Support and Resistance
Support se murad prices ka financial charts par wo zone hota hai, jahan se qeematen mazeed nechay nahi jati bulkeh qeematen rebound ho jati hai. Jab k resistance zone areas hote hen, jahan par qeematen prives chart par mazeed upward nahi jati aur baar baar rebound hoti rehti hai. Ye dono zones prices k low aur high range hote hen, jahan se qeematen baar baar wapis hoti rehti hai. Financial market me aksar qeematen aik do sathon (levels) k darmeyan baar baar uper-nechay (up-down) ho rahi hoti hai, uper satah (level) pe jis point ko qeematen chone (touch) karne k baad wapis ati hai, qeematon ka Resistance level kehlata hai, jab k wo point jis pe qeematen nechley position ko cross karne me nakam hoti hai, aur qeematen wapis uper chali jati qeematon ka Support level kehlata hai.
Support and Resistance zone ki Tafseel
Financial market me support and resistance lines aik behtareen aur umda concept hai, jis ko tamam traders bara ihteram karte hen. Yani traders trading k dowran kabhi bhi support and resistance levels ko nazar andaz nahi kar sakte hen. Aik currency jore me jis me trading ki jati hai, qeematen apas me aik dosre se sakht muqabela karti hai. EUR/USD currency jore me dekh len, k EUR traders currency ko aik semat me khench rahe hote hen, jab k USD traders currency ko dosre taraf le jane me lagay howe hote hen. Qeemat ki semat se pata chalta hai k ye muqabela kon jeet raha hai. Har baar jab qeemat aik khas level tak pohunch jati hai, EUR traders EUR ki value ko wapis lejayengay, aur us ko mazeed gerne se ya downgrade karne se rokengay. Is qisam ki qeemat ki karwaye ko support kaha jata hai, q k EUR k traders EUR ki vlaue ko up karne ki koshash karte hen. Support ki tarah resistance level wo point hai, jis oe sellers qeemat ko control karte hen, aur unhen mazeed uper jane se rokhte hen. Support k level us qeemat ki nishan-dahi karti hai, jahan ziada tar sarmaya karon ki khayal hai, k qeematen ziada hongi, aur resistance level us qeemat ki nishan-dahi karti hai jis par sarmaya karon ki aksareyat mehsos karti hai, k qeematen kam hongi.
Support and Resistance Zone Malom karna
Traders k leye ye bohut zarori bhi hai aur acha bhi hai k wo apne currency pair par trading k dowran support aur resistance levels ko maloom kare. Support and resistance levels ko maloom karne k leye chart par horizontal line khench (draw) kar kia ja sakta hai. Support aur resistance ki development kisi bhi chart par sab se ziada wazih aur baar baar dekhaye dene wala ansar hai. Ye aisi position ho sakti hen, jahan traders take profit ya stop loss ko set karwa sakta hai. Support aur resistance levels pe jitni waqat tak qeematen ziada rehti hai, us munasibat se ye levels bohut zyada aham ho jati hai. Qeematon ka resistance aur support levels hamesha aik jaisa nahi rehta, bulk waqat k sath sath ye market ki hado-hal (situation) k mutabiq up ya down shift hote jate hen.
Support and Resistance levels ka Breakout
Support aur resistance zone hamesha aik jaisa nahi rehta hai. Jab bhi qeematen resistance levels ko breakout karti hai aur aik new resistance level banati to aksar awqat pechla resistance level support level ban jata hai, isi tarah jab support level breakdown ho jata hai, aur aik new support level ban jata hai, to purana support level new resistance me shamil ho jata hai.
Chart patterns par jab bhi qeematen baar baar same high and low banati hen to us sorat me hum chart me trend line draw nahi kar sakte ya us ko sideways trend bhi keh sakte hen. Lekin jab bhi qeematen bullish trend pe ya bearish trend pe move kar rahi hoti hai, to us sorat me hum trend line asani se draw kar sakte hen. Jab bhi qeematen bullish move kar rahi hoti hai to trend line qeematon k lower-lows ko mela kar bane gi, lekin bearish trend pe chalne wali qeematon ka trend line higher-high ko mela kar banega. Yani tren line ka support aur resistance k sath bara aham relationship hai.
Trading on Support and Resistance
Chart patterns par support aur resistance levels hamare leye trading me take profit aur stop loss ka kaam karte hen. Support and resistance levels pe wese to scalping trading ki ja sakti hai, lekin baqayeda trading k leye dosre indicators ya chart patterns ka sahara bhi lena parta hai. Support and resistance levels aik technical analysis me aik behtareen tools ka kaam karte hen. Ye levels hum bagher kisi indicator ya oscillator k maloom kar sakte hen, q k ye humen chart me asani se nazar a jate hen. Support aur resistance point ko entry aur exit point k leye istemal kia jata hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим