Forex trading main "Contrarian strategy" ka use ...
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex trading main "Contrarian strategy" ka use ...
    Dear friends, contrarian trading strategy intra day trading main swing price action main possible hay, Is kay ilawah kai traders jab daikhty hain keh trend kafi long reh chuka hay aur ab jald he woh wapis aye ga to woh tab bhi contrarian trading strategy kay through trading karty hain

    characteristics of contrarian strategy:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20221022_0636_37_3951.jpg
Views:	1
Size:	7.9 کلوبائٹ
ID:	12564540

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20221022_0636_37_2750.jpg
Views:	1
Size:	5.7 کلوبائٹ
ID:	12564541

    Is strategy ka matlab yeh smjha jata hay kay market kay sentiments ya ongoing trends kay against trade karna, matlab jab maximum traders buying kar rahay hon to selling ki trade select karna aur jab dusray selling kar rahay hon to buying ki trade choose karna, is tarah contrarian traders yeh believe kartay hain jab dusray traders market kay up ya down honay ka kehtay hain to ye usi waqt kaha jata hay jab unkay pass mazeed buying ya selling ki power nhi hoti, unkay downturn prediction kay waqt wo already sold out ho chukay hotay hain aur market is point sa further up moment hi karti hay,

    Buying and selling process in contrary strategy:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20221022_0636_37_4672.jpg
Views:	1
Size:	13.8 کلوبائٹ
ID:	12564542

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20221022_0636_37_5423.jpg
Views:	1
Size:	29.9 کلوبائٹ
ID:	12564543

    Is main traders specific time main market kay sentiments kay against trade kartay hain, yeh us waqt market ki taraf atay hain jab dusray is kay opposite soch rahay hotay hain, aisay traders ko apnay fundamental anaylisis skills ko best banana hota hay ta kay wo pairs ki values ko accurately measure kar sakain, perfect anaylisis kay sath sath contrarian traders ko indicators aur tools ka bhi acha knowledge hona chaiay, Market kay opposite trade ma tab he success hoti hai jab trader kay analysis achy hon gay lihaza trader mukhtalif oscillator ki help sy market ki overbought or oversold state ko find kartay hain

    How to take benifits from this strategy:

    jab market aik long trend main ho to tab yeh kuch turning point laiti hay jis main ham reverse trading kar saktay hain dusra jab koi news anay wali ho aur market aik side per barh jaye to wahan per bhi reversal ati hay. Aisy time bhi ham contrarian trading say market ki favour lay sakty hain, jab market aik side par barhna start kar day aur ham say trend ki directional moment main entry miss ho jay to tab bhi market main reversal side main trading ki ja sakti hay.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    CONTRIAN STRATEGY IN FOREX TRADING Contrarian Strategy ek approach hai jismein traders trend ke against trade karte hain. Yani ke jab market majority se ek direction mein ja raha hota hai, toh contrarian traders opposite direction mein trade karte hain.Contrarian traders ka maqsad hota hai ke woh market sentiment ke against trade karke unexploited opportunities ko capture karen.Yeh strategy unko woh points dikhata hai jahan majority traders ka sentiment galat ho sakta hai. SENTIMENT ANALYSIS OF CONTRIAN STRATEGY Contrarian traders market sentiment ko closely monitor karte hain. Agar majority long positions mein hai, toh contrarian traders short positions le sakte hain, aur vice versa.Contrarian traders price extremes par focus karte hain. Agar market overbought ya oversold ho raha hai, toh yeh unke liye potential reversal points ho sakte hain.Traders ko market analysis aur sentiment ke dynamics ko samajhne mein mahir hona chahiye. TRADING STRATEGY Contrarian traders trend ke against trade karte hain. Agar market bullish hai, toh woh short positions le sakte hain, aur agar bearish hai, toh long positions le sakte hain.Contrarian Strategy ka istemal woh traders karte hain jo believe karte hain ke market sentiments mein errors hote hain aur majority traders kabhi-kabhi galat direction mein jate hain. Confirmation Indicators Confirmatory indicators ka istemal karna important hai contrarian strategy mein. Yeh indicators contrarian signal ko verify karte hain.Contrarian strategy high risk wali ho sakti hai, is liye risk management ka behtareen istemal karna zaroori hai.Traders ko market analysis aur sentiment ke dynamics ko samajhne mein mahir hona chahiye.Contrarian Strategy ka istemal woh traders karte hain jo believe karte hain ke market sentiments mein errors hote hain aur majority traders kabhi-kabhi galat direction mein jate hain.

    اب آن لائن

    Working...
    X