What is Dow thory in for3x
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Dow thory in for3x
    continue kiadear members me ai ap ko Dow theory k bary me btana chata hoon.sab say pehly him aik picture ko daikhin gay.


    Es picture mein aik simple graphical explanation ki hai hai , es mein trend start hota hai to market apny moves ko change krti hai, es continually changing market uptrend aur downtrend ka mid mein hi rehti hai, pher upward trend ka bad sideways trend hota hai.

    Assumptions:

    Es theory ki 6 exemption hain , jin mein sa kuch ko dekhtay hain:

    Market ka discount: Dow theory ki assumption propose karti hai keh stock market har cheez ko reflect karti hai jis mein stock ki information bhi include hoti hai, jis mein past , current aur even future bhi hota hai. Yeh theory unpredictable account ka events ka baray mein bhi information provide karti hai, jo keh unpredictable hotay hain, jesa keh earth quake aur dosray natural disorder.

    Market ka 3-trends:
    Primary , secondary aur minor trend jo keh stock market ko affect kartay hain.

    1: primary trend:

    Primary trend market ka aik major trend hota hai, jo keh indicate karta hai keh market long run mein kesay move karti hai, yeh rising aur falling market dono mein occur ho sakta hai.

    2: secondary trend:

    Yeh primary trend ka liay correction consider kia jata hai, yeh primary trend sa opposite action hai, es ki range 10 days aa 3 month hoti hai

    3: minor trend:

    Es mein market ki movement daily basis per fluctuate karti hai, yeh trends less than three weeks chltay hain. Yeh short term trends hotay hain.
    Esko aik picture sa dekhtay hain


    Es picture mein understanding ko clear karnay ka liay different colors use kiay gay hain, green aik minor trend hai, red secondary trend hai, aur blue primary trend hai.

    Market ka 3-phases:

    Market ka 3 phases mein accumulation, public participation aur distribution ya panic phase hain.
    Bullish market mein ek phases ko asa describe karen gy:

    1: Accumulation phase:

    Yeh tab hota hai jab investors current market mein change feel kartay hain, jab yeh market mein entry ly ry hoty hain.

    2: Public participation phase:

    Es phase mein investors market mein tabhi entry letay hain, jab market ki condition improve hoti hai, aur positive sentiment noticeable ho jata hain.

    3: Distribution ya panic phase:

    Yeh phase tab hota hai jab entire bullish line news ki headline media carry kartay hain. Buying hoti hai.
    Esko aik picture sa dekhtay hain.

    Click image for larger version

Name:	download (15).png
Views:	5
Size:	8.9 کلوبائٹ
ID:	12556839
    Es picture mein blue color box accumulation phase hai, green color public participation phase hai, black box distribution phase hai aur red sa panic selling ko show kia gya hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is Dow thory in for3x

    Description:-

    Dow theory ik bahut hi important theory hai jismein aap perfect analysis Karke Forex trading se related perfect information aur decision making kar sakte hain. Dear jab aap Forex trading Mein kam kar rahe hain to aap ke liye different important theory scope of early learn Karke apni trading reply karna aapke liye bahut ziada important ho sakta hai aur aapki profit to increase karne mein aapke liye bahut jyada helpful ho sakta hai agar aap different theories ko properly learn Kr ke apni trading per reply krte hain to usmn aap maximum advantages hasil krne k liye apne account ki Safety ko bhi maintain kr skty hain.

    Click image for larger version

Name:	download (14).jpeg
Views:	4
Size:	5.5 کلوبائٹ
ID:	12420500

    Dow Theory:-

    Dow theory aik technical framework hay jis main market ka uptrend us waqt predict kia jata hay, jab iski average advances isky previous khas high say up ho. Yani past tome ka aisa high jis main isko kafi faida hua ho laikin average advances is say bhi ab high ho gia ho to ham keh sakty hain keh market ab up trend main jaye gi.
    Jaisy k ham observe karyy hain keh market main hamesha, currencies pairs say lay ker, stocks aur commodities bhi aik dusry ki movement ko rokny ya barhany ka sbab bnti hain.

    Click image for larger version

Name:	images (47).png
Views:	6
Size:	17.4 کلوبائٹ
ID:	12420499

    Importance:-

    Ye theory is par b base krti hai k trader hamesha trend par trade karna chahty hain. Q k unko pata hota hai k market apna trend he follow karti hai. Es k elawa es theory ma news ko b consider kiya giya hai k news ma bhot zayada power hoti hai k wo market ko apni marzi sy drive kar sakti hain. Market asal ma cycles ki base par move karti hai. Dow theory ma market ki movement ko 3 types ma divide kiya giy hai. The main movement, the medium swing or akhir ma the short swing. Es theory mn volume par bhi discussion ki gae hai k market ki movement asal ma volume par b base krti hai.

    Click image for larger version

Name:	download (12).png
Views:	5
Size:	4.1 کلوبائٹ
ID:	12420498
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: What is Dow thory in for3x

      What Is the Dow Theory?

      dow theory ke mutabiq, agar is ki ost mein se aik ( jaisay naqal o hamal ya sanati ) pehlay ki numaya oonchai se oopar jati hai aur doosri ost mein is ke sath ya is ki taqabli izafay ke sath hoti hai to market oopar ki taraf rujhan mein hai. misaal ke tor par, agar dow jones industrial average ( djia ) darmiyani oonchai tak barh jati hai to dow jones transportation average ( djta ) se munasib waqt ke andar aisa hi karne ki tawaqqa hai .


      Understanding the Dow Theory



      dow theory aik tijarti hikmat e amli hai jisay charles each dow ne takhleeq kya, jis ne edward jones aur charles bargarstetar ke sath mil kar dow jones and company ankarporishn ki bunyaad rakhi aur 1896 mein dow jones industrial average banai. wall street journal ke adaryon ki aik series mein, jis ki is ne mushtarqa bunyaad rakhi, dow ne nazriya tayyar kya .
      1902 mein charles dow ki be waqt mout ki wajah se, un ka baazaaron ka poora nazriya kabhi shaya nahi sun-hwa tha. bahar haal, un ke mutadid hamion aur doston ne tab se ashaatin likhi hain jo adaryon mein phaily hui hain. dow theory mein chand ahem shraktin darj zail hain :
      di stock market berometr az william pi hemilton ( 1922 )
      dow theory az Robert riya ( 1932 )
      e george shifr ( 1960 )
      dow theory aaj ba zarea richard Rasal ( 1961 )
      dow ka khayaal tha ke majmoi market ka tajzia kar ke, koi bhi un halaat ka durust andaza laga sakta hai, market ke barray rujhanaat ki simt ki nishandahi kar sakta hai, aur makhsoos stock ki mumkina simt ka andaza laga sakta hai. is ka yeh bhi maanna tha ke majmoi tor par stock market maeeshat ke andar majmoi karobari halaat ka aik qabil aetmaad ishara hai .
      apni 100 saal se ziyada ki tareekh mein, theory ne mazeed taraqqi ki hai, jis mein 1920 ki dahai mein william hemilton, 1930 ki dahai mein Robert riya, aur 1960 ki dahai mein e george shifr aur richard Rasal ki shraktin shaamil theen. naqal o hamal ki sanat par nazriya ka zor — ya railway, apni asal shakal mein — aik aisa pehlu hai jis ki himayat khatam ho gayi hai, lekin dow ka tareeqa ab bhi Asri takneeki tajzia ki bunyaad ke tor par kaam karta hai .

      اب آن لائن

      Working...
      X