Wedge Chart Pattern
Wedge aik technical chart pattern hai, jo do converging lines par mushtamil hai. Is chart pattern me qeematon ki peaks aur bottoms ki series ko jora jata hai. Wedge chart pattern me converging lines ki mojodgi ki waja se is ka shakal aik symmetrical triangle ki tarah ban jati hai. Aam tawar par is ko market me breakout k leye jana jata hai, jo k bullish ya bearish dono side pe mumkin hai. Wedge chart pattern aur flags ya pennants pattern k darmeyan faraq ye hai k ye pattern market me banne me bohut ziada waqat leta hai. Wedge pattern k akher me trading volum kam ho jata hai aur breakout k chances barh jate hen.
Rising Wedge Pattern
Rising wedge ko aam tawar par bearish samjha jata hai, aur ye ziada tar downtrend mein paya jata hai. Yah uptrend mein bhi paya ja sakta hai lekin isko pher bhi bearish trend hi tasawar kia jaega. Aik tasalsul (continuation) trend me ye pattern upward tercha banta hai jo k downtrend k opposed chalta hai.
Rising wedge unchay tops aur nichey bottoms ka aik selsala dekhate hen. Ye pattern aghaz me chora (wide) hone se shoro ho jata hai aur qeematen ziada hone aur trade kam hone pe khatam hota hai.
Falling Wedge Pattern
Falling wedge nechay ki taraf aik terchi slop banati hai, lekin dekhne me ye slop uptrend k opposite lagta hai. Falling wedge ko aam tawar par bullish tasawar kia jata hai aur ziada tar ye uptrend me paya jata hai.
Falling wedge bhi rising wedge ki tarah aghaz me wide qeematon se shoro ho jata hai aur akher me kam qeematon pe band ho jata hai. Falling wedge me qeematen nechay slop pe tab tak move kar rahi hoti jab jab tak ye us resistance line ko thor nahi deti hai.
Pattern pe trading
Wedge pattern wese to market me banne me bohut ziada time leta hai, lekin ye market trend ko reversal karne me bohut aham role play karta hai. Traders ki trend confirmation k leye upward ya downward dono sides pe pattern k lines ko breakout karna zarori hai. Wedges pattern strong signal tab hi de sakta hai jab pattern ko sahi tareeqay se read kia jaye.
Wedge Reversal ya Continuation Pattern
Wedge chart pattern me analyst k darmeyan me ikhtelafat hen, koi is ko trend reversal k tawar par dekhte hen aur koi is ko qeematon k tasalsul ya continuation istemal karte hen. Ye masla tab bant a hai jab wedges k pattern triangle, mustateel, chowkor, uptrend ya down trend k terchi dekhaye deni lagti hai. Lekin aam tawar par agar sahi tawar par is pattern ko dekha jaye to ye ziada tar aik trend reversal hi dekhta hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим