Assalamu Alaikum Dosto!
Tower Top Candlestick Pattern
Tower top candlestick pattern prices k top par sellers k market mian strong control zahir karta hai. Ye pattern bullish trend ki kamzori aur baad main ussi k bearish trend reversal ko zahir karti hai. Tower top candlestick pattern panch (ya uss se ziada) candles par mushtamil aik bearish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai. Ye candle prices k upward side ki teezi ko zahir karti hai. Pattern ki dosri candle bhi bullish candle hoti hai, lekin ye aik small real body wali candle hoti hai, jo k pehli candle k se above banti hai. Pattern ki dosri aur teesri candles small real body wali bearish candles hoti hai, jo open aur close same dosri small bearish candle k sath top par hoti hai. Pattern ki akhari candle bhi same bearish hoti hai, lekin ye candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, small candles ki nisbat lower par close hoti hai.
Candles Formation
Tower top candlestick pattern prices k top par banne wala panch candles ka aik bearish trend reversal pattern hai, jo bullish aur bearish candles ka majmoa hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Tower top candlestick pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k prices k sabeqa bullish trend ki alamat hoti hai. Ye candle long real body main banti hai, jo k white ya green color main hoti hai.
2. Second Candle: Tower top candlestick pattern ki dosri candle aik small real body wali bullish candle hoti hai, jo k pehli candle k top par banti hai. Ye candle prices k ziada teezi ko mazeed upper jane se rok leti hai.
3. Third Candle: Tower top candlestick pattern ki teesri candle aik bearish small real body wali candle hoti hai, jo k ziada tar ye candle dosri candle k top par banti hai. Ye candle color main black ya red hoti hai, jo k prices k trend ko tabdeel kar deti hai.
4. Fourth Candle: Tower top candlestick pattern ki chothi candle same small bearish candle hoti hai, jo k ziada tar dosri bullish candle k parallel banti hai. Ye small candle market main sellers ki dilchaspi barhati hai.
5. Fifth Candle: Tower top candlestick pattern ki akahri candle aik long real body wali bearish candle hoti hai. Ye candle teeno small real body wali candles k lower par open ho kar nechay ja kar close hoti hai. Ye candle taqreeban pehli bullish candle k parallel main banti hai, jo k black ya red color main hoti hai.
Explanation
Financial market Tower top candlestick pattern buyers k bohut ziada upper position trading main adam dilchaspi ki waja se banta hai. Ye pattern panch candles ka hota hai, jiss main pehli candle aik bari real body wali bullish candle hoti hai, jiss k baad teen small black and white candles banti hai, jo k prices ko waqti tawar par mazeed upper jane se rokti hai. Ye candles real body main small hoti hai, jo k ziada tar pehli bullish aur akhari bearish candle k top par banti hai, lekin upper side par candles k darmeyan main gap nahi banta hai. Pattern ki akhari candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k bearish trend reversal ka sabab banti hai.
Trading
Financial market Tower top candlestick pattern buyers k bohut ziada upper position trading main adam dilchaspi ki waja se banta hai. Ye pattern panch candles ka hota hai, jiss main pehli candle aik bari real body wali bullish candle hoti hai, jiss k baad teen small black and white candles banti hai, jo k prices ko waqti tawar par mazeed upper jane se rokti hai. Ye candles real body main small hoti hai, jo k ziada tar pehli bullish aur akhari bearish candle k top par banti hai, lekin upper side par candles k darmeyan main gap nahi banta hai. Pattern ki akhari candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k bearish trend reversal ka sabab banti hai.
Trading
Tower top candlestick pattern main small real body wali candles k dowran traders market se waqfa karte hen, jiss k baad sellers market main ziada active ho jate hen, jo aksar prices k trend reversal ka sabab banti hai. Tower top candlestick pattern main pehli aur akhari candles aik dosre k parallel main bante hen, lekin inn ki direction opposite hoti hai. Small teeno candles dono long real body wali candles k top par hoti hai, jo k prices k leye resistance level sabit hoti hai. Pattern par trading karne k leye aik bearish trend confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main lower par close hoti hai. Stochastic oscillator aur CCI oscillator par prices ka overbought zone hona chaheye. Stop Loss pattern k sab se upper top par ya teesri candle k high price se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим