Support and Resistance line py trading Kary or pasie kamai

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Support and Resistance line py trading Kary or pasie kamai
    Assalamu alaikum dear members trading mein successful hone ke liye hamey zuro mehnat karni chahie agar Ham mehnat nahin karenge to hamara apna nuksan hai trading karne ke liye kuch importance level hote hain jinko dekar trading ki jaati hai in level se Hi hamen buy aur sell ki indications milati hai.agar Ham in levels ko jaan sake to hamare liye bht hi profitable hoga.ln main sy 2 level per Ham aaj baat karenge jo k sport level aur is resistance level hai. joki trading ke liye bahut jyada important hai.

    Support and resistance level:


    Market price chart me prices support and resistance level ke darmiyaan move karti hai,isliye agar trader ko sport and distance ka knowledge ho to wo market se ek accha profit hasil kar sakta hai.
    support and resistance level market price chart mein aise tachnical level hota hai Jahan per market price kuch time ke liye stop Ho jaati hai aur power gain karke tazi ke sath move karti hai.
    Agar asa price pause level current market price se upar ho to usko "Resistance" level kahate Hain aur asa level agar current price se down ho to usko support level kahate Hain.

    Support level Breakout:


    Market price main job continous fall hote hain aur market price support level per phonch kar agar candle support level se niche closing de da to is sa " Support level breakout" ki confirmation hoti hai.
    Is per trade ko sell ki trade active karne chahie aur stop loss ka 10 pips support level se upar place karna chahie aur take profit ko next support level per place karna chahie agar trade breakout ko miss kar de to re-test per dobara trade active karke pura benefit Le sakte hain.

    Resistance level breakout:


    Market price main jab continuous increase ata hai price increase krta howa resistance level per phonch jae aur candle resistance level se opar close de da to is " Resistance level ki breakout "ki confirmation Ho jaati hai,aur Is per trade ko buy ki trade active karni chahie. stop loss ko resistance level se 10 pips nicha place karna chahie aur take profit ko next resistance level per place karna chahie .agar trade breakout ko mis kar de to re-test per wait ker k trade active ker Le.

اب آن لائن

Working...
X