Hoti hai to yah Ek achcha sport ya resistance level hota hai ise aapko Ek acchi trading entry milati hai jis per aap achcha profit Le sakte hain isliye trading mein hamesha major sports yaar resistance level ke upar apni working Karni chahie Taki market se achcha profit liya ja.

    Minor Levels:

    Dear friends agar H1, M30, M15 ke time frames mein market ko dekhen to aapko support aur resistance level milte Hain inko Miner sport resistance levels ka naam Diya jata hai in levels se bhi aap trading karte hue market se achcha profit Le sakte hain lekin ine per kam karne mein aapko thodi si difficulty mahsus ho sakti hai aur Is Tarah aap risky kam karte Hain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Identification of Support and Resistance levels...

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Support and Resistance


    Financial market hamesha supply aur demand k rules par chalti hai. Market main kisi assets ki value ya qeemat hamesha se aik hi position par barqarar nahi reh sakti hai, jab bhi uss ki demand barhti hai, to uss ki value main izzafa hota hai, value main izzafa hone se uss ki prices bhi increase hona shoro karti hai, jo humen line graph upward jata houa ya bullish candles bante howe dekhaye deta hai. Lekin iss k bar akas jab bhi kisi item ya assets ki demand value kam hoti hai, to uss k sayh hi supply main izzafa hona shoro hota hai, jiss se value main kami waqea hona shoro hoti hai, value main kami ka matlab hoga k qeematen kam hongi. Financial markets supply aur demand k rules k mutabiq chalti hai, jiss main kabhi aik increase hota hai to kabhi dosra, jiss se prices stable nahi rehti aur updown movement karti rehti hia.

    Click image for larger version

Name:	images (21).jpeg
Views:	2
Size:	24.0 کلوبائٹ
ID:	12428902

    Resistance Level


    Financial market main kisi assets k price chart par ye wo level hota hai, jahan par market main talab yani demand taqreeba khatam ho chuki hoti hai aur yahan par supply apne urooj par pohunch chuki hoti hai. Resistance level hamesha chart pattern par upward side par hoga, jo k aam tawar par supply zone se bhi jana jata hai. Iss level par assets ki mazeed talab kam ho jati hai aur ziada tar chances hote hen, k un ki ziada supply ki waja se qeematen yakdam ger jayengi. Ye area technical indicators par overbought zone show hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (26).png
Views:	3
Size:	6.3 کلوبائٹ
ID:	12428903

    Support Level

    Financial market main kisi bhi assets ka sab se kam qeemat area jahan par aksar ziada demand peda hone ka hadsha hota hai, jiss se qeematen increase hone ka hadsha hota hai. Iss position par supply bohut ziada ho chuki hoti hai, aur mazeed supply main kami waqea hoti hai. Ye zone price chart par support level bhi kehlata hai, q k aksar prices iss level se wapis ziada demand ki waja se upper jati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (27).png
Views:	3
Size:	10.1 کلوبائٹ
ID:	12428904

    Support and Resistance main Faraq

    Support aur resistance levels main aik wazih faraq hota hai, jin levels ko prices baar baar touch karke nechay gerti hai, wo levels resistance level hota hai, jo supply zone bhi kehlata hai. Jab wo zone jiss se prices baar baar upper side par movement karne ki koshash karti hai, lekin baar baar touch karne par bhi nechay nahi jati hai, to ye position support level hota hai, jiss ko demand zone bhi kaha jata hai. Resistance level par hamesha demand main kami waqea ho chuki hoti hai, jab k support level main hamesha supply ki kami hoti hai. Ye area prices k upper ya lower sides par breakout hone k chances hote hen.

    Click image for larger version

Name:	images (19).jpeg
Views:	2
Size:	28.2 کلوبائٹ
ID:	12428906

    Trading

    Financial market main aik aseets ki prices updown hoti hai, jiss se traders market main buy ya sell se entry karne profit hasil karne ki koshash karte hen. Traders hamesha resistance level ya supply zone par sell ki trades se entry karte hen, jab k support levels demnad zone par buy ki entry karte hen. Agar prices sirf aik mehdod support and resistance levels k darmeyan trades kar rahi ho to uss sorat main ye range trading hogi, lekin lazmi nahi hai k prices hamesha aik do levels k darmeyan hi trades karen, q k kabhi kabhi ye levels ya zone breakout bhi ho jate hen. Zone ya levels k breakout hone k baad prices new support and resistance levels create karti hai aur financial market ka silsela chalta rehta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (29).png
Views:	7
Size:	5.9 کلوبائٹ
ID:	12428907

    اب آن لائن

    Working...
    X