Detail of " Morning Star Candlestick Pattern ".
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Detail of " Morning Star Candlestick Pattern ".
    Aslam o alaikum. Dear members kesy hein ap sab. Umeed karti hun k sab members kheriat sey houn gey and forex par achi learning hasil kar rahy houn gey. Aj mein ap sab k sath aik boht he important topic share karunngi jo trading mein boht he important role play krti hai.


    What is morning star candlestick pattern ?


    Dear members morning star candlestick patter three candles par mushtamil hota hai.
    Yeh down trend k nechly sey zahir hota hai. Yeh pattern downtrend mein indicate hota hai aur down hony ki speed mein kami ka sabab banta hai. Is sey pehly aik long taiz movement aik new upper trend ki base bany gi.

    Mostly traders zada tar market mein faisly ki talash mein rehty hein jahan par forex market mein selling pressure kam ho jata hai. Is sey market mein kuch humwar ho jati hai. Yeh wo place hai jahan par doji candle ka analysis kea ja sakta hai. Kyun k market aik he level par close or open hoti hai. Yeh aik he level par boht he close ho jati hai. Yeh adam faisla taizi sey chalny ki rah hamwar kar deta hai. Is sey pata chalta hai k bulls is kadar por kadar daikhtay hein and mazid selling ko rokhty hein. Doji k baad bullish candle indicate hoti hai jo bullish ki confirmation faraham karta hai.


    Explanation of morning star candlestick pattern


    Is mein long bearish candle selling pressure and majuda kami k trend ko tasulsul ka nateja hota hai. Is point par traders ko short trend ko talash karny ka chance milta hai. Kyon kk reversal jany ka koi proof nahi hota hai.
    Second candlestick aik small bearish candlestick hoti ha jo kabhi kabi doji candlestick hoti hai. Yeh aik downtrend ki nishani hoti hai aur is nishani k tor par bhi paish ki jati hai . Mostly yeh candlestick farq ko kam karti hai and yahan par yeh bat important hoti hai k market kis limit tak ghair faisla kun hogi.
    Yeh candlestick buying pressure ki first nishani hoti hai . Forex market mein yeh candle pechli candle k close hony sey up chali jati hai aur aik new up trend k aghaz ka ishara deti hai aur baad mein traders higher high or higher low ka analysis karty hein .


    Conclusion of morning star candlestick
    Morning star candlestick pattern ka analysis EUR/GBP mein kea ja chuka hai.
    Forex market mein pattern ki tashkeel aik strong kami k trend mein ki ja sakti hai. Forex chart ko dekhty huye formation ko complete karny k baad traders next candle stick k opening part ki taraf dekh sakty hein. Yeh aik boht he important pattern hai . Is pattern ko samjhna beyhad zaruri hai tamam members k liye. Yeh pattern hamen trading k liye aik achi entry faraham karta hai . Umeed karta hun k ap sab ko yeh pattern easily samjh aya hoga.

اب آن لائن

Working...
X