Forex Trading Market ki Hososeyat (Pros)
Aajakal k financial market me Americaan dollar musalsal dosri currencies k muqabele me oper-nechay (up-down) ho raha hai. Traders ka almi sharah sood (intrust rate) me kami aur market ki equity me kami ki waja se aik naye karobar ki taraf rujhan barha hai. Tejarat aur gher-mulki sarmayakari me almi izafay ki waja se bohut si qomi maeeshaten (economies) aik dosre se juri howi hen. Ye bahmi rabat aur zare-mubadela (exchange rate) ki sharah me ane wale utar-charao (fluctuations) ne aik bohut bari almi market banaye hai. Forex market ne bohut se sarmayakaron (investors) k leye dichasp muaqay aur munafay k naye imkanat peda keye hen. Forex market apne investors ko market ki har tarah ki soratehal me kamaye k behtareen mawaqay (opportunities) faraham karti hai. Forex trading k marndarjazel fawayed hen:
Sab se Bari Market
Forex trading market pori dunya k sab se bari market hai, aur aik andaze k mutabiq rozana k hisab se taqreeban 6 trillions dollars ka karobaar hota hai. Itni bari market hone ki waja se ye market crash nahi hoti hai, q k na to ye kisi k andar kaam karti hia aur na hi is me hacking ka koi nizam maojod hai. Is business me pori dunya k log kaam karte hen aur rozana k bunyad pe is market me increasing ho rahi hai.
24-Hours Market
Forex trading market ki sab se bari hososegat ye hai k ye market hafte k 5 din 24-hours open hoti hai. Traders ko ikhteyar hota hai k wo apne leye aik makhsos waqat chun sakta hai jo us ko acha lagta ho aur ya wo 24-hours bhi trading kar sakta hai.
No Commissions
Forex trading me agar app kisi market maker k sath karobar karte hen to us sorat me koi clearing fees nahi, koi radu-badal (exchange) fees nahi, koi government fees nahi aur kisi bhi qisam ki koi brokerage fees talab nahi ki jati hai.
Low Spreads
Forex trading me soreads bohutvkam hone ki waja se ia business ka cost bhi bohut kam hai. Spreads mukhtalif brokers ka mukhtalif ho sakta hai lekin agar hum is ka muazena dosre karobar se karen to is me brokers ki fees (spreads) ki sorat me intehaye kam hai.
No fixed lot size
Forex trading market me koi makhsos lot size nahi hai. Jitna aik karobari (investor) ka sarmaya hota hai us k mutabiq wo mukhtalif lot size ka istemal kar sakta hai.
High Liquidity
Forex trading market ka daily hujam (volume) $6 trillions uboor (cross) kar chuka hai, is waja se is karobar me traders k pas pora muqa hota hai k wo high liquidity ki waja se market me apne aik makhsos waqat me faida hasil kar sakta hai. Forex trading market pori dunya ka sab se ziada liquidity matket hai.
High leverage
Forex trading market me hum kam sarmaye se ziada volume ki trading kar sakte hen, aur ye is waja se mumkin hai k is business me leverages bohut ziada hai. Forex trading ka margin level dosre karobar ki nisbat kam hai jis me traders k pas ziada market share khareedne ka moqa hota hai. Kuch brokers to 1:1000 se bhi ziada ka leverages apne clients ko dete hen.
No Middle Man
Forex trading ka ye bhi aik bara advantage hai k is market me trader aur market k darmeyan koye teesra fareeq (middle man) nahi hota. Forex trading me traders dorect market me entry karte hen. No middle man ki waja se forex trading ka karobar din ba din bohut zyada wasee (broad) hota ja raha hai.
Limited Regulations
Forex trading market ka ye bhi bohut bara faoda hai k is business me rules aur regulations kam hen. Clients apne brokers ko simple KYC ki badulat dunya ki sab se bari mandi (market) me rasaye hasil kar sakte hen. Is k badolat stock market aur dosre business me rules aur regulations bohut ziada hen.
Forex Trading k Nuqsanaat
Wese to forex trading market baqi financial market se kuch mamelat me behtar hai, jaise; kam volume ki requirements, time ki pabandi nahi, waqat ki koi pabandi nahi, technical analysis se trading, no commission, no taxes, kam rules and regulations etc. Lekin is k elawa forex trading me kuch aise naqayes bhi hen jo ye karobar kuch traders k leye mushkil ho jata hai.
Leverage Risk
Forex trading me brokers traders ko bohut ziada leverages de rahe hote hen, jitna ziada leverage hoga utna hi ziada trades lagane ki facility hoti hai. Forez trading me chonkeh sab se ziada leverages deye jate hen aur kam se kam trades open karne ki bhi koi limits nahi hoti, is waja se traders k sarmaye ko bohut ziada loss ka hadsha hota hai. High leverages ki waja se baaz traders apna sarmaya minto me zaya kar dete hen.
Volatility Risk
Forex trading market me dosra sab se bara masla high volatility ka hota hai. Traders k leye market ki currencies me ziada utaar charo nuqsan ka sabab ban sakta hai. Kam sarmaye wale traders aksar volatility ka shikar hote hen aur apna sara sarmaya zaya kar dete hen.
Broker Risk
Wese to forex trading market me ladad brokers maojood hen lekin new trades k leye achay brokers ka intekhab karna bohut mushkil hai. Traders k leye brokers ka risk us k sarmaye k loss se le kar market me slippage tak barqarar rehta hai. Dosra forex trading me brokers k leye license ka hosol aik mushkil marhala hai, q k forex trading market k rules aur regulations brokers k leye mushkil hote hen jo sahuleyat us ne apne clients ko dene hote hen.
Self learning or training
Forex trading ka aik issue ye bhi hai k is karobar me sab kuch khud karna hota hai, khas kar chote traders ko. Forex trading ki nisbat stock market mukhtalif hoti hai, jahan har qadam pe rahnumaye ki jati hai, lekin yahan pe aisa nahi hai. Forex trading me ziada tar new trader is business ko is waja se chor jate hen k un ki knowledge, experience aur trading skills (trading discipline, control on over-trading, use of stop loss etc.) me kami hoti hai.
Easy Access Risk
Aan kal forex trading k karobar tak rasaye bohut asaan ho chuki hai. Android ya I-phone ki madad se hum dunya k kisi bhi khone se kisi bhi waqat ye karobar chala sakte hen. Forex trading k is asan rasaye ne bhi ye karobar hamare ley riski banaya hai, khas kar new traders ya jin logo me sabar nahi hota un k leye. Forex trading k apps asani se approachable hen jis ko aksar traders har waqat open karte hen aur ziada tar new traders har waqat trading karne ki koshash karte hen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим