Important information about "Forex Real and Fake Breakout"
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Important information about "Forex Real and Fake Breakout"
    Real Breakout


    Jab bhi qeematen kisi support ya resistance levels ko thorti (break) karti hai aur baad me musalsal us semat me chalti rehti hai, to ye market ki real breakout hota hai.
    Misal k twar par, agar gold $1800 aur $1810 k darmeyan trade kar raha ho, to yahan par gold ki resistance level $1810 aur support level $1800 hai. Agar gold ki qeematen do ya do se ziada martaba $1800 aur $1810 k level ko touch kar k wapis morti (back) hoti hai, to ye support aur resistance levels gold k qeematon k leye strong breakout levels tasawar hongay. Ab agar gold ki qeematen upward side pe $1810 k level ko breakout karti hai, aur qeematen musalsal bullish hi chalti rehti hai, to ye aik real breakout kehlayega, same situation support level pe bhi hogi.

    Click image for larger version

Name:	images (709).png
Views:	8
Size:	24.1 کلوبائٹ
ID:	12553284

    Fake Breakout


    Fake breakout us waqat hoti hai, jab bhi qeematen support ya resistance level ko breakout to karti hai, lekin tasalsul k sath us semat ko follow karne ki bajaye wapis reversal hoti hai. Fake breakout ko aam tawar par failed breakout bhi kehte hen.
    Misal k tawar par, agar gold ki qeematen $1810 k level ko breakout karke $1812 par chali jati hai, lekin bullish trend ko follow karne ki bajaye qeematen bearish trend me reversal ho jati hai aur $1800 k support level ko bhi breakout karte howe musalsal downward hi chalti rehti hai, to ye aik fake ya failed breakout kehlayega.
    Fake ya failed breakout se pata chalta hai k market me qeematon ko support ya resistance levels se upper ya nechay push karne me buyers ya sellers ki dilchaspi nahi rehti. Failed breakout ka hargez matlab ye nahi hai k qeematen thori der baad breakout semat me agay barhna jari nahi rakh sakti.

    Click image for larger version

Name:	images (710).png
Views:	1
Size:	2.1 کلوبائٹ
ID:	12553285

    Breakout k baad Throwbacks


    Baaz awqat breakout k baad Throwback hota hai. Throwback us waqat hota hai, jab qeematen support ya resistance ki taraf wapis hojati hai, jo abhi abhi breakout howa hota hai. Aksar kuch traders throwback ki waja se apne trades close kar dete hen, ye samajh k ye aik failed ya fake breakout hai, lekin thowback fake breakout nahi hota. Throwbacks calendar events k trading k waqat ziada hota hai, q k qeematen aik semat pe breakout karne k baad apni ziada hujam ki waja se support ya resistance level ki taraf wapis ati hai.
    Throwbacks aksar market me volume me izafay ki waja se hota hai, misal k tawar par, gold qeematen $1810 k resistance level ko breakout karte howe $1815 pe chali jati hai, lekin ziada volume ki waja se qeematen wapis $1811 ya $1810 pe a jati hai, jahan se wo wapis bullish trend me move karna shoro kar deti hai, to ye fake ya failed breakout nahi, bulkeh throwback kehlayega.

    Click image for larger version

Name:	images (398).jpeg
Views:	1
Size:	36.9 کلوبائٹ
ID:	12553286

    Trade on Breakouts


    Ziada tar traders breakout pe trading karte hen, wo jab bhi qeematen ko support ya resistance levels ko thorte howe dekhte hen to jaldi hi wo market me entry kar jate hen. Short term traders breakout ki sorat me jaldi market me entre hone ki koshash karte hen, jabb k long term k traders market me real aur fake breakout k baad hi entry karte hen.
    Market me fake, throwbacks aur breakout ko jadge karna bohut mushkil kaam hai, market me breakout hone pe kuch waqat tak intezar karna chaheye, jab bhi qeematen apni semat darust kar len,us k baad market me entry karni chaheye. Stop loss ki position lazzmi set karen, qionkeh k is se fake breakout ki sorat me zziada loss se mehfoz raha ja sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (397).jpeg
Views:	1
Size:	33.5 کلوبائٹ
ID:	12553287
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Important information about &quot;Forex Real and Fake Breakout&quot;

    Assalamu alaikum friend ummid karta hun ke sab khairiyat se honge aur Market mein achcha kam kar rahe honge jaisa ki ham log jante Hain ki hamen ismein kamyabi leni hai to hamen ismein mehnat ki jarurat hoti hai Ham jitna jyada ishq hai achcha kam karenge hamen apna hi fayda hoga Forex mein vahi log kamyab hote Hain Jo is mein samajh Kar kam karte Hain to hamen isase kamyabi Nahin milegi hamen ismein mukmmal knowledge lekar kam karna hota hai yah hamare liye sabse important business hai.

    What is the real breakout

    Dear Forex member jab market mein kimaton ki price support and resistance level ko touch karti hai aur apni simnat mein chalti hai to isko Ham real break out bolate Hain jaisa ki Ham jante Hain ki Ham market mein agar samajh ke kam karenge aur Market chart ko jyada se jyada follow karenge to hamen ismein ke bare mein samajh lag jaati hai aur ham bahut hi aasani se ismein kam kar sakte hain hamen pata hona chahie ki support resistance level ko jab price touch karti hai to market mein break out banta hai chahe wo real ho ya fake hamen ismein kintu ki kharido from per najar rakhni hoti hai aur Market ki news ko jyada se jyada follow karna hota hai isase hamen market ka knowledge milta hai vah next move ke bare mein pata chalta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (48).jpeg
Views:	9
Size:	9.1 کلوبائٹ
ID:	12416651

    What is the fakebreakout

    Dear forex member market mein use time fake break out hota hai jab kimaten market mein sport and resistance level ko to touch kar leti Hain lekin unki simit reversal ho jaati hai is Amal ko Ham fek breakout bolate Hain hamen chahie ki market ke support and residence level ko check Karke kam karna hota hai kyunki ismein fek break out bhi banti hai aur real break out bhi hoti hai isko Ham samajh ke kam karenge to hamen fayda hoga hamen ismein kam karna hota hai to hamen kamyabi milati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (37).png
Views:	5
Size:	26.1 کلوبائٹ
ID:	12416652

    Real ur fake breakout trading

    Forex member market mein agar Ham support and resistance level per kam karna chahte hain to hamen pata hai ki ismein Real aur fake break out hota hai isko jaane ke liye hamen ismein vate karna hota hai market ko hamen support and resistance level ko touch karne ka vate karna hota hai uske bad hi Ham andaza Laga sakte hain ki market mein real breakout hone wala hai hamen market mein najar rakhni Hoti hai market mein hamen ful knowledge lekar kam karna hota hai ismein hamen technical analysis aur fundamental analysis ko bhi follow karna hota hai aur usmein hamen indicator ko bhi dekhna hota hai news ko ignore nahin karna chahie kyunki market mein news jab aati hai to market mein Kafi jyada move hoti hai.
    :1f60d: hard work :1f60d:

    اب آن لائن

    Working...
    X