Assalamu Alaikum Dosto!
Falling Three Pattern
Falling three methods price chart par prices k downtrend main continuation k leye jana jata hai, jo k low prices ya bearish trend k baad banta hai. Falling three methods panch candles par mushtamil aik bearish trend continuation pattern hai, jiss main shamil pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jo aik long real body main banti hai. Pehli candle k baad teen small real body wali bullish candles hoti hai, jiss ka open aur close dono pehli candle k andar hoti hai. Ye teeno candles pehli candle k open aur close price se bahir nahi nekate hen. Teeno bullish candles prices ko waqti tawar par mazeed bearish jane main rukawat dalti hai. Pattern k last par aik aur long real body wali candle hoti hai, jo k prices ko sabeqa trend main continue karwati hai.
Candles Formation
Falling three methods trend bearish continuation pattern ki waja se prices k downtrend ya newly bearish breakout trend main banta hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hote hen;
1. First Candle: Falling three methods ki pehli candle aik bearish candle hoti hai. Ye candle aik long real body main banti hai, jiss k upper aur lower side k wicks ya shadow real body se kam hona chaheye. Ye candle bearish trend ki alamat hoti hai, jo k black ya green color main banti hai.
2. Second Candle: Falling three methods ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jiss ki real body bohut small hoti hai. Ye candle pehli candle k real body main bottom par banti hai, yanni candle ka open aur close pehli candle k andar hota hai.
3. Third Candle: Falling three methods ki teesri candle bhi aik real body wali bullish candle hoti hai, aur same dosri candle ki tarah small bhi hoti hai, jiss ka open aur close pehli candle k andar hota hai. Ye candle dosri candle k nechay aur pehli candle k real body main banti hai.
4. Fourth Candle: Falling three methods ki forth candle bhi dosri aur teesri candle ki tarah bullish bhi hoti hai aur small real body main hoti hai. Ye candle teesri candle k baad upper banti hai lekin ye candle bhi same dosri aur teesri bullish candles ki tarah pehli candle k andar hota hai.
5. Fifth Candle: Falling three methods ki last candle bearish hoti hai, jo k pehli candle ki taqreeban parallel main banti hai, lekin open forth candle k baad hoti hai, jab lower side par ja kar close hoti hai. Ye candle black ya red color main hoti hai, jo k bearish trend continuation ka kaam karti hai.
Explanation
Falling three methods main dekhne main same "Bearish Mat-hold pattern" ya bullish trend par banne wala "Bearish Three Line Strike Pattern" se melta julta pattern hai, jo k downtrend k leye istemal hota hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jo k downtrend ki alamat hoti hai. Pehli candle k baad teen small real body wali bullish candles hoti hai, jo k open aur close pehli candle k andar hoti hai. Ye small candles prices ko temporary tawar par bearish jane se rokti hai, jiss se prices k dowran waqti tawar par pause a jata hai. Lekin baad main aik bari real body wali bearish candle banti hai jo k prices ko downward main continue karwati hai.
Trading

Falling three method candles k downward trend main aik pause create kati hai, jiss k baad prices wapis apni sabeqa trend par chal parti hai. Ye pattern panch candles ka aik majmoa hai, jiss main pehli candle aik bearish candle hoti hai, jab k baad wali teen candles small real body wali bullish candles hoti hai, bullish candles dar asal market main analyst ki prices k bare main agli faisala ka time hota hai, k aya prices ko kiss direction main jani hai, lekin last par aik long bearish candle k banne se ye wapis pane porane trade par chal parta hai. Pattern par trades open karne se pehle aik agli bearish candle ka intezar zaror karen jo k sell k entry k leye hona chaheye. Stop Loss pattern k top side ya pehli bearish candle k open price se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим