Shooting Star Candlestick
Shooting star candle stick ka shumar Umbrella candlestick me ata hai, jis me aik small real body wali k sath upper side par a bara saya hota hai. Shooting star candle k uper banne wala saya candle ki body ka taqreeban double hota hai, yani candle ki real body choti jab k saya kafi bara hota hai. Shooting star aur Inverted Hammer candle ka pattern same hai, lekin agar ye candle market k top pe yani ziada qeematon wale area me ban jaye to ye shooting star candlestick kehlati hai, lekin agar ye candle low price area ya downtrend me ban jati hai to ye inverted hammer candle ban jati hai. Ye candle buyers k bullish trend k dowran prices ko waqti tawar par bullish le jane ki koshash hoti hai, lekin achanak ziada selling pressure aur high price area hone ki waja se aisa mumkin nahi hota hai. Lekin bullish trend main banne wali Shooting star candle prices k trend reversal ka sabab banti hai.
Pattern ki Pehchan k Rules
- Shooting Star high price area ya bullish trend k bad banti hai, lekin ye zarori nahi hai k shooting star se pehel wali candle white hi ho, lekin ye candle ziada qeematon wale area me banni chaheye
- Candle ki real body se shadow ya wick size me double hona chahey
- Shadow candle k upside pe banna chaheye
- Candle k down side pe koi shdaw ya to hona nahi chaheye, lekin agar banta bhi hai to wo real body se size me bohut kam hona chaheye
- Shooting star candlestick white aur black dono color me ho sakti hai lekin is ki position aham hai k ye market k top side pe banni chaheye
Candle ki Tafseel
Shooting star aik single bullish candle hai, jiss k upper side par long shadow hota hai, jab k down side par small real body hoti hai. Candle ki real body small zaror honi chaheye, yani k candle ka open aur close same point par nahi hona chaheye. Candle k lower side par small wick to ho sakti hai, lekin ziada lamba saya nahi hona chaheye, jiss se candle ka pattern hi badal jaye. Shooting star candle bullish trend ya high qeematon main banne ki waja se bearish trend reversal pattern ka kaam karti hai, jiss se traders prices k leye sell ki entry karte hen. Candle hoti to bullish hai, lekin ye bearish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Ye candle small real body main aik upper long shadow k sath banti hai. Candle ka shadow real body ka dugna ya uss se ziada hota hai. Ye candle bearish trend main banne wali Inverted Hammer candle se jaisi dekhti hai. Candle ki bullish trend main high prices main banna bohut ziada aham hai, jab k iss candle ka color khas qisam ka hona aham nahi hai.
Trading on Pattern
Shooting star candle ko trend reversal ya downtrend k leye istemal hoti hai, q k ye market me up-trend pe banti hai, aur ye ziada tar bullish trend k bad banti hai, is waja se ye candle aik bearish trend k tawar pe dekhi jati hai. Candle stick white aur black dono color me ho sakti hai lekin is ki market me position yani jis area me ye banti hai wo bohut aham hai. Shooting star candle agar bullish trend k bad banti hai to is k leye canfle k bad banne wali candle ka color bohut zaror hai. Trend confirmation k leye black candle ka hona zarori hai, jis pe traders sell se market me apni position open kar sakte hen. Lekin white candle banne pe candle ki value khatam ho jaye gi aur humen us sorat me market me entry nahi karni chaheye, aur pattern ko ignore karen.