Trading Success with Doji Candle in Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading Success with Doji Candle in Candlestick Pattern
    What is Candle and How We Trade with Candles

    Jab ham forex market ki movement ko candlestick chart pattern main read kerty hain tou hamain different types ki candles dekhny ko milti hain ky market ko jab ham different time frames main read kerty hain tou jo ham ny time frame select kia hota hai usi ky mutabiq candles hoti hai jesy agar ham one minute time frame use kerty hain tou her minute ky start hony per new candle start hoti hai aur minute khatam hony per candle close ho jati hai jabky bary time frames main bhi aesy hi hota hai ky jesy one hour ka agar ham time frame set kerty hain tou her new hour start hony per candle open hoti hai aur hour ky khatam hony per same candle close ho jaey hain so her time frame interval main market ki different movement hoti hai jis per different types ki candles create hoti hain jin main sy kuch candles bahot effective hoti hain ky jab bhi market main same candle create hoti hai tou her dafa market ka same behavior hota hai jis per ham trade open ker ky profit hasil ker sakty hain

    Click image for larger version

Name:	candle.png
Views:	13
Size:	2.4 کلوبائٹ
ID:	12553047

    Doji Candle

    Doji candle aesi candle hoti hai jo market ki movement per is terha sy create hoti hai ky jab same candle open hoti hai tou same time per market kisi bhi direciton main movement kerti rehy lekin jab same candle close hoti hai tou usi point per close ho jati hai jahan sy start ho chuki hoti hai jis sy aesi candle create hoti hai jis ki koi body nehi hoti lekin dono directions main wick ho sakti hai ya aik hi direction main wick hoti hai lekin agar market normal movement ker rehi ho tou aesy time per agar doji candle create hoti hai tou woh itni effective nehi hoti lekin agar market fast movement kisi bhi direction main ker rehi ho aur same time per koi doji candle create ho jaey tou its mean ky same direction main market ki mazeed movement nehi hogi jabky reverse order main market apna new trend start ker sakti hai tou aesy time per reverse direction main ham trade open ker sakty hain lekin doji candle ki bhi kuch types hain jin main sy koi aik bhi create hoti hai tou market ka behaviour different hota hai jin ko following para main discuss kerty hain

    Click image for larger version

Name:	doji-candlesticki.jpg
Views:	33
Size:	33.2 کلوبائٹ
ID:	12553048

    Different Types of Candles

    Agar ham market ky chart ko read kerty hain tou hamain different types ki candles nazar ati hai jin main bear candle bull candle pinbar tweezer top tweezer bottom morobozo candle doji candle hammer candle spike candle waghera shamil hain tou in sab main sy different time main create hony wali kuch candles bahot hi effective hoti hain ky jab market ki kisi direction main movement per same candle create hoti hai tou next movement ki direction confirm hoti hai ky ham usi direction main trade open kerty hain tou hamain acha profit hasil ho jata hai jabky kuch candles tou kisi khas position per create hony per market ki movement ka trend hi change ker deti hain jesy ky agar market upward trend main continue movement ker rehi ho aur kisi bhi position per doji candle create ho jaey tou its mean ky market ka trend change hony ja raha hai so doji candle forex market ki movement ko bahot zyada effect kerti hai ky jab market aik hi trend main movement ker rehi ho aur doji candle create ho jaey tou wahan sy trend change ho jata hai

    Click image for larger version

Name:	candletypes.jpg
Views:	6
Size:	80.4 کلوبائٹ
ID:	12553049

    Types of Doji Candle

    Doji candle ki basic four types hain jin main start doji gravestone doji dragonfly doji aur long legged doji jabky aik fifth type of doji candle bhi create ho sakti hai jis ko 4 price doji candle kehty hain ky jab same candle open hoti hai tou market kisi bhi direction main one pip bhi move nehi kerti aur candle close ho jati hai jis sy just aik horizontal line hi create hoti hai so agar gravestone doji candle create hoti hai tou iska matlab hota hai ky market uptrend main apni movement complete ker chuki hai ab next movement downward start hony wali hai dragonfly doji candle jab create hoti hai tou its mean ky market downtrend main apni movement complete ker chuki hai ab market ki next movement upward direction main hi hogi jabky start doji candle jab create hoti hai tou us per confusion hoti hai ky market kisi bhi direction main movement ker sakti hai lekin jab long legged doji candle create hoti hai tou market dono direction main movement ker chuki hai ab market rest position mai jany wali hai ky same pair main kuch time ky liay trade stop ker deni chahiay

    Click image for larger version

Name:	dojitypesl.png
Views:	26
Size:	24.2 کلوبائٹ
ID:	12553050
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Trading Success with Doji Candle in Candlestick Pattern

    WHAT IS A DOJI CANDLESTICKS PATTERN :





    Doji ak candlestick pattern ha ya pattern ak Japanese candlestick pattern ha ya pattern jab market ka chart ma banta ha to is ma market ke jo opening or closing price ak dosra ka near ma hote ha ya ak dosra ko cross karte hoi ak dosra ka almost same hote ha. Ya doji candlestick pattern ak high profit target pattern ha ya pattern ak bahot he popular pattern ha or is pattern ko market ka all traders or investors use kar sakta ha ya ak bahot he easy pattern ha is pattern ko market ka chart ma easily find kiya ja sakta ha or is ma easy trading ke ja sakte ha. Ya doji candlestick pattern huma all time frame ma dakhna ko mil jata ha jo ak specific shape ma banata ha or ya doji pattern huma market ka future direction ka batata ha. Is doji candlestick pattern ke formation tab ho ge jab market ke opening or closing price exactly ak dosra ka equal ho ge. Ya doji candlestick pattern jab banay ga to is ka start ma market ke price bullish ke traf jay ge or is ma market ke price bearish ke traf jay ge is pattern ma market ka bullish or bearish ka pressure same ho ge or jab ya close ho ga to is ma market ka bullish or bearish ak dosra ka equal ma ho ga or ya huma market ka indecision ka batay ga.





    TYPES OF DOJI CANDLESTICKS PATTERN :





    Doji candlestick pattern ke bahot se different types ho ge or in ma doji different trha sa banay ge ya market ka uptrend ma bhi bana sakte ha or downtrend ma bhi magar jaha bhi ya doji pattern ke types banay ge to in ma market ke opening or closing price ak dosra ka same ho ge or ya or ya jes jaga par bhi banay ge to ya huma market ka indecision ko show kara ge.





    1: NEUTRAL DOJI CANDLESTICKS PATTERN :





    Ya neutral doji ak sab sa common candlestick pattern ho ga ya neutral doji pattern huma market ka chart ma kese bhi point ma dakhna ko mil sakta ha magar ya pattern jab kese trend ka end ma banay ga to ya pattern ak best strength ko banay ga market ma profit hasil kar na ka liya. Ya pattern jab banay ga to ya ak small doji candle ho ge is ma market ke opening or closing price ak dosra ka exit same ho ge or is ka open or closing price ka top or lower ma small shadow ho ga or ya shadow market ma high or low point ka batay ga. Ya neutral doji candlestick jab market ma kese trend ma banay ge to ya jab ban kar complete ho ge to ya huma market ka indecision ka batay ge is ma na he market ke price high ke traf jay ge or na he market ke price low ke traf jay ge. Is pattern ka bad jo next candle banay ge wo is ke conformation kara ge agar ya uptrend ka end ma banate ha or is ke next candle lower ma close hote ha to traders ko market ka downward ke traf ana ka signal mila ga or is ma traders sell ke trade ko enter kara ga or asa he ho ga jab ya downtrend ma banay ga magar is ma buy ke trade ko enter kara ga.





    2: LONG LEGGED DOJI CANDLESTICKS PATTERN :






    Ya long legged doji bhi doji candlestick pattern ke trha sabanaye ha is mabhi market ke opening or closing price ak dosra ka near ma hote ha ya pattern jab banay ga to is ke is opening or closing price near ma ho ga or is ma jo opening or closing price ka top or lower ma dono traf shadow ho ga or is ma ya shadow long shadow ho ga ya market ke opening or closing price sa ak high point or long lower point ko banay ga. Ya pattern jab banay ga to ya uptrend ka top ma banay ga ya phir ya downtrend ka bottom banay ga ya pattern jab bhi market ka chart ma banay ga to is time market ma jo trend chal raha jo ga to ya os ko reversal kar da ga. Ya long legged doji pattern market ko bullish sa bearish ke traf reversal karna ka kam kara ga or ya market ko bearish sa bullish ke traf reversal karna ka kam kara ga is pattern ka trend ka end ma close hona ka bad traders is ka trend ka opposite ke traf trade ko enter kara ga.





    3: DRAGONFLY DOJI CANDLESTICKS PATTERN :





    Ya dragonfly doni candlestick pattern jab market ka chart ma banay ga to is ma jo open or closing or jo market ka high point ho ga wo ak dosra ka equal ho ga yani is pattern ka top ma koi shadow ni ho ga or is ka lower ma ak long lower shadow ho ga ya pattern jab bhi banay ga to ya market ko trend ka opposite ke traf move karna ka kam kara ga. Ya jab market ka lower ma banat ha to jo is ka lower long shadow hota ha ya huma market ke price ka uptrend ke traf reversal hona ka batata ha or ya pattern jab market ka uptrend ma banata ha to is ka long lower shadow huma batata ha ka ya huma market ka strongly downward ke traf ana ka batata ha.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Trading Success with Doji Candle in Candlestick Pattern

      1. Doji Candle Ka Taaruf


      Doji candle ek aisi candlestick pattern hai jo trading charts par bahut ahmiyat rakhti hai. Iska asal maqsad market ki uncertainty aur indecision ko dikhana hai. Jab doji candle banti hai, toh iska matlab hota hai ke buyers aur sellers dono ki taqat barabar hai.
      2. Doji Candle Ki Pehchaan


      Doji candle ko pehchaanne ka sab se asan tareeqa ye hai ke iski body choti hoti hai aur shadows lambi hoti hain. Iska matlab hai ke price ne ek waqt par upar aur neeche dono taraf movement kiya, lekin aakhir mein closing price aur opening price barabar rehti hai.
      3. Doji Candle Ki Qismain


      Doji candles ki mukhtalif qismain hain, jese ke standard doji, long-legged doji, gravestone doji, aur dragonfly doji. Har ek ki apni khasiyat aur market ke trend ke sath taluq hota hai.
      4. Doji Ka Ahamiyat


      Doji candle ka ahemiyat is mein hai ke ye trend reversal ya continuation ki nishani ban sakti hai. Jab bhi market mein uncertainty hoti hai, traders is pattern par ghor karte hain.
      5. Doji Candle Aur Trend Reversal


      Jab doji candle kisi upward trend ke baad banti hai, toh ye is baat ki nishani ho sakti hai ke market mein reversal aa sakta hai. Yani, price ne ab neeche ki taraf jana shuru kar diya.
      6. Doji Candle Aur Trend Continuation


      Agar doji candle kisi downward trend ke baad banti hai, toh ye is baat ki nishani ho sakti hai ke market phir se upward move kar sakta hai. Yani, doji pattern continuity ki taraf bhi ishara kar sakta hai.
      7. Doji Candle Ki Strategy


      Doji candle ke sath trading karte waqt kuch strategies istemal ki ja sakti hain. Ek aam strategy ye hai ke agar doji candle ke baad bullish candle aati hai, toh buying ka signal milta hai. Is tarah traders apne entry aur exit points tay kar sakte hain.
      8. Doji Candle Ki Confirmation


      Kisi bhi trading decision ko confirm karne ke liye doosri candles ko bhi dekhna zaroori hai. Agar doji candle ke baad koi strong bullish ya bearish candle aati hai, toh ye confirmation hota hai ke market ka trend kya hoga.
      9. Risk Management


      Doji candle ka istemal karte waqt risk management bhi zaroori hai. Traders ko apne stop-loss aur take-profit levels ko theek se set karna chahiye taake unhein kisi bhi loss se bacha ja sake.
      10. Doji Candle Aur Volume Analysis


      Volume analysis bhi doji candle ke sath mukhtalif signals de sakta hai. Agar doji candle banti hai lekin volume low hai, toh ye is baat ka signal hai ke market mein zyada interest nahi hai. Isliye traders ko volume ko dekhte hue decisions lena chahiye.
      11. Doji Candle Ki Khaasiyat


      Doji candles ki khasiyat ye hai ke ye market ki overall sentiment ko samajhne mein madad karti hain. Ye is baat ki nishani hai ke traders ke beech mein uncertainty hai, jo future price movements ko influence kar sakti hai.
      12. Psychological Aspects


      Doji candle ka aik psychological aspect bhi hai. Ye traders ke liye ek signal hota hai ke abhi tak market mein koi decisive action nahi hua. Ye traders ko sochne par majboor karta hai ke ab kya karna chahiye.
      13. Doji Candle Ka Istemal


      Doji candle ka istemal sirf stock market tak mehsoor nahi hai, balki forex aur commodities mein bhi kiya ja sakta hai. Har market mein iski ahmiyat alag hoti hai, lekin general concept wahi rehta hai.
      14. Conclusion


      Doji candle trading ka aik powerful tool hai, jo traders ko market ki uncertainty aur indecision samajhne mein madad karta hai. Agar traders is pattern ko sahi tarike se samjhein aur use karein, toh wo apne trading success ko barha sakte hain. Doji candle ka istemal karte waqt hamesha risk management aur volume analysis ko nazar mein rakhna chahiye, taake trading decisions behtar ban sakein.

      اب آن لائن

      Working...
      X