Cloud kia hai ? Aur dark cloud cover kia hai?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Cloud kia hai ? Aur dark cloud cover kia hai?
    Assalamualaikum dear forex members umeed h app sbb thkk hoongy r apka trading week acha jara hoga.Introduction:
    Dark cloud cover pattern Piercing line pattern ka opposite pattern hai, jo do (2) candles par mushtamil hota hai. Dark Cloud Cover Candlestick Pattern aik bearish (downward) trend ulat (reversal) pattern hai, jo ziada tar high price area ya bullish trend k baad hota hai. Ye pattern qeematon k bullish rujhan (trend) ko 2nd black k bare real body ki madad se khatam karta hai, jo k pehle white candle darmeyan ya darmeyan (midpoint) se thora sa nechay ja kar close hoti haiyy kt
    Click image for larger version

Name:	A4AD0B02-50F3-4510-981A-5214A758F75D.gif
Views:	35
Size:	9.6 کلوبائٹ
ID:	12553386
    Pattern ko identify kAisy krn?
    • Dark cloud cover pattern aik bullish trend reversal pattern hai, is waja se qeematon ka pehle se high price area ya bullish trend me hona chaheye.
    • Pattern do (two) candles par mushtamil hai, jis me pehle candle aik bari real body wali white candle hoti hai.
    • Pattern ki 2nd black candle 1st white candle se above thore se gap me open hoti hen, lekin baad me qeematon pe selling pressure ki waja se candle downward a kar white me dakhil ho kar close ho jati hai.
    • Pattern me 2nd black candle white candle k real body k midpoint me ya us se thora sa nechay close hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	6B890C85-4738-4013-AD6C-15C5BB6B3BFC.png
Views:	23
Size:	30.5 کلوبائٹ
ID:	12553387
    Pattern details:
    • Dark cloud cover pattern ka shumar un patterns me hota hai jo k qeematon ko rebound karwati hai. Ye pattern market k ziada qeematon wale area ya bullish trend me banta hai, jis se qeematen bearish reversal ho jati hai.
    • Dark cloud cover pattern do mukhalif colour ki candles par mushtamil hota hai, jis me 1st candle aik white real body wali bari candle banti, jo k qeematon k upward side pe teezi dekhati hai. Dosra 2nd black candle ki open position white candle se uper gap me hota hai, jo qeematon pe khareedaron k dabao ko dekhati hai.
    • Lekin market me twist us waqat ban jata hai, jab black candle bullish move karne ki bajaye downward ana shoro karti hai, yanah tak k ye candle white candle k real body k darmeyan ya us se thora sa nechay ja k close ho jati hai. Black candle ki aik bari real body market me qeematon pe bullish pressure ko khatam kar deti hai aur yanan se qeeamton ko aik naye trend k leye tayar karti hai.

    Click image for larger version

Name:	297BF9DD-EDE1-47BF-8678-78AC9EA96FFC.png
Views:	87
Size:	7.1 کلوبائٹ
ID:	12553388
    How to trade?
    • Dark cloud cover pattern aik strong bearish reversal pattern hai, jo k traders k leye sell ki signal ki opportunity muhaya karta hai. Ye pattern agar market k centre me ban jata hai to is ka asar kam hota hai, lekin pattern ki ahmeyat us waqat ziada hoti hai, jab bhi ye pattern high price area ya bullish trend k baad banta hai.
    • Dark cloud cover pattern me 2nd black candle ki real body aur position bohut ziada aham hai. Is pattern me candles ki wick ki koi ahmeyat nahi hai, lekin ye wick candle ki real body se kam hona chaheye ya candle ki real body k hise ko cover na karen.
    • Dark cloud cover pattern me 3rd confirmation candle ka intezar zarori hai, agar wo candle 1st candle aur 2nd candle k baad close hoti hai, to ye bearish trend ko confirm karne k leye kafi hai. Lekin agar 3rd candle bullish ya doji candle banti hai to ye trend k tasalsul ki alamat hoti hai, is waja se pattern k top position jahan se black candle open hoti hai ye black candle ki high price area pe stop loss ko put karen.

    Click image for larger version

Name:	D691BDDE-A67E-46C0-AAD5-DC3AD347DB35.png
Views:	32
Size:	10.1 کلوبائٹ
ID:	12553390
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Cloud kia hai ? Aur dark cloud cover kia hai?

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Dark Cloud Cover Pattern


    Dark cloud cover pattern prices main gap banne ki waja se prices k top par banta hai, jiss par prices k ziada trend reversal hone k chances hote hen. Ye pattern do mukhalif colour k candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik long real body wali bullish candle bantti hai, jo k prices k bullish trend ki alamat hoti hai. Ye candle prices ko bullush push karti hai. Pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k pehli candle k top par gap main open ho kar pehli candle k centre se thora se below band ho jati hai. Ye candle pehli candle k open prices se pehli hi close hoti hai, lekin prices k downward jane ka aik strong bearish signal deta hia.

    Click image for larger version

Name:	images (9).jpeg
Views:	36
Size:	9.1 کلوبائٹ
ID:	12444500

    Candles Formation


    Dark cloud cover pattern k leyw zarori hai, k prices ka top ya bullish trend ho. Pattern k top prices se reversal k chances ziada hote hen. Dark cloud cover pattern do mukhalif candles ka hota hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (18).png
Views:	71
Size:	3.1 کلوبائٹ
ID:	12444501

    1. First Candle: Dark cloud cover pattern ki pehli candle aik long real body main bullish candle banti hai. Ye candle prices k top par ya high prices area main buyers ki dilchaspi dekhati hai, jo prices ko upper side par push karti hai. Ye candle white ya green color main hoti hai, jo k beal body k sath hoti hai.

    2. Second Candle: Dark cloud cover pattern ki dosri candle bearish trend wali candle hoti hai, jo k prices k direction ko badal deti hai. Ye candle aik long real body main banti hai, jiss ka open pehli candle k top par gap main hota hai, jab k close ussi candle k real body k centre se nechay hota hai.

    Explaination

    Dark cloud cover pattern Ka shumar trend reversal pattern main hota hai, jiss main prices top resistance level ya bullish trend main bearish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Ye pattern candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik real body wali bullish candle hoti hai, jiss se zahir hota hai, k buyers prices ko upward push karti hai. Pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jiss ka open pehli candle se above gap main hota hai, lekin prices mazeed bullish jane ki bajaye iss ko candle ko bearish close karti hai. Ye candle pehli candle k midpoint par close hoti hai. Ye pattern dekhne main same Belt-Hold Pattern se mushabehat rakhta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (8).jpeg
Views:	41
Size:	11.4 کلوبائٹ
ID:	12444499

    Trading

    Dark cloud cover candlestick pattern aik trend reversal pattern hai aur trend reversal pattern trend continuation pattern ki nisbat ziada riski hote hen, jiss main aksar 38% se ziada kamyab nahi rehte hen. Dark cloud cover pattern bhi trend reversal pattern honne ki waja se aik riski pattern hai, iss waja se pattern par trade open karne se pehle prices k leye aik confirmation candle ka hona zarori hai, jo k dosri black candle k baad bearish candle banti hai. Ye candle real body main hoti hai, jo k aksar pehli candle k lower par close hoti hai. Trend confirmation CCI oscillator, RSI aur ya Stochastics oscillator se bhi ki ja sakti hai. Stop Loss pattern k top par ya dosri candle k open prices se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (17).png
Views:	98
Size:	16.2 کلوبائٹ
ID:	12444498

    اب آن لائن

    Working...
    X