Limit Order
Limit pending orders sab se ziada istemal hone wale pending orders jais ki madad traders apne trades ko aik makhsos position k leye intezar karwata hai, aur jaise hi qeematen us position ko touch karti hai, to ye orders khud bakhud open ho jate hen. Limit orders me do qisam k orders shamil hen nis me aik ko "Buy Limit" aur dosre "Sell Limit" kaha jata hai. Jiss ki tafseel darja-zel hai;
- Buy Limit
- Sell Limit
1. Buy Limit
Buy limit pending order ko us waqat lagaya jata hai, jab trader ko ye analyze ho raha hota hai k market ki qeematen mazeed aik khas position tak nechay ger sakti hen, pher wahan se qeematen dobara bullish jayegi, to us sorat me traders market me buy limit k zarye se entry karta aur wo bhi current market position ki nisbat low level pe. Isi tarah trader ko ziada munafa mel sakta hai.
2. Sell Limit
Sell limit buy limit k bar-aks hota hai, jis me trader market k mojoda position pe trades open karne ko tayar nahi hota, aur wo qeematon ko mazeed uper jane k leye aik sell k leye limit select karta, jab bhi qeematen us limit tak pohunch jati hai to sell ki trade auto pe open ho jati hai.
Limit Orders k Hososeyat
Trading plateform pe Limits oders (buy limit / sell limit) aik behtareen improvement hai, q k is ki madad se traders ko har waqat ko made-nazar (monitor) nahi karna parta. Is ki madad se jab bhi market qeematen traders k selected position pe pohunch jati hai, to ye oders khud-bakhud open ho jate hen. Dorsra is ki madad hum market ki Slippage jaise masle se bhi chutkara hasil karte hen. Slippage se aksar awqat hamare trades ghalata position pe open hote hen, lekin limit orders se aisa mumkin nahi hita aur hamare trades computerized selection ki madad se exact position pe put ho jate hen.
Limit Orders pe Trading
Limit orders trading k dowran hamare trades ko to the point pe open karte hen, aur fast market me slippage jaise masle ka sirf ye aik hi hal hai. Jab bhi analysis ya support aur resistance levels pe trading karni ho to limit orders ki madad se hum apne muntakhib karda position pe trades ko pending chorr dete hen, jaise hi qeematen us level ko touch karti hai, to us waqat hamare position open ho jate hen. Stop loss aur take profit bhi hum usi waqat trades k sath set kar sakte hen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим