Forex trading me kam kiase kare.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex trading me kam kiase kare.
    Working on forex trading
    forex trading me aik new trader kaise kam kare forex trading business aik bohat hi wasee yani big volume business hai is me bohat sare tareeqay hai kam karne ke market ko
    analysis karne ke bohat sare tareeqay hai new trader ko ya nahi pata chalta ke wo is market me kis base per analysis kar ke achi trading kar sakta hai forex trading business me
    analysis karne ke liye indicators ka use bhe kiya jata hai price action per kam karna trend lines ko laga kar analysis karna chart patterns ko daikhna levels ko draw karna ya sub
    technical analysis me ate hai hum market me technical analysis kar sakte hai.
    Technical Analysis
    new trader ke liye best yahi hai ke wo sub se pahle tu technical analysis karna seekhay kyu ke is ki base per hi market ka jaiza liya jaa sakta hai technical analysis me bohat kuch
    hai indicators hai jin ko read kiya jaa sakta hai in me bhe leading indicators hai or legging indicators hai kuch trader aise hai jo price action per kam karte hai or support levels per
    bhe trading karte hai resistance levels per bhe market ka analysis kiya jaa sakta hai forex trading me new trader jub tak technical analysis nahi seekhta tub tak wo is market me
    profit nahi kar sakta.
    Money Management
    new trader ke liye bohat kuch hai jis per kam karna hota hai jaisa ke kuch rules hote hai jin ko follow karna hota hai jaisa ke money management karna or risk ko kam se kam
    rakhna or profit zaida se zaida rakhna or apne capital ke hisab se lot size ko select karna apne emotions per control karna lalach na karna greed hi hume loss ki taraf le kar jati hai.

اب آن لائن

Working...
X