Details of Support and Resistance in Forex Trading.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Details of Support and Resistance in Forex Trading.
    Assalamu Alaikum! dear member Main ummid Karti hun, aap sab khairiyat se Honge aur Apna Achcha kam kar rahe Honge. Jab aap ismein kam karte hain to aapko daily ka target complete karna hota hai aur hard work ke sath kam karna hota hai. agar aap ismein hard work Nahin Karenge to aap kabhi bhi successful trading nahin kar sakte, isliye aapko market Mein different important analysis per completely study Karni chahie aur Market ko acchi tarike se focus karna chahie jitne acchi analysis ke sath aap is market Mein trading Karenge aapko itna hi Achcha result milega. main aaj aapse bahut hi important information share karungi, jo aapki trading ko profit table banaa sakti hai to Mera topic hai support and resistance level kya hai Ham ine per Kaise Samajh Kar trading Mein best entry Lekar profitable ho sakte hain.

    Support And Resistance:

    Support and resistance level bahut jyada important point Hai Jahan per supply aur demand ki forces milati Hain market ki nasihat aur supply aur demand katwayan Karte time technical analyst in support or resistance level ko bahut important samajhte Hain Jab Bhi yah support aur registers level break out Ho Jaati Hai To yah Samjha jata hai ki supply aur demand ki forces jinhone ine Hathon ko banaya hai Mamta Kel Ho Gai Hain Aisi condition Mein naye support aur resistance level ke banne ke iMakan Hote Hain.

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-09-29T124449.037.jpeg
Views:	10
Size:	26.0 کلوبائٹ
ID:	12560449

    Support:

    Support V level Hai Jahan per demand Itni strong Hoti Hai Ke stock ko Majid down Girne se rokati hai support Saat per price Ke Niche Mein dushwari Hoti Hai yah is vajah Se Hoti Hai Ki Jab Bhi price girti hai aur support level ke kareeb aati hai to market Mein buyers kharidne ki taraf Jyada Mile Ho Jaate Hain aur sellers market mein jyada kam mutahrik Hote Hain.

    Resistance:

    Resistance vah Sath hoti hai ki Jahan se supply Itni majbut hoti hai ki stock ko Majid Apar Jaane Se rokati Hai Jab Bhi Kisi stock ki price resistance level ke kareeb Jaati Hai To usko Jyada Apar Jaane Mein difficult pesh Aata Hai Iski vajah se yah Hai Ki Jaise Jaise price resistance level ke kareeb pahunchti Hai To seller Sel karne ki taraf Mile Ho Jaate Hain aur khariddar Market Mein kharidne ke liye kam dilchaspi dikhate Hain.

    Psychology of Support And Resistance:

    Support aur resistance Ke Piche market ki kya nafsiyat hoti hai vah aapke darja zail example ki madad se Samjha jaega.

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-09-29T124434.359.jpeg
Views:	23
Size:	44.7 کلوبائٹ
ID:	12560450

    Support Example: buyers ka Ek group support area Mein stock ko khareed Rahe hote hain Agar Yahan per support level $50 ka hai buyers 50 per Kuchh stock ko bye karte hain aur price se Jahan se move kar 55 dallar per Chali Jaati Hai Is per buyers Kuchh Hote Hain aur vah Majid 50 dollar per stock kharidna chahte hain lekin 55 dallar per Nahin to vah decision Lete Hain Jab Bhi price Wapas $50 per Jayegi to vah Masjid stock ko bye Karenge Yahan per vah 50 dollar per demand set karte hain ab Ek dusre traders ko group aisa hai jo ki $50 per stock ko kharidne per hai lekin 55 dallar per stock janne ki vajah se vah 50 dollar per stock bye na Karen aur decision leta hai ki Jab Bhi stock Wapas $50 per Jayegi to lajmi buy Karega.

    Resistance Example: resistance ki example mein bhi Ham stock hi maujuda price $50 hi tasawar karte hain aur buyers stock ko $50 per bye karte hain ab Agar price $50 se 55 dallar per Chali Jaati Hai To traders koshish Karte Hain Ki vah stock ko 55 dallar per Sel kar den bajay Iske ke yah Wapas $50 per Aaye Aur maximum traders Aisa Hi karne ki koshish Karte Hain Jab bahut jyada mikedar Mein market Mein sellers ke liye pesh hoga to price Wapas support level ki taraf Chalna start Karti Hai stock per teen type ke group ka bahut jyada pressure padane ki vajah se stock 50 dollar ke level Se Wapas mud Jaati Hai Lekin 50 dollar per Dobara demand Jyada hone ki vajah se price Majid down Nahin Jaati Hai.

    Support And Resistance Role Reversal:

    Technical analysis Mein Ek key concept hai ki Jab Bhi price support aur resistance level ko break out Karti Hai To iska roll reversal ho jata hai Agar price support level se down Aati Hai To vah level resistance Ban Jaega aur Agar price resistance level se upar Jaati Hai To yah Aksar support level ban jata hai jesy jesy Price support ya resistance level se Gujarti Hai To yah Khyal Kiya jata hai ki supply aur demand Mein tabdili I Hai Jiski vajah se yah tabdili reversal roll karti hai.


    Click image for larger version

Name:	download (23).jpeg
Views:	9
Size:	6.4 کلوبائٹ
ID:	12560451
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Support and Resistance
    Technical analysis market main stock ki musttaqil ki qeemmat ka tayyun karne k leye bohut sare tasawaraat ya concepts ka istemal karte hen. Jab bhi stock ki qeemat pehlle se tay shudda qeemat k points se takra jatti hai, to wo ruk jatti hai, aur pher mukhalif semmat main harkat karnne lagtti hai.
    1. Support level: Ye wo satah hai jiss par stock ki qeemat mazzeed nechay nahi atti hai. Yahan se qeemat k bounce back ya bullish janne ka imkaan hai. Ye aik aisee satah hai jahan buyers ki demand sellers ki nisbbat bohut ziadda honne ki ummeed hai.
    2. Resistance level: Ye satah support level ki opposite kaam karta hai, jisbmain qeemat aik khas upper had se mazzeed upper nahi jatti hai. Stock ki qeemat k is point par buyers ki jagah sellers se market main ziadda dilchaspi ki tawaqqa hotti hai.
    Support Level Kia hai?
    Candlesticks Pattern par support aur resistance levels ki nishan-dahi karnne se aap market main buy aur sell trades k leye apnna haddaf muqarrar kar sakte hen. Support price wo qeemat hotti hai, jiss par aap sellers ki nisbbat market main bayers ki ziadda dislchaspee dekh saktte hen. Support levels par trades ki market main stock k leye demand barh jatti hai, jiss se prices ki wapis morne ki tawaqqa hotti hai. Support levels par stocks ki qeematen gerr jatti hai, jiss se market main is ki demand main izzafa hotta hai.
    Resistance level kia hai?
    Candlesticks chart pattern par resistance wo satah hotti hai, jahan par buyers ki jaggah sellers market main ziadda mutaharek ho jatte hen. Ye market main qeemat ko mazzeed upper janne se roktti hai, aur us stock k leye ziadda se ziadda demand peda kartti hai, jiss se market main selling pressure par jatta hai. Resistance level se upper par ye selling indicator k tawar par kaam kartta hai. Resistance level support k opposite par prices k top area main trading kartti hai.
    Breakout in levels
    Support aur resistance levels trader ko market mein kisi stock ki qeemat ki up down harkat ka aik idea detta hai. Lekin ye zarrori nahi hai, k qeematen sirf inhen do levels ki darmeyyan hi upper nechay hongi, bulkeh ye levels breakout bhi ho saktti hai. Jab bhi aisa hotta hai, yanni support aur resistance levels breakout ho jatti hai, to aik nayye support aur resistance levels bantti hai. Jab bhi support level breakout ho jatti hai, to qeematen uss waqqat tak downward harkat kar rahee hotti hai, jab tak wo aik naye support level na banna de. Isis tarah se jab bhi resistance level breakout hotti hai, to qeematen uss waqqat tak blish ya uptrend par chal rahee hotti hai, jab tak k wo aik nayye resistance level na banna de.
    Reliability of Support & Resistance
    Support aur resistance levels prices k leye buy aur sell k indicator ka kaam kartte hen, lekin app ko iss par mukamal inhissar nahi karnna chaheye. Dosree taraf wo sirf indicators hen, aur koi bhi indicator 100% reliable nahi hotta hai. Support aur resistance ko buy aur sell k leye istemal karnne se pehle market ki achi tarah se confirmation kar leyya karren.
    Use in Technical Analysis
    Forex trading market main aik trader k leyye stock ki aggli mumkina qeemat maloon karna technical analysis main sab se aham aur mushkil kaam hai. Financial markets main ye mumkinn nahi hai k har daffa hi humari high ya low prices k bare main analysis perfect hon. Is waja se support aur resistance ka concept qeemat k movement k barre main kaffi achih malomat faraham kartta hai. Support aur resistance k levels traders k leye trends ki nishan-dahi karnne aur trade entry main maddad kartti hai. Aggar trader dekhtta hai k aik khas stock support level par a gayya hai, to wo market main buy ki entry kar saktta hai. Is ki waja ye hai k matlobba stock ki demand main izzafa mumkin ho saktta hai, jiss se us ki value main izzafa ho saktta hai. Isi tarah jaise jaise stock resistance level ki tarraf ki taraf barhta hai, to traders sell karne se faida hasil kar saktta hai. Jab bhi stock ki qeematen support aur resistance levels tak pohunchi hai to us waqqat bohut ziadda muhtat rahen q k in levels par volitilety bohut ziadda ho jatti hai. Support aur resistance level traders ko trend ki nishan-dahi aur is se faida hasil karnne ka muqqa faraham kartta hai. Ye baat zehen nasheen karr len k stock aggar in levels tak pohunchti hai to is ka matlab ye nahi hai k wo lazzmi reversal jayegi, bulke ye breakout bhi ho saktti hai, is waja se analyst k tawar par aap ko sirf in levels par mukamal inhisar nahi karna chaheye.

    اب آن لائن

    Working...
    X