Bearish In-Neck Line Candlestick Pattern
Assalamu Alaikum dear forex member,
Bearish In-Neck Pattern
Dear members, bearish in-neck candlestick pattern two days candlestick par mushtamil aik bearish trend continuation pattern hai, jo k prices k downtrend ya bearish trend main banta hai. Pattern ki khas baat ye hai k ye pattern dekhne bhi same dosre two days candlestick pattern ki tarah bullish aur bearish candles se mel kar bana hai, lekin bajaye trend reversal k ye pattern trend continuation ko ziada tarjeeh deta hai, jiss se prices same sabeqa trend ko hi follow karna shoro karti hai. Pattern ki pehli candle aik strong aur long real body main black ya red candle hoti hai, jab k dosri candle bhi real body wali hoti hai, lekin ye candle aik to bullish hoti hai, dosri ye candle black candle se below gap main open hoti hai.
Candles Formation
dear forex, bearish in-neck candlestick pattern same format main banta hai, jiss tarah se piercing line pattern pattern hota hai, lekin faraq sirf dosri candle ka small size main banna aur dosra ye candle pehli candle k midpoint se below close hoti hai, pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bearish in-neck candlestick pattern main banne wali pehli candle aik strong aur long real body wali black ya red yanni bearish candle hoti hai. Ye candle bearish trend ki continuation ko zahir karti hai, jo k pehle se hi prices main maojood hota hai.
2. Second Candle: Bearish in-neck candlestick pattern ki dosri candle white ya green yanni bullish candle bannti hai, jo k size main pehli candle se umoman small hoti hai, lekin zarrori nahi hai, k aisa hi ho. Ye candle pehli candle se below gap main open hoti hai, jab k close pehli candle k real body main hoti hai. Bearish candle ka close point pehli candle k midpoint ya 50% ko cross nahi karna chaheye.
Explanation
Bullish in-neck candlestick pattern dekhne main same dekhne main piercing line pattern jaisa hota hai, lekin dosree bullish candle ka close point pehli candle k midpoint ya 50% se below hota hai. Ye trend continuation pattern hai, jo k prices k bottom ya bearish trend main banta hai. Ye pattern trend reversal pattern k muqabele main ziada kamyab rehta hai. Pattern ki pehli candle aik long real body wali hoti hai, jo k bearish trend ki alamat hoti hai. Jab k dosri candle size main pehle candle se kam hoti hai, jiss ka open price pehli candle se below gap main hota hai aur closing price pehli candle k midpoint se thora sa nechay hota hai. Pattern ki dosri candle agar pehli candle k closing price se pehle close hoti hai, to ye pattern bearish on-neck pattern ban jata ahi, jiss ki bhi same bearish trend continuation wali haseyat hoti hai.
Trading
Piyary dosto, bearish in-neck candlestick pattern main dosri bullish candle pehli bearish candle k midpoint ya 50% hese ko cross nahi karta hai, iss waja se ye candle ziada mazbot ya moasar nahi hoti hai. Bullish candle piercing line pattern ki tarah pehli candle se below open hoti hai, lekin buying pressure ki kami ki waja se pehli candle k midpoint ko cross nahi kar pati hai. Market main ya to selling pressure ziada hota hai, aur ya buying pressure kam honne ki waja se qeematen ziada taqat se bullish nahi jati. Pattern par trading se pehle confirmation candle ya indicator ka honna zarori hai, jo k aik teesri bearish candle ho sakti hai. Ye pattern newly bearish breakout trend par ziada kamyab rehta hai. Teesri candle k baad market main sell ki entry ki ja sakti hai. Jab k Stop Loss pattern ki pehli candle k top par set hoga.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим