Asslam.u.Aliakum Dosto...
Umeed hai ap sab theek hon gy dosto ziyada tar traders forex trading main apni trade us waqt active krte hain jab market kisi resistance level ya support level ko breakout krti hai isliye aj main apse breakouts k bary kuch information share krta hun.
Types of Breakouts:
Forex trading me chart pattern par trading k dowran qeematon ka breakout hota rehta hai. Breakout currency pairs pe trading k dowran un ki supply aur demand me tabdeeli k bare me batati hen. Ye tabdeeli market k qeematon ko kisi aik side pe move karwati jahan pe traders k pas profit hasil karne ki opportunity hoti hai. Breakout aik bohut important factor hai, q k qeematen kabhi bhi hamesha aik hi position pe trades nahi karti. Jab bhi qeematen kisi range k darmeyan makhsos peroid tak trade kar jaye to us k baad wo lazmi kisi aik semat pe chalna shoro karti hai, jis k breakout kaha jata hai.
Forex trading me qeematon k main breakout do qisam k hote hen:
Continuation Breakout
Reversal Breakout
Continuation Breakout:
Baaz awqat jab qeematen kisi aik side pe ziada movement kar jati hai, to market aksar kuch waqat k leye sans (rukh jati hai) leti hai. Aisa us waqat hota hai jab buyers aur sellers ye dekhne k leye rukh jate hen k agay kia karna hen, jis k result me qeematen "Istehkam (Consolidation)" kar jati hai, yani apni movement mehdod ya pause kar deti hai. Is dowran agar trader ye faisela karte hen k pehle wala trend thek tha, aur qeematon ko usi semat me mazeed agay jana chaheye, to is ka result aik tasalsul (continuation) ka breakout hota hai.
Reversal Breakout:
Tasalsul (continuation) breakout ki tarah reversal breakout k leye bhi market me qeematon ka aghaz aik long term trend me same hi hota hai, lekin jis position pe traders (buyers aur sellers) ye dekhte hen k agay kia karna hai, aur wo faisela karte hen k qeematon ka pehle wala trend thek nahi tha, is leye is ko wapis jana chaheye, to result k tawar par reversal breakout hota hai.
False Breakout:
False breakout us waqat hote jab bhi qeematen kisi khas level (support, resistance, triangle, trend line, etc.) ko breakout karti hai lekin us semat me agay nahi barhti (chalti) hai. Ye breakout aksar aik chote (small) spike ki sorat me hota hai, jis k baad qeematen wapis apne trading range me chali jati hai.
Breakout Types as a Directions:
Forex trading me aam tawar par qeematen do sematon me se ksis aik semat ki taraf breakout kar jati hai, jis ki tafseel darja-zel hai;
Bullish Breakout [Upward Breakout]
Bearish Breakout [Downward Breakout]
1. Bullish Breakout [Upward Breakout]
Bullish breakout us waqat hota hai jab bhi qeematon continuation ya reversal breakout k baad upward move karna shoro kar deti hai. Continuation breakout me to qeematen pehle se hi bullish trend me hoti hai lekin reversal breakout me qeematen bearish trend se bullish me badal jati hai.
2. Bearish Breakout [Downward Breakout]
Bearish breakout me qeematen continuation ya reversal breakout k baad lower ya downward chalna shoro kar deti hai. Continuation breakout me qeematen to pehle se hi bearish hoti hai lekin reversal breakout me qeematon k trend bullish se bearish me badal jata hai

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим