trade krte hue ager light chali jay to ap kia krte ho ????

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #91 Collapse

    Dear electricity load shedding to puray pakistan ka masla hai. aur agar trading k doran light chali jaye to wakai problem hai. iss k liye ap k pas ups hona zarori hai ya phir ap k pas laptop ho aur internet device connections takay load shedding apko trading k doran disturb na karay. Aur aik aur ahama baat wo ye k jab bhi ap kisi bhi currency pair ka order place krtay hain to stop loss aur take profit lazmi use kia karain, takay agar rate take profit ko hit kr jaye to apko profit aur agar stop loss ho hit kr k cross kr gaya to apko zayada loss na ho.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #92 Collapse

      Dear awal toh ap short trader na bano always trade long ayr apni study ko muzboot karo jinta apka knowledge acha hoga apko loss ke kam chances hongay secondly main yeh kahon ga ke hamesha TP aur SL ko use kia karein takay agar takay apko loss kam se kam ho, aur agar ap aisa bhi nahi kae sakte toh laptop se trade kia karein yeh best solotion hai.
      • #93 Collapse

        Dear during the trading if light is gone than use the already alternate in the shape of UPS, for better to save yourself for is use ups for save your money and time in the forex trading . If you have no problem than use the labtop for the trading purpose and no proble of light
        • #94 Collapse

          mein ne tading ki tu nai hai but mein jaha karta tha pehlay waha per trading karty light bhi chali jaye tu uski lot chalti hi hoti thi but jab light ati hai tu kabhi kabhi us mein say profit a jata hai tu kabhi loss agar market na ziyada uper nichy ho waha say tu
          • #95 Collapse

            bhai jan agr trade karty hoa l8 chali jae to oska w8 na kia karain balky ap tp laga dia karain ta k jb market ap k tp ko hit kary to apki trade band ho jae
            • #96 Collapse

              kuch nahi kartay bus light ka intezaar kartay hain. lekin meine ab laptop la lia hai. mera kaam buhat easy hogya hai. sab ko chahiye k agr vo afford kar saken tau laptop hi la len phr aapko koi tnsn nahi hogi light ki taraf se.
              • #97 Collapse

                اصل پيغام ارسال کردہ از: staruit
                G agar aisa hua tha aap k sath to its really bad, iss situation main I think traders ko laptop use kerna chahiye or internet connection wo use kerna chahiye jis k liye bijli ki zarurat na ho jaise k ajj kal jo usb interner devices chal rahi hain.
                Jee bhai jaan sahi baat hai agar hum achi trading kar rahe hain to hume chayye ke hum laptop ko use karen taake light ka issue na ho aur internet connection evo wagera use karen......
                 
                • #98 Collapse

                  ya bhi aik big problem hai pakistan mein kyun k light bhut jati hai aur muj ko kafi dafa easa he loss howa hain k main trading kar rha tha aur light chali gy jis ki waja se forex mein jo bhi trading mein ne ki thi us ko main nahi dekh ska aur mari profit thi wo loss mein chali gy light ana tak
                   
                  • #99 Collapse

                    yes bahi si emin ap ny sahi kaha k humko kia pta hota hy k kab light chali jae is mein ager ap trading kar rahen hen aur light chali jae toap ko chahye k ap jab trade karo to is mein ap usi time stoploss aur take profit use karo to is mein light bhi chali jae to is emin koi tention nahi leny chhaye.
                    • #100 Collapse

                      salam dosto,pakistan ma lite ka bht zuyuada problem ha or ham trade karty wqat lite chali jaye to gussa bht ata ha lekin apko timing asi rakhni cahhye jis ma lit 2 ya 3 hours rhy or jb ham kam kry to hamar focus work pa hina chahye is sa ham lite sa phly apna kam katham karly.
                         
                      • #101 Collapse

                        my dear friend jab hum trading karte hai aur os waqt bijli chali jaye to hame bijli ka intizar karna chaiye . dear pehle to jo log trading trading karte hai os ke paas UPS ka system hota hai . aur dosra os ke pass laptop ka hona chahiye . aur tesra agar aap ne stop loss aur take profit lagaya hai to aap ko fikar karne kee zarorat nahi
                        • #102 Collapse

                          load shading is a very big problem for many traders specially from our country. it is a very bad situation when electricity interrupt our trading. we should have an alternative system to run our trading.
                          • #103 Collapse

                            mere khayal me agar light chali jaye to uska best hal ye h k ya to ham koi esa mobile phone len jis me trading software install ho jaye ya phir dosra hal ye h k ups le liya jaye jis ki itni capacity ho k computer easily chal jaye 1 y 2 ghante light aane tak.
                            • #104 Collapse

                              dear me to laptop se karta hon or mere pas net bhi evo usb hai jo k laptop me lage rehti hai to muje darr nahi rehta light ka bhi or dosri baat ye kahon ga ager ap ko pata ho k light jane ka time hogaya ha or trade bhi chal rahi hai to ap wahan take profit laga dein or stop loss bhi pher apko nuqsan nahi hoga loss bhi kam hoga or profit bhi hua to khud he ajaye ga
                              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                              • #105 Collapse

                                Dear, Trade karty hwy agr light ka problem aa jaye ya aap ko pata hokay light chali jani hay to aap ko Take profit aur stop loss ko use karna chaeye. Take profit aap kay profit ko save kar leta hay aur Stop loss aap kay loss ko mazeed barhny nhi deta .

                                اب آن لائن

                                Working...
                                X