Relative Volatility Index (RVI)
Introduction:
Relative Volatility Index (RVI) indicator ko Donald G. Dorsey ne 1993 me banaya tha, jis me baad me 1995 me thori si tabdeeli ki gaye. Waqat k sath sath jab qeematen badalti hen to Relative Volatility Index (RVI) indicator is ka mayari inheraf (standard deviation) ki pemayesh karke us ko chart pe 0 se 100 ki range me zahir (display) karwata hai. Jab bhi RVI ki value 50 se uper (above) jayegi, to qeematon ki volitilety uper ki taraf hogi aur yahan pe "Buy" ka signal genrate hoga. Lekin jaise hi value 50 se nechay geregi to qeematon ki volitilety nechay ki taraf hogi aur "Sell" ka signal ko confirm karega.
Relative Volatility Index (RVI) Procedure:
RVI indicator ka istemal same RSI indicator jaisa hi hai, aur taqreeban dono kaam bhi same hi karte hen, lekin RVI indicator qeematon me rozana tabdeeli ki aam variation (standard deviation) ki pemayesh karta hai, jab k RSI indicator qeematon me total tabdeeli ki pemayesh karta hai. RSI indicator har din k ikhtetam pe net changes ko musbat tabdeelion (positive changes) aur manfi tabdeelion (negative changes) me alag karta hai, pher RSI indicator tanasub (ratio) ka istemal karte howe in tabdeelion ko smoth aur normal kar deta hai jo 0 se 100 tak ka aik standard pemana bana deta hai. RVI indicator bhi same formule ka istemal karta hai, lekin 10-day mayari inhiraf (standard deviation) ko qeematon k closing price k net changes se badal deta hai.
RVI indicator ko volitilety ki semat (direction) ki pemayesh k leye design kia gaya tha. Dorsey ka khayal tha k trading system ko behtar banaya ja sakta hai, agar confirming indicator ko as a filter price movement indicator k sath akhata istemal kia jaye. RVI filter ki bajaye volitilety ki pemayesh karke qeematon k taqaat (strongness) ki calculation karta hai. Is se RVI indicator kafi behtar hota hai, q k dosre indicators me ye khobi nahi thi.
RVI ko aik aise indicator k tawar par design kia gaya tha jis ka istemal trend-momentum indicator (jaisa keh; RSI, MACD, Stochastics, Rate of Change, Price Oscillators) se naqal (duplicate) keye bagher tasdeeq k leye istemal kia ja sakta hai. Jaisa k Dorsey ka dawa hai; "chonkeh RVI dosre indicators k muqabele me market ki harkeyat (dynamics) ki mukhtalif set ki pemayesh karta hai, is waja se ye confirming indicator k tawar par ziada behtar sabit hota hai. RVI confirming indicator k tawar par is waja se behtar hai, q k ye RSI me paye jane wali kami ko pora karta hai.
Trading on RVI Indicator:
RVI indicator bhi trading hum hum RSI jaisa hi istemal kar sakte hen. Is me bhi same hi levels hote hen, top side pe 100 aur bottom side pe 0 hota hai. Is indicator me bhi 30 se kam level oversold zone aur 70 se ziada ka zone overbought hota hai. Market me qeematen 50 se uper trade karne pe bullish tasawar hoti hai, jab k 50 se nechay bearish trend me shumar hoti hai. Oversold area me hamesha trend reversal k chances hote hen, aur jab bhi qeematen uper ki taraf move hona shoro hoti hai, to yahan pe buy ki entry ho sakti hai, jab k over-bought area me qeematen bearish side pe move hone ki koshash me hoti hai, is waja se indicator ka ye area sell signal genrate karta hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим