Forex Trading me Bearish Harami Cross ,,,
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading me Bearish Harami Cross ,,,
    Aslam o alaikum


    Introduction



    I hope all friends fine main ummid karta hun aap sab dost khairiyat se honge aur apna Kam samajhdari ke sath complete kar rahe honge Bearish Harami Cross pattern baqi harami pattern ki tarah do candles ka aik bearish trend reversal pattern hai. Ye pattern prices k top par ya high price area main banta hai. Pattern me shamil 1st candle aik bari real body wali white candle hoti hai, jo k qeematon k uptrend trend ko show kar rahi hoti hai. Pattern me 2nd candle aik doji candle banti hai, jis k high aur low (complete shadow) 1st white candle k real body k andar hoti hai. Harmari pattern prices k intehaye position par banne ki waja se prices ko opposite direction main badalne ka aik strong reversal hai.



    • Pattern ki Pehchan k Rules



    Bearish Harami Cross pattern k leye prices ka pehle se charts pattern k top par ya bullish trend main hona zarori hai, q k ye aik bearish trend reversal pattern hai.
    Pattern ki pehli candle aik bari real body wali white candle honi chaheye.Pattern ki dosri candle aik doji candle honi chaheye (candle k open aur close position lazmi same hone chaheye)
    Pattern ki 2nd doji candle k high aur low point (mukamal shadow) white candle k real body se baher nahi hona chaheye.


    1. Tafseel




    Bearish Harami Cross pattern prices k top par banta hai, jab bhi buyers prices ko bohut ziada bulandi par le jate hen, to iss pattern ka uss position ba banna market main trend change hone ki alamat ban jati hai. Pattern do candles ka hai, jis me 1st candle aik bari real body wali white candle hoti hai, jo k high qeematon ki tarjumani karti hai. Pattern ki 2nd candle aik doji (candle ki open aur close lazmi same hona chaheye, ziada tar ye star doji candle hoti hai) candle hoti hai. Pori Doji candle ki shadow samet white candle k real body me ban jati hai. Doji candle ki waja se ye pattern "Bearish Harami Pattern" se mukhtalif dekhta hai.

    • How to Trading ,,



    Bearish Harami Cross pattern buyers k market main power k khatme ka ishara hota hai, ye pattern bearish trend k leye sell k signal genrate karta hai, q k ye pattern high price area me banne ki waja se qeematon ko bullish trend se bearish trend me reversal kar deta hai. Pattern ki confirmation k leye 3rd black ya bearish candle ka intezar karna chaheye, jis k baad market me sell ki entry ki ja sakti hai, lekin agli candle ka bullish banne par pattern invalid ho jayega.
    ,

    Click image for larger version

Name:	images.jpeg
Views:	21
Size:	26.4 کلوبائٹ
ID:	12559786
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bearish Harami Cross Pattern
    Bearish harami cross candlestick pattern assets ki iss baat ki taraf ishara karti hai, k ab market main buyers ka control sellers k hathon jane wala hai. Pattern main shamil candlestick aghaz main aik bari bullish candle hoti hai, jo k uptrend ki mazboti ki alamat hoti hai. Lekin dosri candle bagher real body k hone aur pehli candle k darmeyan main banne par ye prices ko mazeed upward jane main rukawat dalti hai. Pattern high price area main uss waqat banta hai, jahan par assets ki demand kam ho chuki hoti hai aur supply bohut ziada increase howi hoti hai. Demand ki kami ki waja se assets ki value main decreasing ki waja se prices bhi gerna shoro karti hai.
    Candles Formation
    Bearish harami cross candlestick pattern prices k top par banne ki waja se aik strong bearish trend ki indication deta hai, jo k do candle ka aik sada sa pattern hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
    1. First Candle: Bearish harami cross candlestick pattern ki pehli candle aik strong real body wali bullish candle hoti hai, jiss ka color bhi bullish pattern k mutabiq white ya green hoti hai. Ye candle prices k top ya high price main bullish trend ka mazeed izzafe ki koshash hoti hai.
    2. Second Candle: Bearish harami cross candlestick pattern main shamil dosri candle bagher real body wali aik doji candle hoti hai, jiss ka open aur close same point par hota hai. Ye candle bagher color ki hoti hai. Jo k umoman aik doji star candle hoti hai.
    Explanation
    Kisi bhi assets ki vlaue bohut ziada high hone par aksar usko trend reversal ka samna karna parta hai, issi tarah same bearish harami cross candlestick pattern main bhi hota hai, jiss main prices high area ya bullish trend k baad bearish trend reversal main tabdeel hoti hai. Bearish harami cross candlestick pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jiss k real body lazmi hoti hai aur iss candle ka open close se nechay hota hai. Pattern ki dosri candle aik doji hoti hai, jo k pehli candle k real body main banti hai, yanni iss candle ka open, close, high aur low sabhi points pehli candle k open close k darmeyan main hote hen.
    Trading
    Bearish harami cross candlestick pattern trading k leye aik moasar candlestick pattern hai, jiss par market main sell ki entry ki ja sakti hai. Trade k enter karne se pehle market ka high price area ya bullish trend main hona zarori hai, jab k doji candle k baad aik trend confirmation candle ka hona zarori hai. Confirmation candle ka bearish hona lazmi hai, jo dosri candle k bottom par close honi chaheye. Pattern ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value overbought zone main hona chaheye. Stop Loss pattern k sab se top position ya pehli bullish candle k high price se two pips above set karen.

    اب آن لائن

    Working...
    X