Assalamualaikum dear forex members umeed h app sbb thkk hoongy r apka trading week acha jara hoga.Introduction:Dark cloud cover pattern Piercing line pattern ka opposite pattern hai, jo do (2) candles par mushtamil hota hai. Dark Cloud Cover Candlestick Pattern aik bearish (downward) trend ulat (reversal) pattern hai, jo ziada tar high price area ya bullish trend k baad hota hai. Ye pattern qeematon k bullish rujhan (trend) ko 2nd black k bare real body ki madad se khatam karta hai, jo k pehle white candle darmeyan ya darmeyan (midpoint) se thora sa nechay ja kar close hoti haiyy kt
Pattern ko identify kAisy krn?
Dark cloud cover pattern aik bullish trend reversal pattern hai, is waja se qeematon ka pehle se high price area ya bullish trend me hona chaheye.
Pattern do (two) candles par mushtamil hai, jis me pehle candle aik bari real body wali white candle hoti hai.
Pattern ki 2nd black candle 1st white candle se above thore se gap me open hoti hen, lekin baad me qeematon pe selling pressure ki waja se candle downward a kar white me dakhil ho kar close ho jati hai.
Pattern me 2nd black candle white candle k real body k midpoint me ya us se thora sa nechay
Pattern details:
Dark cloud cover pattern ka shumar un patterns me hota hai jo k qeematon ko rebound karwati hai. Ye pattern market k ziada qeematon wale area ya bullish trend me banta hai, jis se qeematen bearish reversal ho jati hai.
Dark cloud cover pattern do mukhalif colour ki candles par mushtamil hota hai, jis me 1st candle aik white real body wali bari candle banti, jo k qeematon k upward side pe teezi dekhati hai. Dosra 2nd black candle ki open position white candle se uper gap me hota hai, jo qeematon pe khareedaron k dabao ko dekhati hai.
Lekin market me twist us waqat ban jata hai, jab black candle bullish move karne ki bajaye downward ana shoro karti hai, yanah tak k ye candle white candle k real body k darmeyan ya us se thora sa nechay ja k close ho jati hai. Black candle ki aik bari real body market me qeematon pe bullish pressure ko khatam kar deti hai aur yanan se qeeamton ko aik naye trend k leye tayar karti hai.
How to trade?
Dark cloud cover pattern aik strong bearish reversal pattern hai, jo k traders k leye sell ki signal ki opportunity muhaya karta hai. Ye pattern agar market k centre me ban jata hai to is ka asar kam hota hai, lekin pattern ki ahmeyat us waqat ziada hoti hai, jab bhi ye pattern high price area ya bullish trend k baad banta hai.
Dark cloud cover pattern me 2nd black candle ki real body aur position bohut ziada aham hai. Is pattern me candles ki wick ki koi ahmeyat nahi hai, lekin ye wick candle ki real body se kam hona chaheye ya candle ki real body k hise ko cover na karen.
Dark cloud cover pattern me 3rd confirmation candle ka intezar zarori hai, agar wo candle 1st candle aur 2nd candle k baad close hoti hai, to ye bearish trend ko confirm karne k leye kafi hai. Lekin agar 3rd candle bullish ya doji candle banti hai to ye trend k tasalsul ki alamat hoti hai, is waja se pattern k top position jahan se black candle open hoti hai ye black candle ki high price area

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим