Complete Explanation of Margin & Margin Call in forex .....

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Complete Explanation of Margin & Margin Call in forex .....
    Introduction.
    Salam to all friends ksay hian ap sab dear friends aj hum bhot hi aham topic pr bat krain jis ka title margin or margin call hy agr ap is topic ko achi trha smjh lety hian to ap ko trading mian acha khasa faida hasil ho ga.


    Explain The Margin.

    Dear Friends Jab bhi aik trader ya invester kisi forex broker k sath margin account kholta (open) hai, to us trader pe ye lazim hai k wo broker k mang (requirements) k mutabiq kam se kam raqam jama karen. Ye kam se kam raqam (Money) har aik broker ka alihda hota hai. brokers ka ye raqam kam se kam $10 (kuch brokers to $1 bhi accept kar lete hen) aur ziada se ziada $100,000 tak ho sakta hai.
    Jab bhi aik trader forex market me trade open karta hai to aik khas miqdar me us k account se kuch hisa kam ho jata hai, ye hisa trader k trading position (small or large) par munhasir hota hai, jis ko lot kaha jata hai. Lot size hamesha base currency k mutabiq hota hai. Aam tawar par aik lot 100,000 units par mushtamil hota hai. Ziada tar brokers traders/investors ko Standard lot size (100,000 units), Mini lot size (10,000 units) aur Micro lot size (1000 units) ki sahulat muhaya karte hen. Kuch brokers ne to Nano lot size (100 units) me bhi trading dena shoro ki hai.


    Explain The Margin call.
    Dear Friends Forex trading market me taqreeban tamam brokers apne traders k account ko dekh (observe) kar rahe hote hen. Agar traders/investors ka account margin 80% se kam hota hai to wo apne client ko email ya notification k zarye se agah karega. Agar trader ka account 50% par a jata hai to us sorat me brokers kuch trades ko close karega, ya apne client ko aur raqam apne account me deposit karne ko kahega. Is amal se wo apne client’s k account ko mehfoz karne ki koshash karte hen. Agar account ka magin bohut kam level pe a jata hai to us sorat me brokers tamam trades ko bhi band kar sakta hai. Margin call har aik broker ka alihda ho sakta hai. Is me traders se koi raye nahi le jati k wo kis position pe apne margin call ko muntakhib (select) karte hen. Albata margin call ko traders apne account k leverage ko kam ya ziada karne se badal kar sakte hen.

