Positive slippage vs Negative Slippage
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Positive slippage vs Negative Slippage
    forex ma slippage hm us situation ya condition ko kehtay hain jb koi order open ya close kia jay to current position ki bjay market upward ya downward move kar jay aur hmara order aik new position par place ho jay, slippage us waqt hoti ha jb market ma buy aur sells k darmian equillibrium na ho, forex ma 2 tarah ki slippage hoti ha aik positive aur dusri negative slippage,



    Positive slippage

    jb hm market ma koi order place kartay hain to market k back move karnay sa hmara order aik new aur less position par execute ho jata ha jo ziada mufeed sabit ho is ko hm positive slippage kehtay hain, isi tarah koi order close kartay huay b agr market up move kar jay aur new position par trade close ho to ye b positive slippage kehlata ha, jaisay hm trade open karnay k liay kisi pair ko 1800.00 par buy karain aur market further down move kar jay jis sa hmara order 1750.00 par execute ho ya trade close karnay k liay hm 1800.00 select karnay ki koshish karain lakin market up move kar jay aur hmari trade 1850.00 par close ho in situations ko hm positive slippage kehtay hain.



    Negative slippage

    jb hm market ma order place karain aur prices further move kar jaen jin sa hmari trade ghalat situation par open ho jay usay negative slippage kehtay hain, jaisay agr hm kisi pair par 100.00 par trade open karain mgr wo 101.00 par execute ho jay, ya isi tarah agr hm koi trade close karnay k liay 100.00 ki position select karnay ki koshish karain mgr trade 99.00 par close ho jay in conditions ko negative slippage kahain gay



    Difference B/W Positive slippage vs Negative Slippage

    Forex trading me slippage jb trader ki favour ma ho jae to esko ham positive slippage kehty hain. Jesa k trader ko agr trade close karni hai or wo trade close ni hoe to bad ma trader ka profit zayada ho jata hai to esko ham positive slippage kehty hain. But agr trader apni trade ko slippage ki waja sy close ni kar pata or market profit sy loss ma ponch jati hai to esko ham negative slippage kehty hain. Trader trading tools k help sy market slippage ko counter kae sakty hain. Ik trader ko agr trade close karni hai to esko chahe k stop loss or take profit use kary or trader ko agr trade open karni ho to esko chahe k wo pending orders ko use kary or trade ko open karny k lae wo limit order ya stop order ko use kary. Or apny account ki base par manage kary.

  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Positive slippage vs Negative Slippage

    Market mein Jab aap working karte Hain to aapke liye most important hai yah aata hai ki aap jis required price per market mein enter hona chahte Hain aapko vahi sem price Mile to is purpose ke liye aapko market mein different important factors ko find out karna hota hai aur iske mutabik apni decision making karna hoti hai kyunki sometime market mein Volatility bahut jyada hoti hai jiski vajah se aapko market mein Slippage ka samna karna hota hai iski kuchh details main aapse share karne ja raha hun jo aapke liye most important roll play kar sakti hai.

    What is Slippage

    Jab aap market mein Koi entry Lena chahte hain aur use time per market mein market ki movement bahut fast hoti hai jiski vajah se aapki entry exect use point se nahin open ho sakti hai to aisi condition mein aapko Slippage ka samna karna hota hai. Basically iski yahi reason hoti hai ki Jab aapko market mein bahut jyada movement dekhne ko milati hai to aisi condition mein aapki trade open hone mein aur close hone mein kuchh problems hote Hain.

    Types of Slippage

    Jab aap market mein bahut jyada movement hone ki vajah se market mein apni required price per Entry aur exit nahin Le sakte hain to definittely iski kuchh important reasons hoti hain aur iski aap classification kar sakte hain iski kuchh important types main aapse discuss karne ja raha hun.

    Positive Slippage

    Dear members Jab aap market mein kisi time per Entry aur exit le rahe hote hain to sometime market ki movement bahut jyada hone ki vajah se aapke request per Amal nahin kiya jata aur aisi situation mein aapke liye Same time kuchh problem ho sakti hain lekin iske sath sath aapko kuchh benefits bhi ho sakte hain jiski vajah se aapko market mein plus point mil sakta hai Jab aap market mein aapki rejection hoti hai to uske bad next time per Jab aap observe karte hain to market jyada aapki favor mein hoti hai jiski vajah se aapko iska advantage mil sakta hai.

    Negative Slippage

    Dear member Jab aap market mein apni required price per entry le rahe hote Hain to aisi condition mein aapke liye sometime nuksan hota hai kyunki Jab aap jis price per entry Le Rahi hote hain to aapki exact use price per entry nahin Mil sakti jiski vajah se aapko nuksan hota hai ya Jab aap market se out hone ja Rahe hote Hain aur aapki trade profit mein hoti hai to usmein bhi aapko Same time kuchh nuksan ho sakta hai aur aapke liye kuchh problem ho sakte hain jiski vajah market ki bahut jyada extra ordinary movement ho sakti hai.

    How to Avoid Slippage

    Agar aap market mein kamyabi hasil karna chahte hain aur aisi condition mein market mein aisi situation mein iske negative factors ko ignore karna chahte hain to is purpose ke liye aapko pending order ka study karna hota hai aur iski utilization karna hoti hai kyunki Jab aap pending orders ko acchi tarah utilised kar lete hain to ismein aapko bahut fayda mil sakta hai aur ismein aapko bahut advantages available ho sakte hain kyunki pending order per aapki required price per hi trade open aur close hoti hai jiski vajah se aapko market mein is factor ki vajah se bahut jyada problem face nahin karna hoti.

    اب آن لائن

    Working...
    X