Aaj se taqreeban 400 saal pehle 1600 me Japan me trading k leye candlesticks ka istemal shoro howa tha. Aghaz me candlesticks ka istemal Japanese apne zaraat me karte they, khas ka chawalon k pedawar ko behtar bannane me. Japanese 1800 me Candlesticks ka istemal baqayeda financial trading me karne lage. Baad me Steve Nison ne 1900 me candlesticks ka istemal Japanese traders se seekh kar, Western countries (Europe and America) me mataref (intruduce) karwaya, jo Es Ka Baad bohut mashahoor hoaa
Introduction:
Aam tawar par aik candlestick market ki aik makhsos time period k dowran opening, closing, highest aur lowest qeemat batati hai. Isi tarah aik H1 (one hour) candle us ghante ki price action batati hai, aur same isi tarah M15 candle 15 minuts ki aur M1 aik minute ki.
Part Of Candlestick
Aik normal candle stick aam tawar mandarja-zel do hison par mushtamil hoti hai;
Candle ki Body
Candle stick ki body, aik time period k dowran opening aur closing price k darmeyan aik mustateel shape hoti hai. Candle stick ka sab se bara hisa body hota hai, yani wo hisa jo open aur close price k darmeyan mustateel shape banata hai.
Wick
Candle stick k real body aur high price ya low price k darmeyan hise ko wick kaha jata hai. Ye candle me aik line ya dhagay (thread shape) jaisi hoti hai. Candle ki top wick qeematon ki sab se balaye had aur lower wick candle ki sab se nechli had (range) zahir karti hai. Candle ki wick ko saya (shadow) bhi kaha jata hai.
Types of Candlestick
Aam tawar par aik candlestick ki do main halaten hoti hen, lekin kuch analyst doji candle ko is ki teesri variant bate hen. Candlestick ki halaten darja-zel hai;
Bullish Candle
Bearish Candle
Doji Candle
Bullish Candle
Jab bhi aik candle ki open price se closing price ziada hongi to ye candle aik bullish candle bane gi aur is candle ka color white (ziada tar istemal hone wala) ya sbbzs ban jata hai
Bearish Candle
Jab bhi candle stick me qeematen high open aur low close ho, to is candle ko black (ziada istemal hone ) ya red color se bhar deya jata hai, aur is candle ko bearish candle kahata hai
Doji Candle
Doji candles me real body nahi hoti hai, yani candle ki opening aur closing prices same position pe hoti hai. Candle ka kisi aik side pe ya dono side pe aik jace bhi ban sakta hai lekin real body bulkul be nahi hoti.