Trading me loss se kaise bach sakte hai?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading me loss se kaise bach sakte hai?
    Loss karne ki waja

    Trading business aik bohat hi wasee business hai is me kam karne ke bohat sare tareeqay hai har koi is me kam kar sakta hai lakin ya business aik risky business hai is me zaida ter log
    loss karte hai loss karne ki bohat sari waja ho sakti hai kuch trader bohat zaida trades karete hai jis ki waja se loss karte hai or kuch trader aise bee hai jo greed ke sath trading karte hai
    or loss karte hai ya market aisi hai ke is me jo bhe trader lalach karta hai or big volume ke sath trades karta hai wo is business me zaida ter loss hi kare ga or bee bohat sare waja hoti hai loss karne ki.
    Over Trading
    Forex market me jo trader over trading karta hai wo is market me loss hi karta hai trading plan bana kar hi kam karna chahiye agr hum Day trader hai tu hume koshish karni chahiye ke
    hum aik din me aik ya 2 trades hi kare agr hum profit hota hai tu hume me again trade nahi karni hai balke hume next trade karni hai.
    Click image for larger version

Name:	Over trading.png
Views:	1
Size:	637.8 کلوبائٹ
ID:	12553164
    Money Management
    Loss karne ki dosri waja money management hai jo aksar trader nahi karte money management karna trading me bohat zaida zarori hai hume humesha apne capital ke hisab se hi lot
    size select karna chahiye agr hum capital ke hisab se money management nahi kare gay tu is market me kabi profit me nahi rahe gay balke end of the month hum loss me hi close kare gay.
    Trading Plan
    Forex trading me kaha jata hai ke zaida ter trader loss karte hai loss karne ki aik waja ya bee hai ke logo ke pass trading plan nahi hota hai unko pata hi nahi hota ke market me kaha se
    entry leni hai or kaha se exit karna hai new trader ke pass system kam hona zarori hai profit wali trading karne ke liye.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Trading me loss se kaise bach sakte hai?

    Loss business ka hisa hai
    Kisi bhe business me loss ho sakta hai loss tu business ka hisa hota hai jaha hume business me faida hota hai waha per hume business me loss bhe hota hai lakin bat ya hai ke loss ko kam
    se kam kaise kiya ja sakta hai kyu ke humesha loss karne wala business man end per finish ho jata hai loss ko kam se kam karne ke liye kuch na kuch tu karna chahiye jis se loss kam ho sake
    forex trading me bhe zaida ter trader loss karte hai loss se bachaney ke liye kuch rules hai ya kuch bate hai jin ko follow kar ke hum loss se bach sakte hai jais ke uper bhe likha hai,
    Over trading karne se loss hota hai
    g bhai apne theek bat ki hai ke market me har waqat baithay rahne wala trader bhe loss karta hai kyu ke wo market ko daikhta rehta hai or market ki choti si choti move ko bhe read karta
    hai jis ki waja se wo double minded ho kar trade karta hai aik trade ke bad foran dosri trade kare ga agr ,loss ho jata hai tu wo again trade kare ga or lot size bhe zaida rakhay ga isi tara
    ki mistakes hoti hai jo aik trader ko loss ki taraf lay kar jati hai or loss per loss hota hai.
    Money Management na karne se bhe loss hota hai
    Forex trading me paise ko bohat hi dehan se lagana hota hai hume apne balance ke hisab se hi trade karni hoti hai zaida trade bhe nahi karni hai or aik hi trade me apna sara paisa bhe nahi
    lagana hota is market me har dafa trade kane se pahle market ka analysis karna chahiye or us ke bad hi money management kar ke trade karni chahiye.
    Apne targets ko shift karna
    trading me loss karne ki aik waja ya bhe hai ke hum apne targets ko shift karte hai yani agr humne aik jaga take profit lagaya hai or hume laga ke market aj bohat zaida profit dy kar jaye
    gi or hum apna take profit zaida kar deta hai lakin aisa nahi hota hai market wapis ati hai or apko loss ho jata hai isi wajah se aik hi dafa analysis karne ke bad apna target set karna chahiye.

    اب آن لائن

    Working...
    X