Wolfe Wave PatternPar Mushtamal Jame Note
Introduction
Dosto aaj ke is topik main hum wolfe wave pattern ke bare main bat karainge jis ko samajh kar aur us par amal kar ke acha munafa hasil kiya ja sakta hay mazeed detail main jane ke liye mukamal mazmoon ka mutaila karna chahye
Under Discussion Points
Muntakhib points ka mutaila topic ko assan banane aur pointvise samajhne ke liye tarteeb diye gaiy hain
1 What Is wolfe Wave Pattern ?
2 Types of Patterns Made in
3 Identification
4 How To Trade
5 Note
What Is wolfe Wave Pattern ?
supply aur demand kay darmian balance ya is kay liay struggle ko show karta ha, is aik kisam kay natural pattern ko "Bill Wolfe" nay identify kia, ye supply aur demand kay level ki prediction kay liay aik source kay tor par discover kia gia, ye pattern time frames kay lihaz say kafi versatile ha, ye pattern channels par mushtamil ha aur mukhtalif time frames main use hota ha jo minutes sa la kar months tak ho saktay hain, is ma further three types k pattern hotay hain
Types of Patterns Made in
○rising channels in uptrend
○falling channel in downtrend
○channel during consolidation period
Identification
wolfe wave pattern main five waves hoti hain jo bullish ya bearish trend main sa kisi main bhi appear ho sakti hain, bullish trend main pehlay falling wave banti hay, dusri wave rising main banti hay jo 1st wave kay start say below close ho kar third wave start karti hay, ye third wave 1st wave kay lower say mazeed down aa kar fourth wave start karti hay, 4th wave up ja kar 2nd wave kay high say below he 5th wave banati hay, ager ye wave bhi below ki taraf aye aur 1st and 3rd wave say mazeed down aa jaay to ye wolfe wave pattern ko complete karta hay, jaisy he 6th wave above ban'na start ho is waqt timely bullish main trading entry bahut achay results daiti hay
How To Trade
profit kay liay trends ko accurately identify karna zaruri hay jo kafi mushkil hota ha, is pattern main jab five waves bnti hain jin ma sa three waves impulse hui hoti hain aur two correction waves hoti hain, jb market ki moment par focus kar kay inko compare kartay hain to tab hi correction aur impulse ko thek tarah identify kar sakain gay sahe tim par intre munafa bakhsh sabit ho sakte hain
Note
Dosto stop loss theory ke baghair mahfooz munafa hasil karna bohat mushkil hota hay aur aap ko hamasha lamba loss hone ka khatra hota hay is liye Stop Loss Lazmi use karna chahye
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим