bearish separating lines candelstick pattern ?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    bearish separating lines candelstick pattern ?
    assalium o alekum

    dear forex member
    umed krti hun ap sb kharyt s hun gy or mahnat s apna work krrhy hn gy hmy chaye k apna knowladge ko increase kry jitna knowledge hoga itna hi hm kamyab ho skty hai chlty h aj k topic ki trf



    construction

    Click image for larger version

Name:	bearish-separating-lines.png
Views:	1
Size:	238 بائٹ
ID:	12552214
    1st candel

    neechay ke rujhan mein aik mom batii
    safaid jism
    aik lambi line ke tor par zahir hota hai

    2nd candel

    siyah jism

    iftitahi qeemat pichli iftitahi qeemat ke barabar hai .

    exaplination


    bearish separating lines ko bearish contiunaction patteren ke tor par darja bandi kya gaya hai. pehli line aik safaid mom batii hai jo neechay ke rujhan mein aik lambi line ke tor par zahir hoti hai. doosri line siyah jism ki aik mom batii hai jo aik lambi line ke tor par zahir hoti hai. dono mom batian aik hi qeemat ki satah par khulti hain, aur phir qeematein allag ho rahi hain .


    candle stuck charts par patteren bohat kam zahir hota hai .

    example

    Click image for larger version

Name:	61-Separating-Lines-Bearish-_Alcoa-Inc._Jan-21-2003-1024x547.png
Views:	1
Size:	33.6 کلوبائٹ
ID:	12552213

    . aik siyah ghoomnay wali taap bunyadi mom batii bearish allag karne wali linon ki mandi ki paish goi ki tasdeeq karti hai. aik blush belt hold patteren zahir hota hai, lekin reechh taizi se aik opening black marobazo bunyadi mom batii bana kar dobarah control haasil kar letay hain. mustaqbil mein, yeh aik muzahmati zone ke tor par kaam karta hai jo chart par nazar aata hai .

    bearish separating lines ke adad o shumaar


    zail mein aap candlescanner software ke zariye calculations kiye gaye kuch bearish separating lines patteren ke adad o shumaar talaash kar satke hain. mazeed tafseeli adad o shumaar dekhnay ke liye, deegar baazaaron aur waqfay waqfay ke liye hamara candlescanner software aazmayen. qeematein sirf $ 10 se shuru hoti hain, aur aap deegar baazaaron aur waqfa waqfa ke liye mazeed tafseeli adad o shumaar dekh satke hain. mazeed jan-nay ke liye yahan click karen !
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: bearish separating lines candelstick pattern ?

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Separating Line Candlestick Pattern


    Bearish separating candlestick pattern se traders is se sell trade ki same bearish direction me movement ka ishara lete hen. Ye pattren bohut hi kam bante hen aur is ko sahi mano me samajhne ki bohut hi ziada zarorat hai. Bearish separating line pattern hamen strongly ishara deti hai k trend same downtrend aide par hi agay ko barhe ga. Aam tawar par ye pattren do dino k darmeyane hese me ziada bante hen jab market ki movement normal up down ho rahi hoti hai. Pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, bullish candle aik normal real body wali black candle hoti hai. Bullish candle k baad aik bearish candle same bullish candle k open point par open ho kar downward side par lower low bana kar close hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (770).png
Views:	7
Size:	5.8 کلوبائٹ
ID:	12416678

    Candles Formation


    Bearish separating line pattern pehli din ki candle aik bullish candle hoti hai, lekin dosre din ki candle bearish candle k close prices par hone ki bajaye same bullish candle k open price par open bearish trend k mutabiq downside par close hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai:

    Click image for larger version

Name:	images (3) (771).png
Views:	1
Size:	1.4 کلوبائٹ
ID:	12416679

    1. First Candle: Bearish separating line candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo prices k bullish trend main ban kar trend reversal ki nakam koshash karti hai. Ye candle aik real body wali candle hoti hai, jo k white ya green color main banti hai.

    2. Second Candle: Bearish separating line candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali bearish candle hoti hai. Ye candle bullish candle k close price par nahi bulkeh open price par khulti hai, aur below ja kar close hoti hai. Ye candle pehli candle ki bullish trend reversal ki koshash ko nakam bana kar prices ko same bearish trend main continuation karwati hai.

    Explanation

    Bearish separating line candlestick pattern prices main aksar do dino k darmeyan main banta hai, jiss se market ki same downtrend jane ka ishara melta hai. Pattern ki pehli candle k baad dosri candle ussi k closing price par open hone ki bajaye open price par open ho kar downside par close hoti hai. Normal ye pattern bohut kam tadad main bante hen, lekin bearish trend main banne par ye prices ko bearish trend continuation ka kaam karti hai. Pattern ki pehli candle bullish aur dosri bearish candle hoti hai, jiss ki lazmi real body honi chaheye, jab k dono candles shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai. Pattern main dono candles same point par open hoti hen, lekin close aik dosre k opposite direction main hoti hen.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (769).png
Views:	10
Size:	5.3 کلوبائٹ
ID:	12416680

    Trading

    Bearish separating line candlestick pattern prices main traders k leye bearish trend ki indication deta hai, jiss par sell ki entry ki jati hai. Pattern k baad aik confirmation candle ka hona zarori hai. Ye candle real body main bearish honi chaheye, jo k dosri candle k top main ban jati hai. Pattern k baad bullish candle banne se pattern trading invalid ho jayega, jab k CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value below 50 zone main honi chaheye. Pattern ziada reliable na hone ki waja se stop loss ka istemal zarrori hai. Pattern ka Stop Loss pehli candle k top ya close price se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (354).jpeg
Views:	5
Size:	27.5 کلوبائٹ
ID:	12416681

    اب آن لائن

    Working...
    X