Scallops Pattern
Scallops Jay design k pattern hen jo k qeematon k upper charte ya nechay (ascending or descending) ate howe market me bante hen. Bullish Scallops me pattern aik J ka harf banati hai, jis ka nechay hisa goal, aur akhari hisa seedha scope ki tarah hota hai. Jab k bearish Scallops pattern me J design ulta ban jata hai, aur ye pattern ka volume top peak pe aur bottom peak pe same U shape jaisa hota hai. Bullish aur bearish Scallops ki shaklon me high Scallops ka size aur low Scallops ka size un k barhne (increase) hone k sath sath chota hota jata hai. Scallops Pattern trading k leye nisbatan asaan pattern hai, aur dosre pattern jaise flag pattern, wedge pattern ta tasalsul k patterns waghera k muqabele me nisbatan ziada successful hota hai.
Pattern k Aham Points
- Scallops J pattern aik bullish trend reversal pattern hai, jo k prices k bottom ya bearish trend k baad banta hai.
- Pattern ka shape english word "J" se mushabehat rakhta hai.
- Pattern ka pehla hisa aik bottom round pattern hota hai, jis me prices ziada strong reaction ka muzahera nahi karti hai.
- Pattern k dosra hisa stick jaise shape ka hota hai, jis tarah flag chart pattern me pole hota hai.
- Pattern ka round lower side prices k leye support level ka kaam karti hai, jis par stop loss bhi set kia ja sakta hai.
Trading on Pattern
Bullish Scallops pattern ka jab nechay ka hisa ban jata hai aur qeematen bullish jana shoro kar deti hai, to ye pattern nazar ana shoro ho jata hai. Jab k bearish Scallops pattern ziada tar short hote hen jab qeematen curved bottom k low side pe trade karti hai. Bullish Scallops pattern me jab aik J ki formation mukamal ho jati hai, to us k baad aik dosra J lazmi banta hai. Bullish Scallops pattern ki nakami k chances bearish Scallops pattern ki nisbat ziada hoti hai.
Bullish Scallops pattern me take profit ki position J shape k sab se top pe hoti hai. Bullish Scallops pattern me J ki height shamil ki jati hai. Jab k bearish Scallops pattern me J ki height ko entry posint se manfi kia jata hai.
Bearish Scallops pattern me trading J k low k nechay se shoro ki jati hai. Agar qeematen Jk right side k top se above chali jati hai, to is pattern ko failure samjha jata hai. Bullish Scallops pattern me stop loss ko J k nechay put kia jata hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим