Explain the Swing trading strategy....

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Explain the Swing trading strategy....
    What is Swing trading strategy.
    Forex trading me swing trading strategy se murad wo strategy hai jis me traders market price ki top peak aur down peak pe trade open karte hen, market jab bhi kisi supply ya demand ki pressure ki waja se bohut hi ziada top ya down position pe chali jati hai to zarori nahi hota hai k market us hi position pe continue hi chalta hai bulke maximum market wahan se wapis reverse ho jati hai aur kuch reverse trend pe chalne k bad wapis wo apni position pe chal parti hai. Swing trading strategy me market me hum day trading aur scalping se mukhtalif kaam karte hen is me short term ki trading bhi ho sakti hai aur long term ki trading bhi ho sakti hai. Is waja se hamen swing trading strategy se bapoor faida hasil karte rehna chahey.




    How to work Swing trading strategy.


    Dear friends Forex trading me ya financial market me jab price aik khas position k hisab se move kar rahi hoti hai to ye aik trend kehlati hai, trend me ya to ye upward trend hogi ya downward trend aur ya sideways trend ho sakti hai. Trend me candle sticks aik makhsos length k hisab se ja rahi hoti hai. Aur market me ye trend supply aur demand ki waja se banti hai. Lekin agar market me achhank demand ya supply ziada ho jaye to is se market aksar breakout karke aik lambi candle stick banati hai jo k aik khas waqat k leye bohut unchi position pe chali jati hai aur us k bad market ki price wapis down hona shoro hoti hai. To is se market me swing trading formation banta hai.



    Swing trading strategy Benefits.

    Financial market me ya forex trading me swing trading strategy me kaam karne se bohut faida hasil hota hai aur is me loss bohut zyada kam hota hai. Jab bhi market ki hum highest ya lowest position pe trade op3n karte hen to is se hum faide he melte hen aur market ki aksar highest point se reversal hi hoti hai. Is waja se jab bhu hum short term trading karne ka irada rakhte hen to us k leye zarori hai k hum forex trading market me price ki highest aur lowest points ko lazmi made nazar rakhen.



    Trading method .

    Swing trading ma trader ko market k high or low point ka wait karna hota hai jis ko ha asan alfaz ma over bought or over sold state b kehty hain. Swing trading k lae trader ko pehle achy point ka wait karna hota hai. Forex trading ma asy points bhot mushkil sy melty hain. So market ko pehle achy sy observe karna chahe. Market jb asi situation par ponch jae k es k mazeed up jany ya down jany ki sakat na lagti hu to asy ma trader ko apni trades ko open karna chahe.

اب آن لائن

Working...
X