  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Margin
    Forex trading me margin se morad hamare deposit raqam ki wo limits hen jis se hum forex trading me hum kisi currency ko buy ys sell karne k leye istemal karte hen. Margin ko percentage (%) me hi count kia jata hai. Margin ka bhi hisab kitab leverages se hi jaisa hai lekin ye percentage me count kia jata hai k aik trader ko lazmi apne account me kuch percent tak deposit karna hoti hai, ye percent deposit cahging fee nahi hai lekin ye traders ki investmenthoti hai jo lazim hai us pe. Aagar aik tarder apne account me 1000$ add karta hai aur ye broker k hisab se 1% hai to brokers us k sath 99% margin apne side add karta hai. Jab bhi hum apne account se trade ko open karte hen to ye percentage kam ho jati hai. Aur ye koi charges nahi hai bas ye aik khas ratio hota hai hamare account ki aik kisam limits hoti hai. Hum jab bhi forex trading me kisi brokers k sath raqam jama karte hen to hamara margin us waqat apne jama karta raqam k hisab se kam hota hai lekin jab brokers hamen leverages deta hai to humara account ka margin increase ho jata hai aur hum pher us se ziada stocks ko buy ya sell kar sakte hen. Margin ka chonkeh direct taluq hamare account ki leverages se hota hai to jitna hum apane account ka leverage zyada se zyada rakhen ki koshash karengay to hamen us hisab se ziada margin melega mt4 ya mt5 account me aur isi tarah se hum ziada items ya stocks khareedne k ihel honagy. Margin ka hamen ghalt istemal nahi karna chaheye k agar hum trading shoro karen aur koshash karen k hum apne account ka margin bulkul zero karden aur loss ki sorat me hamara margin negative me chalta rahe. Forex trading market me 1% margin ki agar hum baat karen to ye bhi kam nahi hai, 1% margin se murad hai k aik trader apne 1,000$ k account se 100,000$ ka account chala raha hai. Yani hamare account ki limits itni increase ho jati hai. Jab bhi hum brokkers k sath koi account open karte hen to aur apne account me raqam deposit karte hen to hamara margin bhi shoro ho jata hai.
    Explanation
    Jab bhi hum kisi brokers k sath account open karte hen to us k bad hum apne account me deposit karna zarori hota hai nahi to hamara account margin zero show hoga. Pher brokers hu hamen hamare account ka margin deta hai jo k percentage (%) me hoti hai. Agar hum apne account me 1000$ deposit karte hen to is ka matlab hai k hamara account 1% margin ka hai baqi 99% brokers hi jama karte hen. Is se hamare account ki limit increase ho kar 100% ho jati hai aur is se hum ziada stocks me trading karne k ehel hote hen. Margin ka inhisar har aik brokers ka alihda hota hai. Aur kabhi kabhi wo is ko increase bhi karte hen, jese kuch brokers weekend pe high risk ki waja se margin 2% kar dete hen.
    Margin Call
    Aagar aik trader aik broker k sath 1000$ ka account open akrta hai aur brokers is ko 1% k hisab se 100,000$ tak us k account ki limit ko increase karta hai (yani 99% margin khud add karta hai). Aur trading shoro karne k bad traders ya investors k account ko loss ho jata hai jis ki waja se us ka account 1000$ loss me chala jata hai to broker apne clients /investor/trader ko warning jari karta hai k ya to wo apne account me mazeed deposit kare k us ka account khasare se nikal jaye aur ya wo kuch stocks ko maojoda market rares pe sell karden. Ta keh us ka acccount safe rahen. Lekin agar wo aisa nahi karta hai to us ko margin call de jati hai aur broker khud hi us k account se kuch trades ko sell kardeta hai aur agar loss bohut hi ziada ho to us se broker apana margin nikal deta hai q k us ka account wash hone pe mazeed trading ka ihel nahi hota. To ye account ka margin call hota hai jis me traders ka account bohut hi ziada low level pe chala jata hai.
    Alarm Manager Tools
    Forex trading me alaram manager tooles hum apne trading ki reminder waghera k leye istemal karte hen. Forex trading me alarm manager tools hum forex trading ki automatic aur mukamal personalized trading k leye istemal karte hen. Alarm manager tools ko hum forex trading me apne account ki notification aur markets ki current situation k bare me istemal karte hen. Jab bhi koi event ho jata hai to ye automatically action leta hai. Agar hum Forex trading me alarm manager tools k sath Twitter, email ya SMS options attached karte hen to hum is se automatically update bhi hasil karte hen.
    Alarm Manager Tools ka Istemal
    Forex trading me hum alarm manager tools ka istemal kuch is tarah se kar sate hen.
    1. Hum aik khas position pe alarm manager ko set karte hen kjab bhi hamara margin kisi khas percentage ko cross karen to ye hamen automatically sms ya email k zarye lhabardar kare.
    2. hum alarm manager tools ko is waja se bhi istemal kar sakte hen k agar hamara account 10% limit ko cross karta hai to jo trades chal rahen hon wo cross hone na den, ya wo un ko close kar den.
    3. hum mukhtalif time pe ya mukhtalif sessions k mutabiq trading ki selection kar sakte hen, jese k subah 8am pe trade open ya close ho, aur ya New York session pe trade open ho jaye(lekin time ka dena zarori hai), hum is me time duration bhi de sakte hen.
    4. hum us sorat me warning den, jab forex market me stop loss lagana bhol jayen to, stop loss ka use is waja se bohut zarori hai.
    5. technical indicators k zarye bhi trading ki opening aur closing kar sakte hen. Jese RSI indicator ki madad se trade ki opening aur closing waghera.
    6. jab bhi RSI ya MACD waghera pe above average ya bellow average k trade price chala to automatically trade ki opening ya closing karen. Hamen ye Forex Trading me bohut help deta hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X