AoA dear member
kaise hain Sab ummid Karta hun khairiyat se Honge. Kch masrofiat k bais post ni kr pa raha tha issi lye aj post krty hue ek important topic le k aya hu. Ham Forex trading Karte To Hain Magar kya Ham Jante Hain Ki yah Pakistan mein alaud hai ya nahin to aaj ka Hamara topic yahi hai aur yah information bahut jaruri hai Kyunki Ham Jo business kar rahe hain aur effort kar rahe hain kya Achanak Ek Din Le Jaya Na Ho Jaaye aur aur Hamari efforts Mulk ke Kanoon ke khilaf hun ya Ham per Koi elegation Na Lag Jaaye to Chalte Hain Apne topic ki taraf.
Is Forex Trading allowed?
Dear members main aapko batata Chalun ki Forex trading Jiske main aur aap Ham Sab members Hain yah Pakistan mein mukmmal Taur per legal hai aur Forex se profit aur loss Pakistan ke Kanoon ke mutabik hai yani Hamen ghabrane ki jarurat Nahin Lekin Iske bahut Se pahlu Hain aur Hamen UN Tamam pahluon per Najar dalni Hogi.
Dear members Forex trading Jo ke Pakistan mein legal hai legal hone ke liye iski Kuchh kanuni retirements Hain Jo ke Niche discuss ki gai hai aap Inko gaur se padh le.
Method of depositing investment
Dear members vaise to Jab Bhi ham Forex trading start Karte Hain To Ham Kisi broker ke jarie market mein enter Hote Hain aur trading kar sakte hain vah broker Hamen investment deposite yah withdraw karne ka suitable aur easiest method provide karta hai jo ki legal Hota Hai aur vah Hota Hai Bank ke jarie Bank mein Bahut Si sahuliat muyasar hoti hein. Aur Behtar yah hai ki ham Tamam investment bank ke jarie hi Karen Kyunki Bank Hamen transaction ka Saboot provide karta hai. Aur Yahi legal method hai Agar Ham transaction Bank ke Bajaye cash mein Karen to is Surat mein Dhokha aur froad ho sakta hai.
Tax payers:
Ex trading mein Koi Bhi broker Jab trade start karta hai to vah isase pahle apni company government off Pakistan ko registered karvata hai aur uske bad hi vah trading kar sakta hai aur registered company yakini baat hai ke annual Taur per tax pay karti hai Pakistan mein Tamam broker Apne customer ko yah service without any charges or without any share in tax provide krty hein. Jab aap Apne business ke liye broker ka intekhab Karen to yakin hi banaen ki vah regularly Apna tax pay kr raha hai r koi prblrmatic ni hai.
Registerd Broker With Stock Exchange
Forex trading main enter Hote hue Jab aap aap apne broker ka selection Karen to yakin hi banaen ki vah stock exchange se properli registered hai aur yah bhi yakin hi banaen ki vah apni company ran karta hai aisa bhi ho sakta hai ki koi broker Kisi Aur company ke liye broker Ho ya usko assist karta ho aur aapko apni company separate show Karen Aisi Surat mein aapke liye problem ho sakti hai.
Money Laundering is an offence:
dear member forex trading me legal entity hony ke liye Money laundering ke factors ko carefully focus karna r smjhna important hota hai Kyunki agar ap apka broker Aisi activities Mein involve Hota Hai To usko Ban Kiya Ja sakta hai aur legal action bhi ho skta hai. Behtr h aese brokers ko avoid krein ta k ap ko prblm face na krni paray r investment bhi mehfoz rahy.
Conclusion
dear member main aapko simple word mein yah conclude karna chahtap hun ki agar aap government of Pakistan ki requirement ke mutabik kisi Aise broker ki selection Karte Hain Jo is per apni activities ko carry on karta hai to aap ka forex trading ka business bhi valid aur purely legal hai lekin Agar aapka broker Koi Aisi activities kar raha hai jo illegal hai to definitaly Aapka business bhi legal entity Hasil nahin kar sakta isliye aapko bahut hi careful hokar kam karna Hota Hai aur Pakistan mein legal hai ya illegal yah trading market Mein working karne se pahle definittely aapko confirm kar lena chahie ki Ham Jo working start karne Ja Rahe Hain Pakistan mein vah legal hai ya illegal.