Types of doji candlestick.......

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Types of doji candlestick.......
    Aslam u alaikum,

    Dear forex member umeed karta hun aap sab khairiyat se honge dear members forex market mai doji candlestick pattern se indication aor direction mai change ho raha ho to aus time ye pata chal jata hai to aus waja se market mai jab ye candlestick pattern banta hai to aus mai reversal ki indication hoti hai. Aisy candlestick pattern ko dekh k hum ais market mai trade laga sakty hain kun k ye patterns reverasal ka signal dy rahy hoty hai aor aisy patterns ko find karna bahot asan hota hai. Aisi candle ko asani k sath wick dekh k hum find kar sakty hain.


    Ais ki differnet types hai jin ko hum dekh k ais market mai trade kar sakty hain.

    Doji Candlesticks Pattern Types:

    1: Standard Doji/ Neutral Doji

    2: Long Legged Doji

    3: Dragonfly Doji

    4: Gravestone Doji

    5: 4-Price Doji

    Doji Candlesticks Patterns Formed:

    Dear brother jab ais market mai kisi bhi time frame mai new candle start hoti hai aor closing bhi ausi price k nazdeek karti hai magar ais candle ki wicks bahot lambi hoti hai magar body nahi hoti hai to ye aik doji candle banti hai. Jab ye doji candle kisi resistance ya support par banti hai to aus par humy ye signal milta hai k market ne ais level se reversal leni hai. Hum ais market mai doji candle ko dekh k confirmation k baad trade laga sakty hain.

    1: Standard Doji/ Neutral Doji:

    Dear brother Standard Doji jab banti hai to ais mai wicks dono taraf aik jaisi hoti hai aor aisi doji candle mai body nai hoti hai jab ye candle kisi resistance ya support par banti hai to waha se reversal k hisab se hum apni trade laga sakty hain. Aisi trade ka stop loss candle se thora sa oper hota hai aor take profit next resistance ya support par hota hai aisi candles resistance aor support level par valid hoti hai.



    2: Long Legged Doji:

    Dear brother market mai long legged doji tab banti hai market mai moment kafi zayda hota hai aor aisi candle mai wick bahot lambi hoti hai aisi candle mai body bahot choti hoti hai magar wick bahot zayda bari hoti hai. Long legged doji pattern jab kisi resistance ya support par banti hai to to ais ki wick ko dekh k pata chal jata hai k market mai next moment bhi zayda volatile ho sakti hai ais mai jaisy hi confirmation milti hai humy ais market mai trade open kar deni chaye, pattern k hisab se trade lagany k baad humy ais market mai stop loss resistance ya support level se thora dor rakhna hota hai kun k ye candle jab banti hai to next candle ais k high point tak aa sakti hai aisi candle par trade se kafi zayda faida ho jata hai.



    3: Dragonfly Doji:

    Dear brother ye pattern sirf support level par banta hai ais pattern ki sab se achi baat ye hai k hum ais pattern ko asani k sath her time frame mai find kar sakty hain, ais pattern ki shape ''T'' hoti hai mean ais candle k necny side par wick hoti hai magar upper side par wick nai hoti hai, jab ye pattern banta hai to ais k baad market upside par moment karti hai humy ais market mai trade lagany k liay ais candle k baad next candle ko bullish close hony ka wait krna hota hai jaisy hi next candle bullish close ho hum market mai trade laga sakty hain. Ais pattern k hisab se trade ka stop loss support level se thora nechy hota hai aor take profit next resistance level par hota hai jaha par hum apna target set kar sakty hain.



    4: GraveStone Doji:

    Dear Gravestone doji opposite hoti hai Dragonfly Doji ki ais mai candle jab banti hai to ye resistance level par banti hai aor ais mai sirf upside par wick hoti hai aisi candle k down side par market wick nai banati hai. Jab market ye pattern banti hai to aus k baad humy sell ki trade lagani hoti hai kun k ye candle resistance level par banti hai aor aus k baad market down side par aati hai humy ais market mai confirmation k baad trade lagani hoti hai ye candle jab banti hai to aus k baad market ki next candle down close honi chaye tab ye candle valid hoti hai aor hum ais par trade laga sakty hain. Trade ka stop loss resistance level se thora oper rakha jata hai aor take profit support level par rakha jata hai.



    5: 4-Price Doji:

    Dear brother ye candle jab market mai banti hai to ais mai candle ki wicks nai hoti hai simple aik line hoti hai jis mai candle ki opening aor closing ais k sth high aor low sab aik hi point par hota hai aisi candle tab hi market mai banti hai jab market open hoti hai aor aik hi jagha par ruki rehti hai ais patterns ko dekh k pata chal jata hai k market mai buyyers aor seller ka presure nai hai humy ais market mai trade se avoid karna chaye jab ais candle k baad next candle ki body lambi ho to aus k baad hum ais market mai trade laga sakty hain. Ais candle ki shape ''-'' Line jaisi hoti hai aor ais mai market bilkul hi nai banati hai aisi candle ko hum dekh k trade lagany k liay kisi resistance ya support level ko sath dekhna hota hai. Ais candle mai humri trade ka stop loss resistance aor support level k hisab se hota hai.
    Ap Ka aik thanks bohat zrori ha
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    جواب: Types of doji candlestick.......

    TYPES OF DOJI CANDLESTICK PATTERN
    WHAT IS DOJI CANDLE?
    doji candles voh candles hoti hain jin ki opening aur closing prices aik jaisi hoti hain.yeh candles dono pattern yani bullish aur bearish mein ho sakti hain.doji candle ki shakal mostly cross,inverted cross ya plus sign ki tarah hoti hai aur doji candles ki real body bahut short ya bilkul nhi hoti.akeeli doji candle neutral pattern ko zahir karti hai.es pattern types ye hain;


    1. DRAGONGFLY DOJI CANDLE
    dragonfly doji candle aik aisa candlestick pattern hai jo trader ko stock prices ke potential reversal ki information deti hai.pechli price action ki buniyad per yeh pattern downside bhe ho sakta hai aur upside bhe.dragonfly doji candle es wat banti hai jub market ki open close low aur high prices equal hoti hain.yeh pattern zyada reliable nhi hai aur na hi esko jaldi se spot kia ja sakta hai.es trader esko future price measurement ke liye istaml kartey hain.
    2.GRAVESTONE DOJI CANDLESTICK PATTERN
    gravestone doji candlestick pattern aik aisa pattern hai jo hamein bearish reversal ke signal deta hai.yeh pattern es waqt banta hai jub market mein stock prices open,close ya high aik dosrey ke kareeb hoti hain.es pattern ki candle ka long upper shadow hota hai .gravestone doji hamein short entry aur long exit position ke signal deti hai.
    3. LONG LEGGED DOJI CANDLE
    yeh aik important doji candlestick pattern hai jo hamein market ki future prices ki pasheengoi karvata hai.es pattern ki opening aur closingprices ik jaisi nhi hoti aur voh candle long upper aur lower shadow rakhti hain.long legged doji candle hamein market ke indecision ke barey mein btata hai aur consolidation period ke barey mein btata hai.jahan previous pattern ki prices ka trend toot jata hai aur new trend start ho jata hai.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Types of doji candlestick.......

      Hedge ka matlab hai k aik hi waqat me ya mukhtasir waqat k leye do alag alag stocks ko buy ya sell karna. Ye technique mukhtalif markets jaise stocks, options ya forex me hi sar-anjam deya ja sakta hai.
      Financial market me chote bare (small ya large) sare traders risk ko kam karne k tareeqay talash karte rehte hen aur risk management ki techniques ka istemal karke apne trades ko successful banane ki imkanant ko barhane ki koshash karte hen. Forex trading k bohut se tareeqay hen, aur aik qabele-amal "Hedging" in me sab se ziada taqatwar technique hai.
      Dar-asal hedging trading technique losses ko kam se kam karne aur kamyabi k imkanant ko barhane ka aik behtareen technique me se aik hai. Yahi waja hai k bohut sare traders is ko khas tawar par qeematon k bare (major) peroid movement k dowran apne trading ka aik lazmi juzz banate hen. Yahan tak k kuch investment fund ka naam bhi "hedge" ki bunyad par "Hedging Fund" rakha gaya hai.



      Hedging Technique se Risk kam karna


      Hedging techniques forex trading me bohut ziada aam istemal hota hai. Forex me Hedging k leye trader do (two) musbat (positive) "correlation pair" jaise; EUR/USD aur GBP/USD ya AUD/USD aur NZD/USD ka intekhab karke, dono par mukhalif smeat (opposite direction) me trades open karta hai. Hedging Trading Strategy market k gher-yaqeeni soratehal me losses ko kam se kam karna hai, jis pe ye aik acha kaam karta hai.
      Account ki safety aik trader ka basic kaam nahi hai, q k trading na karne se kabhi bhi loss ka khadsha nahi hota. Humen hedging techniques ki madad se safety bhi qayem karni hai aur munfa bhi hasil karna hai, isi wajah se analyst is hedging ki analysis correlated pairs par hi sar-anjam dete hen. Jab bhi trader ka hedging technique pe trading ka irada ho to us k leye wo do correlated pair pe analysis karen, agar wo same behaviour k sath market me move na kar rahi ho, yani agar aik bullish jata hai to dosra sideways ya bearish movement kar raha ho.

      Direct Forex hedging strategy


      Forex trading k kisi single pair pe do opposite side se buy aur sell ki trades open karne k amal ko "Direct Forex hedging strategy" kaha jata hai. Lekin 2009 me great recession k baad US Commodity Futures Trading Commission ne new regulations issue jari karke is techniques ko band kar deya hai. Misal k tawar par agar aik trader EURUSD par long term ki trades k sath alehda se short term ki trading karta hai, to new rules k mutabiq brokers k pas 1st trades ko band (close) karne ka ikhteyar hai. Lekin agar trader mukhtalif currencies joron par mixup se hedging karta hai, to ye amal jayez hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X