Upside Tasuki Gap candle stick pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Upside Tasuki Gap candle stick pattern
    Upside Tasuki Gap candle stick pattern



    yeh teen candle stick pattern hey jo keh bullish really kay doran banta hey es kesam ka pattern continuation pattern ko indicate karta hey or eskay bad forex mein positive trend jare rehta hey

    yeh aik positive trend hey es ley pehlay den aik long candle stick green bante hey dosray den candle stick gap open karte hey or zyada price par bante hey jes say aik gren candle stick bante hey kun keh yeh aik zabardast bullish candle stick ban jate hey jo keh bullish candle stick hote hey kuch bulls jo kafe dair say really mein thay obhon nay apnay target ko pen karnay say pehlay long position open kar de es ke wajah say tesaray den aik gap aa geya gap down nay chote bullish paida ke or nechay fall ho gay or tesaray den bhe aik gap paida ho geya jo keh forex mein chote bearish paida ke or price nechay fall ho gay or yeh finally aik red candle stick paida ho gay or phir close ho gay pechlay den kay banay gay gap kay doran

    chnkeh yeh gap mokamal tr par pora karnay say kaisar tha es ley bulls nay mehsos kea keh yeh long position mein opening ke wajah say paida hota hey or samajh gay keh new bear es mein kadam nahe rakhtay hein es say buyer nay aik bar phir ezafa kea or es kay bad bullish daikhanay mein aay
    Click image for larger version

Name:	Upside-Tasuki-Gap-Pattern.png
Views:	2
Size:	10.6 کلوبائٹ
ID:	12551462


    trade with Tasuki Gap pattern



    jare up trend mein trade ka jazba positive he hota hey or es bat ke omeed kartay hein keh jare up trend jare rahay ga or on ke omeed kay motabaq pehle candle stick bante hey jo keh forex mein long pair bullish candle stick hote hy
    aglay trading sessin bulls positive mein jare rehta hey jes mein candle stick ka gap increase ho jata hey or dosree candle stick ke long positive position ban jate hey 2 long bullish candle stick kay darmean mein gap kay sath trader preshan ho rahay hotay hein forex market mein zyada buy ke bhe ho sakte hey or bearish pattern bhe ban sakta hey es khoof ke wajah say tesare candle bearish hote hey jo keh dosree candle kay opening kay nechay close ho jate hey
    Click image for larger version

Name:	bbb.png
Views:	1
Size:	88.9 کلوبائٹ
ID:	12551463
    bhali kay badlay bhali
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Upside Tasuki Gap candle stick pattern

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Tasuki Gap Up Candlestick Pattern


    Tasuki gap up candlestick pattern aik strong bullish trend continuation pattern hai, jiss main teen candles shamil hote hen. Ye pattern aik bullish trend ya high prices main banne par same bullish trend ko jari rakhta hai, jiss se prices aik waqfay k baad upward move karna jari rakhte hen. Tasuki gap up candlestick pattern ka taluq gap pattern se hai, jiss main pehli do candles k darmeyan aik wazih gap banta hai, ye gap prices ko upward side par push karne ka sabab banti hai. Pattern ki third candle sellers ki market main presence dekhati hai, lekin ye candle ziada moasar karkardagi nahi dekhati hai, jiss se prices same bullish trend ko hi jari rakhte hen.

    Click image for larger version

Name:	images (25).png
Views:	6
Size:	6.8 کلوبائٹ
ID:	12440754

    Candles Formation


    Tasuki gap up candlestick pattern teen candles par mushtamil aik bullish trend continuation pattern hai, jiss jo k top area main banne par assets k prices ko mazzeed bullish same trend main upward push karta hai. Tasuki gap up candlestick pattern do bullish aur aik bearish candles se mel kar banta hai, jiss ki tafseel darjazzel hai;

    Click image for larger version

Name:	images (5).jpeg
Views:	23
Size:	11.7 کلوبائٹ
ID:	12440755

    1. First Candle: Tasuki gap up candlestick pattern k pattern main pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k long real body main banti hai. Ye candle prices k maojoda bullish trend ko zahir karti hai, jo k shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai. Pattern ki pehli candle ki closing price open se above hona chaheye.

    2. Second Candle: Tasuki gap up candlestick pattern ki dosri candle bhi same bullish candle hoti hai, jo k pehli candle se upper gap main banti hai. Ye candle bhi shadow ya shadow k bagher ho sakti hai, jab k candle ki close price open price se ziada hona chaheye. Dosri candle ka pehli candle se upper side par gap main hona zarori hai.

    3. Third Candle: Tasuki gap up candlestick pattern ki teesri candle aik bearish candle hoti hai. Ye candle dosri candle ki real body main open ho kar pehli aur dosri candle k darmeyan banne wale gap main close hoti hai. Teesri candle ka close price open price se kam hona chaheye. Ye candle trend reversal karne ki nakam koshash karti hai.

    Explanation

    Tasuki gap up candlestick pattern aik uptrend k dawran uss waqat banta hai, jab investors market main aik mamoli sey waqfey k baad same up-trend ko jari rakhna chahte hen. Pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices k sabeqa bullish trend ki akasi karti hai. Pattern ki dosri candle bhi same bullish candle hoti hai, lekin ziada buying pressure ki waja se ye candle pehli candle k top par gap main banti hai. Pattern k dono candles k darmeyan aik wazih gap hota hai, jo prices k uptrend ki mazboti ki alamat hoti hai. Pattern ki last ya third candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices ko bearish trend reversal ki nakam koshash karti hai, q k ye candle dosri candle k baad ya ussi ki real body main open ho kar pehli aur dosri candle k darmeyan banne wale gap main close hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (24).png
Views:	25
Size:	9.3 کلوبائٹ
ID:	12440753

    Trading

    Tasuki gap up candlestick pattern prices chart par bullish trend ki mazboti ki alamat hoti hai, jab bhi pattern ki teesri bullish candle gap main ya uss se pehle close ho jati hai, jiss se prices ka bearish trend reversal hona nakam ho jata hai. Pattern par trading se pehle teesri candle k gap main close hona zarori hai, jab k aik fourth bullish trend confirmation candle ka hona zarori hai, jo third candle k top par close honi chaheye. Pattern k baad bearish candle banne se market main entry nahi karni chaheye, jab k indicators par value lazmi midpoint se above honi chaheye. Pattern par Stop Loss ka istemal zarori hai, jo k sab se bottom position ya pehli candle k open price se two pips below set ho sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4).jpeg
Views:	8
Size:	32.5 کلوبائٹ
ID:	12440752

    اب آن لائن

    Working...
    X