Cloud kia h?? R dark cloud cover kia h??

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Cloud kia h?? R dark cloud cover kia h??
    Assalamualaikum dear forex members umeed h app sbb thkk hoongy r apka trading week acha jara hoga.
    Introduction:
    Dark cloud cover pattern Piercing line pattern ka opposite pattern hai, jo do (2) candles par mushtamil hota hai. Dark Cloud Cover Candlestick Pattern aik bearish (downward) trend ulat (reversal) pattern hai, jo ziada tar high price area ya bullish trend k baad hota hai. Ye pattern qeematon k bullish rujhan (trend) ko 2nd black k bare real body ki madad se khatam karta hai, jo k pehle white candle darmeyan ya darmeyan (midpoint) se thora sa nechay ja kar close hoti haiyy .

    Click image for larger version

Name:	A4AD0B02-50F3-4510-981A-5214A758F75D.gif
Views:	35
Size:	9.6 کلوبائٹ
ID:	12553553

    Pattern ko identify kAisy krn?
    • Dark cloud cover pattern aik bullish trend reversal pattern hai, is waja se qeematon ka pehle se high price area ya bullish trend me hona chaheye.
    • Pattern do (two) candles par mushtamil hai, jis me pehle candle aik bari real body wali white candle hoti hai.
    • Pattern ki 2nd black candle 1st white candle se above thore se gap me open hoti hen, lekin baad me qeematon pe selling pressure ki waja se candle downward a kar white me dakhil ho kar close ho jati hai.
    • Pattern me 2nd black candle white candle k real body k midpoint me ya us se thora sa nechay close hoti hai.


    Click image for larger version

Name:	6B890C85-4738-4013-AD6C-15C5BB6B3BFC.png
Views:	23
Size:	30.5 کلوبائٹ
ID:	12553554

    Pattern details:
    • Dark cloud cover pattern ka shumar un patterns me hota hai jo k qeematon ko rebound karwati hai. Ye pattern market k ziada qeematon wale area ya bullish trend me banta hai, jis se qeematen bearish reversal ho jati hai.
    • Dark cloud cover pattern do mukhalif colour ki candles par mushtamil hota hai, jis me 1st candle aik white real body wali bari candle banti, jo k qeematon k upward side pe teezi dekhati hai. Dosra 2nd black candle ki open position white candle se uper gap me hota hai, jo qeematon pe khareedaron k dabao ko dekhati hai.
    • Lekin market me twist us waqat ban jata hai, jab black candle bullish move karne ki bajaye downward ana shoro karti hai, yanah tak k ye candle white candle k real body k darmeyan ya us se thora sa nechay ja k close ho jati hai. Black candle ki aik bari real body market me qeematon pe bullish pressure ko khatam kar deti hai aur yanan se qeeamton ko aik naye trend k leye tayar karti hai.


    Click image for larger version

Name:	297BF9DD-EDE1-47BF-8678-78AC9EA96FFC.png
Views:	87
Size:	7.1 کلوبائٹ
ID:	12553555
    How to trade?

    • Dark cloud cover pattern aik strong bearish reversal pattern hai, jo k traders k leye sell ki signal ki opportunity muhaya karta hai. Ye pattern agar market k centre me ban jata hai to is ka asar kam hota hai, lekin pattern ki ahmeyat us waqat ziada hoti hai, jab bhi ye pattern high price area ya bullish trend k baad banta hai.
    • Dark cloud cover pattern me 2nd black candle ki real body aur position bohut ziada aham hai. Is pattern me candles ki wick ki koi ahmeyat nahi hai, lekin ye wick candle ki real body se kam hona chaheye ya candle ki real body k hise ko cover na karen.
    • Dark cloud cover pattern me 3rd confirmation candle ka intezar zarori hai, agar wo candle 1st candle aur 2nd candle k baad close hoti hai, to ye bearish trend ko confirm karne k leye kafi hai. Lekin agar 3rd candle bullish ya doji candle banti hai to ye trend k tasalsul ki alamat hoti hai, is waja se pattern k top position jahan se black candle open hoti hai ye black candle ki high price area pe stop loss ko put karen.


    Click image for larger version

Name:	D691BDDE-A67E-46C0-AAD5-DC3AD347DB35.png
Views:	32
Size:	10.1 کلوبائٹ
ID:	12553556
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Cloud kia h?? R dark cloud cover kia h??

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Dark Cloud Cover Candlestick Pattern


    Dark cloud cover candlestick pattern price chart par jab bhi hota hai, to market ka trend downward movement karna shoro karta hai. Ye two days ka aik bearish trend reversal hai, jo prices k top par ya bullish trend main paya jata hai. Ye pattern market main bears ka control zahir karta hai, jo bullish trend k baad wo bulls se hasil karte hen. Price chart par hamesha se aik khas trend k mutabiq move kar rahi hoti hai, lekin bohut ziada high prices par aksar jab bhi prices ko dark cloud cover candlestick pattern ka samna karna parh jata hai, to uss k baad prices teezi k sath gerna shoro hoti hai, jo k aik bearish trend ki alamat hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (9).jpeg
Views:	36
Size:	9.1 کلوبائٹ
ID:	12432891

    Candles Formation


    Dark cloud cover pattern pehli din ki candle aik bullish candle hoti hai, lekin dosre din ki candle bearish candle k close prices par hone ki bajaye top gap main open ho kar ussi k real body main close hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai:

    Click image for larger version

Name:	images (18).png
Views:	71
Size:	3.1 کلوبائٹ
ID:	12432892

    1. First Candle: Dark cloud cover candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo prices k top par ya bullish trend ki continuation ka kaam karti hai, q k ye aik real body wali candle hoti hai. Ye candle white ya green color ki candle hoti hai.

    2. Second Candle: Dark cloud cover candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali strong bearish candle hoti hai. Ye candle open pehli candle k top par gap main hoti hai, jab k close pehli candle k darmeyan se below hoti hai. Bearish candle k shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai, lekin candle lazmi real body main honi chaheye.

    Explanation

    Dark cloud cover candlestick pattern market main prices ko downward convert karta hai, jo k do candles, bullish aur bearish se mel kar banta hai. Pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices k top ya bullish trend ko zahir karti hai. Ye candle aik normal real body main shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k opposite direction yanni bearish candle hoti hai, jo open pehli candle k top par gap main hoti hai, lekin close pehli candle k darmeyan se nechay hoti hai. Ye candle pehli candle se bane gap ko cover bhi karti hai aur sath hi bearish trend reversal ka kaam bhi karti hai. Ye candle lazmi real body main honi chaheye, jab k close pehli candle k open price aur midpoint k darmeyan main hai.

    Click image for larger version

Name:	images (8).jpeg
Views:	41
Size:	11.4 کلوبائٹ
ID:	12432890

    Trading

    Dark cloud cover candlestick pattern prices k top par traders k leye sell ka signal genrate jarta hai, jiss confirmation candle k baad entry ki ja sakti hai. Pattern k baad confirmation candle ka real body main bearish hona bhi zarori hai, jab k dosri candle k bottom par close hona bhi aham hai. Pattern k baad bullish candle banne se pattern par sell ki entry nahi karni chaheye, jab k trend confirmation indicator jaise CCI, RSI, MACD aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value overbought zone main honi chaheye. Pattern par stop loss ka bhi zaror istemal karen. Stop Loss pattern k sab se top position ya dosri candle k open price se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (17).png
Views:	98
Size:	16.2 کلوبائٹ
ID:	12432889

    اب آن لائن

    Working...
    X