Aslam o alaikum
Introduction
I hope all friends fine main ummid karta hun aap AP sab dost khairiyat se honge aur apna Kam samajhdari ke sath complete kar rahe honge ,
Rising Window Candlestick Pattern kia Hy
Rising window patteren aik bullish trend continuation pattern hai, lekin baaz dafa ye double market sentiment analysis k leye bhi jani jati hai, pehli aik bullish impulsive lehar hai, aur doosri bearish price ki trend reversal hai. Yeh pattern aam tawar par supply and demand mein bullish trend ka tasalsul pattern hai. Rising window patteren main do bullish candlestick is baat ki numaindagi karte hen k buyers walay market k ooper mukammal control mein hen, jiss se price ki qader mein musalsal izzafa waqea hota rehta hai. Prices ka wese bhi bhi basic trend bullish ka hota hai, jo higher high levels ko tashkeel deta hai. Rising window patteren k leye prices ka bullish trend ka hona aham hai, q k ye prices ko mazeed ooper ki taraf push karta hen.
Candles informations,
Rising window pattern k leye prices ko upward semat ka hona zarori hai. Ye pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main dono candles bullish hoti hai, jo k bullish trend ya high prices ki alamat hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Rising window pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k normal real body main banti hai. Ye candle prices ka bullish trend ko zahir karti hai. Ye candle shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, lekin lazmi bullish candle honi chaheye.
2. Second Candle: Rising window pattern ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah aik bullish candle hoti hai, jo k pehli candle se ooper gap main banti hai. Candle ka close open price se lazmi ooper hona chaheye, jab k iss ka gap bhi pehli candle se wazih aur clear hona chaheye. Yani dono candles k wicks ya shadows candles k darmeyan main banne wale gap main ana chaheye.
Explanation
Rising window pattern prices main buyers ki market main strong hold ki sorat main banta hai, jiss main prices bullish trend k tasalsul ko barqarar rakhti hai. Pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main shamil dono candles bullish hoti hai. Bullish candles k darmeyan upnside par aik wazih gap hota hai, jo k aik qisam ka bullish candles ka kicking pattern dekhaye deta hai. Pattern ki dono bullish candles real body main lazmi honi chaheye, jab k candles k darmeyan banne waley gap ko koi candle (bashamole shadow) cover na kare. Bullish candles aksar market k darmeyan banne wale waqfay main banta hai, jiss me fundamental asarat ki waja se prices mazeed bullish jane ki koshash main hoti hai.
Trading with rising pattren
Rising window pattern prices ko mazeed ooper push karne k leye jana jata hai, q k ye aik bullish trend continuation pattern hai, jo trend reversal pattern se ziada reliable aur accurate signals deta hai. Pattern ki dosri bullish candle ziada strong aur gap main banti hai, jiss se market main trend continuation ziada strong hoti hai. Pattern par trade entry karne se pehle aik bullish confirmation candle ki zarorat hoti hai, jo k real body honi chaheye. Jab k pattern k baad bearish candle banne par pattern ka tasur khatam hoga. CCI indicator aur stochastic oscillator par reading 50% se above honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se lower position ya pehli candle k bottom se two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим