What is Hammer Candle stick ?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Hammer Candle stick ?
    Hammer Candle Stick Pattern:

    aslam o alaikum pak forum membr kia hal hen. umid karta hon sb thek hon gy. aj hm es thread mein hammer candle stick ko read karen gy k ye kab or kesy banti hai or ap hammer candle stick pattern sy kesy trade kar sakty hen.Hammer aik wahid candle stick patteren hai jo neechay ke rujhan ke ekhtataam par bantaa hai aur taizi ke ulat jane ka ishara karta hai .is candle stick ki asli body choti hai aur is ke oopri hissay mein nichale saaye ke sath waqay hai jo haqeeqi body se dugna ziyada hona chahiye. is candle stuck chart patteren mein oopri saya nahi hai ya thora sa hai .is candle stick ki tashkeel ke peechay nafsiat yeh hai ke qeematein khil gayeen, aur baichnay walon ne qeematon ko neechay dhakel diya .achanak khredar market mein aaye aur qeematon ko barha diya aur tijarti session ko ibtidayi qeemat se ziyada band kar diya .

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220826_154007.jpg
Views:	1
Size:	15.2 کلوبائٹ
ID:	12553762

    Example :

    is ke nateejay mein taizi ka namona qaim huwa aur is baat ki nishandahi karta hai ke khredar dobarah market mein aa gaye hain aur neechay ka rujhan khatam ho sakta hai .tajir aik lambi position mein daakhil ho satke hain agar aglay din taizi ki mom batii banti hai aur himr ki nichli satah par stap las rakh sakti hai .nechy diye gay chart mein ap hammer candlestick ko dhek skty hen. ye candle hathora jesi bani hoti hai esliye esy hammer candle kehty hen. zail mein hammer candlestick patteren ki aik misaal hai :


  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Hammer Candlestick
    Hammer candlestick prices k bottom ya bearish trend main banne wali aik single candle pattern hai, jiss main candle ki aik small real body k sath lower side par long shadow hota hai. Hai aik candlestick bulls aur bears, buyers aur sellers, supply aur demand, risk aur profit ke darmiyan muqabele ki aik kahani hoti hoti hai. Jiss main market main aik single candle bhi prices k top ya bottom main prices par asar andaz ho sakti hai. Hammer candle ki ye haseyat hai, k ye bullish ya bearish dono soraton main bullish trend reversal k asarat rakhti hai, jiss k leye prices ka bottom level ya bearish trend main hona zarori hai. Kisi bhi assets k matloba timeframe main jab bull prices ko mazeed bottom level par jane se mana karte hen to uss sorat main hammer candle ban jati hai.
    Candles Formation
    Hammer candle prices k bottom main uss waqat ban jati hai, jab bhi bear market main apna control baqarar rakhne k leye prices ko downward push karti hai, lekin bull uss waqat ziada active ho jate hen, jiss se wo prices k nechay jane main rukawat peda karte hen. Hammer candle ki chart main formation darjazel tarah se hoti hai; Hammer Candle: Hammer candlestick aik single candle pattern hai, jiss main aik timeframe k dowran prices bottom level par bullish trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle bullish aur bearish dono soraton main bullish hi hoti hai. Jab k ye candle aik small real body main hoti hai, jiss k lower side par aik long shadow ya wick hoti hai. Candle ka shadow aik to real body ka dugna ya ziada hota hai, dosra iss candle k upper side par small si wick to acceptable hai lekin agar ye upper side par bagher shadow ki ho to ye ziada payedar candle hoti hai.
    Explaination
    Hammer candle prices k bottom ya bearish trend main bears aur bulls ki market par control hasil karne ka natijay main banti hai. Jab bhi prices ko aik matloba timeframes k dawran bear nechay push karne ki koshash karte hen, lekin demand yakdam ziada hone ki waja se bulls market main active ho jate hen, jiss se wo prices ko mazeed bearish jane se rokhte hwn, jiss k natijay main aik small real body wali long lower shadow ki candle tashkeel hoti hai. Ye candle bagher upper shadow ki hoti hai, lekin pher ye candle bullish hososeyat rakhti hai, q k ye iss candle main prices ko nechay jane main dushwaree ka samna karna parta hai. Ye candle prices k top par banne wali hanging man candle jaise hoti hai, jab k prices k bottom par banne wali inverted hammer ki opposite shap main banti hai.
    Trading
    Hammer candlestick market main traders k leye buy ka signal dete hai, jiss se trader long timeframes main prices k bottom par aik confirmation candle k baad entry kar sakte hen. Confirmation candle ka aik to bullish hona zarori hai, jab k dosra ye candle hammer candle k ooper close honi chaheye. Agar iss candle k baad banne wali candle bearish hoti hai, to uss sorat main trade entre karne ki risk na len. Ye single candle hone ki waja se zarori hai, k trend confirmation indicator se bhi ki jaye, jaise agar CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main honi chaheye. Stop Loss candle k sab se lower prices ya shadow k bottom se two pips below set karen.

    اب آن لائن

    Working...
    X