Assalamu Alaikum Dosto!
Pullback And Breakout
Trends k mutabiq trading forex market main agay rehne aur faida mand mawaqay peda karne ka aik behtareen tareeqa hai. Yeh tareeqa aap ko price k trend ki nishan-dahi karne, un ki khobiyon k analysis karne aur is ke mutabiq trading plot karne ki ijazat deta hai. Trend trading bohut si marketon ke liye mozoon hai, jaisay ke stock ya forex trading, aur iss ko new ya expert dono tarah traders istemal kar sakte hen. Aik behtar technique jab trading k trends mein pullback hota hai, to uss waqat market mein enter hona hai, q k prices apne asal trend ki taraf wapis chali jaye gi. Taham, aik aur maqbool technique breakout k baad market main daakhil honay ka tareeqa hai, jo pullback ki nisbat ziyada faida mand sabit ho sakti hai.
Pullback aur breakout par trading se pehle market main trend ko pehchanna bohut zyada zarori aur aham hai. Market k trends ko pehchanney ke liye kayi tareeqay istemaal kiye ja satke hain, jin mein se bohat si techniques mushkil hain, lekin kamyabi k liye un ka hona zaroori nahi hai. Trend ki nishandahi karne ke aasaan tareen tareeqon mein se aik yeh tay karna hai ke aaya price aik khaas peroid ke dowran is ki average se ziyada hai ya kam. Yeh tareeqa akailey future price ki movement ki simat ka andaza laganay mein madad kere ga. Ye time period one to six months tak kahin bhi ho sakti hai, jo in main sab se latest time period hoga, wo sab se ziada moasar hoga.
Pullbacks Entries
Jab bhi aik bullish trend k dowran prices din k lowest area main a jaye ya aik bearish trend k dowran din k highest position par chali jati hai, to uss waqat prices ka ye reaction aik pullback kehlata hai. Pullback uss waqat hota hai, jab mojooda trend ke dowran price aarzi tor par opposite simat mein ghoom jati hai, ye teen ya chay mahino ke douran ban'nay walay trends ho satke hain. Pullback pichlle low ya high se up ya down hoga.
Pullback ko maloom karne k leye aik four hourly timeframes ki selection karen, jiss main dekhen k prices apne maojoda trend k dowran kia reaction deti hai, agar aik qeematen four hourly timeframes main kam back karti hai, to uss waqat ye aik pullback hoga, jo apne sabeqa trend ko hi follow karna shoro karega, nahi to prices ka trend reversal bhi ho sakta hai.
Breakout Entries
Breakout technique aksar stock aur commodity trading mein istemaal hoti hain aur yeh bohat munafe bakhash saabit ho sakti hen, lekin forex market mein un ka istemaal kam hi hota hai. Pullback aksar is market ke liye aik behtar intikhab hai, khaas tor par price ki movement k peechay psychological tareeqon ki wajah se. Taham, pullback k sath aik kami payi jati hai : false starts. whipsaws ke naam se bhi jana jata hai, yeh un sab se big problems mein se aik hain, jo traders ko trading ke douran paish atay hain. Yeh uss waqat hota hai jab aap ki technique trading signal send karti hai, jis ke baad sirf aik reversal jana parta hai, jis ki wajah se aap ki position stop loss ki waja se stop ki jati hai.
Breakout techniques mehfooz filters k istemaal se is problem se bach sakti hai, jis se aap trends mein enter honay ke liye behtareen position ki identification kar satke hain. Breakout hamesha aik trend ki semat ko wazih karta hai, jo price chart par up and down dono sematon main ho sakta hai. Breakout ki madad long term ki trading ki ja sakti hai, jiss se munafa bhi ziada melta hai. Breakout k leye hamesha long timeframes ka intekhab zarori hai, jo kam az kam four hourly price chart ka hona chaheye, jiss par market main entry ki ja sakti hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим