Four Price Doji Candle
Four price doji candle aik nayab candle hai, jo k prices main ya to supply aur demand ki barabari ya buyers aur sellers ki market me adam dilchaspi ki waja se ye candle banta hen. Prices doji candle ki banne me aik makhsos timeframe main open, high, low aur close aik hi point par hota hai, jiss se candle aik line jaisi lagti hai. Four price doji candle prices aik khas position par latki rehti hai, jiss se na to candles ki up, down par koi wick banti hai aur na hi in dono sematon par candle ki real body hoti hai. Ye candle ya to bohut ziada small timeframes main banti hai aur ya ye aik khas events jaise weekend ya assets k brokers k sath trades expire hone ki sorat main bhi aksar aisa hota hai. Ye candle ziada tar bohut small timeframes ya markets k darmeyan k waqfay mai aur ya un currencies pairs main bati hai, jiss par trading bohut kam hoti hai, yanni "Exotic Currency Pairs". Four price doji candles main prices ki high, low, open aur close same hi point ya point par hota hai.
Candle ki Pehchan k Rules
- Four price doji candle chart pe line jaisi dekhaye deti hai, q k candle me qeematon ka open-close aur high-low same point pe hota hai.
- Candle ki na to real body hoti hai, aur na hi is candle ki kisi side pe shadow hoti hai.
- Ye aik neutral candle hoti hai, q k qeematen apni jagah se halki bhi kisi aik side pe move nahi hoti.
- Is candle k banne ka matlab hota hai, k market me investors ki adam dilchaspi hai.
- Candle me prices ka din k aghaz aur ekhtetam par same hi position par hone ki waja se ye candle ban jati hai.
Candle ki Tafseel
Doji candles me aik khas baat ye hai k ye candle bagher real body ki hoti hai, Aam tawar par doji candle aik neutral candle hoti hai, q k is ki real body bulkul hoti hi nahi hai. Isi tarah se Doji candles me aam bullish aur bearish candles ki nisbat shadow hi bohut zyada ahmeyat ki hoti hai. Candles ka shadow jis side pe ziada hota hai, to umoman qeematen us semat ki ulat (reversal) side pe jati hai, q k qeematen us side ko reject kar chuki hoti hai. Four Price doji candle bhi baqi doji candles main banti to hai lekin ye aik nayab candle candle hoti hai, q k aisa bohut kam hi hota hai k prices kisi aik hi position par stuck rehti ho. Ye candle up aur down side par na to real body rakhti hai aur na hi iss k upper ya lower side par shadow hota hai. Four price doji candle ki khas baat ye hai k jab bhi ye candle market main banti to aksar iss k baad bohut teezi k sath breakout wale side par jati hai.
Candle par Trading
Four Price Doji Candle bohut kam hi market me banti hai, is ko trend reversal ya trend continuation dono k leye leya ja sakta hai. Jab bhi ye candle banne ka matlab hai, k qeematen kam mutaharek hen, ya un pe kisi side se ziada dabao nahi hai. Agar four price doji bearish trend k baad banti hai aur teesri candle bullish banti hai, to is ka matlab hai k bearish trend bullish trend me badal chuka hai, aur market buy entry k leye ready hai. Four price doji candle dosre doji candles se bohut ziada mukhtalif dekhaye deti hai, q k ye prices main aik line si dekhaye deti hai. Four price candle agar prices k top par banti hai yo aik bearish confirmation candle k baad market main sell ki entry ki ja sakti hai, jab k prices k bottom par iss par confirmation candle k baad buy ki entry ki jati hai.