Retracement and Reversal

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Retracement and Reversal
    Introduction

    Assalamu Alaikum dear friend Mein kam karne ke liye aapke pass knowledge aur Sona bahut jaruri hai Jitna Achcha aapke pass knowledge Hoga utna Achcha profit Hasil kar sakte ho main aaj aap Logon Ke Liye Ek Naya topic Leke Apne topic ki taraf Chalte Hain

    Click image for larger version

Name:	images (1).png
Views:	2
Size:	9.2 کلوبائٹ
ID:	12553811

    Forex trading market main prices ziada tar two levels jiss ko aam tawar par support and resistance levels kaha jata hai, k darmeyan trade kar rahi hoti hai, lekin ye levels hamesha k leye barqarar nahi rehti hai, bulkeh kabhi na kabhi ye lazmi breakout hoti hai. Jab bhi ye levels breakout hoti hai, to uss sorat main prices k pass do directions hote hen, k ya to wo breakout wale trend par musalsal (continuation) harkat karna shoro karti hai aur ya ye breakout arzi hota hai, yanni prices wapis support ya resistance levels k darmeyan ati hen. Prices k apne levels main wapasi k leye do terms istemal hote hen, jiss main aik ko reversal jab k dosre ko retracement kaha jata hai. Reversal aur retracement kia haen aur in k darmeyan kia difference hai uss ki tafseel darjazzel hai;

    Click image for larger version

Name:	images.png
Views:	5
Size:	8.5 کلوبائٹ
ID:	12553812

    Click image for larger version

Name:	images.png
Views:	5
Size:	8.5 کلوبائٹ
ID:	12553812

    Retracement


    Retracement aik trend k khelaf prices ka temporary harkat hai. Retracement temporary harkat hone ki waja se iss ka matlab hai k ye short term harkat hoti hai, jiss main prices wapis apni asal semat main wapis a jati hai.
    Retracement ziada strong nahi hota hai, q k iss main prices ka trend badal jane main nakami hoti hai. Retracement agar bullish trend main ho ye bearish hongay jab k bearish trend main retracement bullish hongay. Retracement k pass pori trend k change karne ki salaheyat nahi hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	download.jpeg
Views:	7
Size:	6.7 کلوبائٹ
ID:	12553813
    Example:
    EURUSD ki prices aik bullish trend par trade kar rahi ho, aur wo maojooda trend k mutabiq 1.1250, 1.1300, 1.1295, 1.1350 1.1345, aur 1.1400 point ko touch karte howe up-trend par move kar rahi hoti hai. Lekin hamesh kabhi bhi aisa nahi hota hai, k ye prices musalsal aik k baad aik point ko touch karke upward jati ho. Hamesha jab bhi prices aik upeard point jaise 1.1250 k baad 1.1300 ko touch karti hai, to iss k baad prices direct 1.1350 ko touch nahi karti, bulkeh iss darmeyan prices lazmi thora sa nechay ko a jati hai aur wo 1.1295 ko touch karke pher se upward 1.1350 point ki taraf jati hai. Ye 1.1290 ka point tak prices ka ana aur wapis upward jana prices k leye retracement kehlata hai.

    Reversal


    Reversal ka amal retracement se mukala mukhtalif hai, jiss main prices temporary turning ki bajaye mukamal trend ko change kar deta hai. Agar prices pehle se bullish trend par ja rahi hoti thi to reversal ki waja se wo bearish trend main badal jati hai.
    Reversal long term aur ziada strong reaction dekhati hai, q k iss main prices ka wapis nahi ana hota hai. Alabata reversal main prices k leye retracement main ho sakte hen, q k reversal aik long term trend reversal hota hai, jab k retracement short term hota hai, to retracement reversal ka juzz ho sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	download.png
Views:	26
Size:	6.4 کلوبائٹ
ID:	12553814

    Example:
    Reversal ka asar trading main bohut ziada der tak hota hai. Agar EURUSD bullish trend par move kar rahi hoti hai, aur uss ki current price 1.1300 ho, lekin 1.1350 tak prices jane k baad return ho kar bearish ye nechay ki taraf move honna shoro karti hai aur 1.1250, 1.1200, 1.1150 aur 1.1100 k point ko choti howi down-trend harkat karti hai, to ye prices ka 1.1350 point se reversal kehlayega. Reversal trend main prices aik khas resistance point se reject hone k baad ziada der tak opposite direction main chalti rehti hai, aur ye trend uss waqat tak barqarar rehta hai, jab usse dobara kisi reversal ka samna nahi karna parta.

    Difference Between Retracement and Reversal

    Retracement:
    Retracement prices ka temporary return hota hai, yanni iss dowran prices maojooda trend k opposite direction main chalna shoro karti hai.
    Retracement up-trend main higher high aur downtrend main lower low banati howe harkat karti hai. Taqreeban ye higher high ya lower low length main same hoti hen lekin upward ya downward hote hen. Retracement main trend continuation pattern bhi shamil ho sakti hai.
    Retracement aik long term tabdeeli hai.
    Retracement main traders apne orders ko close nahi karte hen, q k prices ne wapis ana hota hai.


    Reversal:
    Reversal retracement k bar akas prices k long term opposite movement hoti hai, jiss se prices maojoda trend k khelaf permanently direction tabdeel karti hai.
    Reversal aksar candlestick patterns ya support and resistance levels main dekha jata hai, jahan se prices complete apana behaviour tabdeel karti hai, ziada tar ye amal doji candles ya dosre trend reversal candles main hota hai.
    Reversal aik long term tabdeeli hoti hai.
    Reversal honne k baad trades apne trades close karte hen, q k prices ussi direction main mazzeed nahi jati hai.



    Trading

    Retracement :

    Retracements main trading k leye zarorri hai, k pehle market ki mukamal analysis ki jaye. Agar market trwnd confirmation ka signal deta hai, to uss sorat main retracement main trading karna ziada faidamand sabit ho sakta hai.
    Agar open trades hen to profit ki sorat main trades close nahi karne jab k loss ki sorat main retracement par apne open trades ko close karen, q k iss se loss main kami hoti hai.

    Reversal :

    Reversal par trading ziada faida mand hota hai, q k yahan se trend badal jata hai aur ye long term ki tabdeeli hoti hai. Reversal main market main confirmation karne k baad entry karen, stop loss ka zaror istemal karen aur agar pehle se trades open ho to profit ki sorat main uss ko close karen, jab k loss wale trares ko open rehne de.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Retracement and Reversal

    Retracement aur reversal main kia farq hy
    Retracement ko reversal nhi kaha ja sakta aur ye is sa us waqt tk complete information nhi milti jb tk ye dusray technical indicators k sath combine kar k use na ho, jis sa hmain trend continuation ya reversal k signals hasil hotay hain, trading ma retracement ko identify karna easy nhi hota q k ye reversal k sath mixup ho k mistakes ka sabab b banti hain jin sa traders kp kafi loss ho jata hy.
    Click image for larger version

Name:	download.jpg
Views:	9
Size:	4.9 کلوبائٹ
ID:	12417113
    Retracement kia hoti hy
    Retracement ko completely learn kar lete hain aur isko free trading per upay Karte Hain To aap bahut jyada advantages Hasil kar sakte hain aur aapko market Mein Koi confusion Nahin Hoti Kyunki market Jab apni movement complete kar rahi hoti hai to usmein hundred percent retracement aur correction Karti Hai Jab market retracement kar rahi Hoti Hai To Aisi situation main aapko kabhi bhi confusing Nahin Hona chahie. Retracment trade apko confirm profit de jate hae or bahut he acha profit dete hae is main yeh hota hae ke jab koi bhe currency ya commodity bahut he zayada up chale jae to ya bahut he zayada down chale jae wo bhe bahut short time period main to is main yeh hota hae ke market retrace zaroor karte hae yani ke agar yeh up gya tha to yeh down aye ge zaroor agr down gy the to Retracement trade ma hm short term trading kar saktay hain jis ma scalping aik best technique ha, is liay hmain indicators ko use kar k iski proper positions ko identify kar laina chaiay ta k market ma retracement sa faida hasil kia ja sakay
    Click image for larger version

Name:	download (1).png
Views:	3
Size:	5.4 کلوبائٹ
ID:	12417114
    Reversal kia hoti hy
    Reversal ka matlab hy down trend ya up trend phir sy wapis aata hy signals milty hain reversal trend mein tou market trend k opposite ja ker trade ko start ker leti hai lekin retracement mein aisa nahi hota is mein market thory time k liye reverse hoti aur us k baad dubara se wapis usi trend mein aa jati hai is mein short term trading bohat zeada faida mand sabit hoti hai jis mein scalping trading aik best opportunity hai trading mein retracement ko find kerna easy nahi hota kuen k ye reversal k sath combine ho k galat analysis dy sakti hai aur traders ko kafi loss bhi ho sakta hai humen is mein indicators ko use ker k is ki proper position ko hasil ker lena chahiye aur phir he is par kaam ko start kerna chahiye humen is mein small amount mein jitna bhi profit hota hai humen us ko accept kerna chahiye kuen k hum is mein short term trade ker rahy hain ye trend ki reversal nahi hai aur market is mein dubara se trend ko continue kery gi
    Click image for larger version

Name:	download.png
Views:	17
Size:	6.3 کلوبائٹ
ID:	12417115

    اب آن لائن

    Working...
    X