What is money management?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is money management?
    Introduction :

    Assalamu Alaikum friends kya haal hai sab khairiyat se Honge aur Forex trading Mein Achcha profit banaa Rahe Honge friends aaj ka Mera topic Hai Mani management aaj main tafseel se Bayan karungi Forex trading Mein trading ke dauran money management Ka Kya istemal Hai Isko istemal Karke Hamen kya fayda ho sakta hai aur Hamen Kaise profit Hasil ho sakta hai friends Forex Ek bahut acchi job Hai Is per kam karne ke liye Hamen bahut se indicators ki jarurat Hoti Hai Jiski madad se Ham Ek successful trader Ban sakte hain aur Achcha profit Hasil kar sakte hain friends Hamen chahie kya frocks per Hamen Jyada Se Jyada kam karna chahie Ham Aksar Jyada faraks ko time Denge To Hamen Achcha bonus mil sakta hai jisse Ham Jyada profit banaa sakte hain friend ab main baat karungi Mani management ine Forex trading

    Money management in forex trading :

    Dear members for extering market Mein money management zaroori hai Jaisa Ki Kisi bhi Business mein Ham investment Karte Hain To Hamen paison ka hisab Rakhna hota hai Hamen Mani management ko Mani ko manage karna hota hai koi bhi business ho aur Agar usmein Ham Mani ko manage karna Na sikhe To Hamen use Business mein loss ho jata hai Forex trading mein bhi aisa hi hai trading karte hue Hamen Mani management ke sath hi trade Karni chahie Mani management karne se hi Hamara account sev rahata hai aur ham long term market Mein trading kar sakte

    New trader ka market me work krna:

    Dear members new trader ko chahiye ki woh sabse pahle to demo account per trading Karen demo account per hi pretesh ki Ja sakti hai ki new trader ke pass to knowledge Nahin Hota Jiski vajah Se Usko Mushkil Hoti Hai trading karne mein new trader Agar real account per kam Karte Hain To usko Apne account ke hisab se hi Laut ka size Rakhna hota hai agar to Mani management nahin karta new trader Tu vah Kabhi Bhi is business Mein profit Hasil nahin kar sakta aapane capital ko dekh kar hi load size select karna chahie


    Click image for larger version

Name:	images (3).jpeg
Views:	2
Size:	25.5 کلوبائٹ
ID:	12549504


    Money management and risk to rewar ratio:

    Dear members money management ke sath sath Hamen market ki position ko bhi dekhna Hota Hai yani ki Hamen risk ko kam se kam Rakhna hota hai aur reward Jyada Se Jyada Lena chahie target Mein trading Mein Har trader Jo is market se arning kar raha hai vah Mani management aur record radio ke sath kam karta hai aur kabhi bhi trade nahin karta risk trading karne wala trader loss mein hi rahata hai Forex trading Mein Hamen expert trader Yahan professional trader ya teacher Hamen Mani management ke sath trading karne ka Kahta Hai
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is money management?

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Money Management


    Jiss tarah se aik trader k leye aik kamyab forex trading strategy aham hai, ussi tarah se forex trading ki achih trading management bhi trader ki kamyabi k leye zarori hai. Money management ka idea risk management se gehra taluq rakhta hai, q k trading k dowran tamam risk money k sath jora jata hai, bas uss se thora sa mukhtalif hai. Forex trading k money management se murad apney account k gher zarori risk main daley bagher apney pesey ko kese istemal karna hai.
    Forex money management ka taluq trading k dawran money loss ko kam karne ka intezam hai. Chonekh hum sab insan hen aur trading k dowran hone wali ghaltion sab ko hoti hai, to iss se bachna chaheye. Kamyab trader trading ko karobar k tawar par sochte hen. Forex trading me karobar ka maqsad pese kamana hai, pese khona nahi hai. Lehaza isse khone se bachney k jo iqdamat hote hen, wo money management main ata hai.
    Forex trading me risk itna ziada hai, k iss main trader apni sari amdani kho sakta hai, aur kuch hi lamho main apna account wash ho sakta hai. Iss waja se jiss business main bohut ziada risk hota hai, to traders ki ziada se ziada koshash honi chaheye k wo karobar main risk ko kam se kam karne ki koshash karen. Bohut sari aisi forex trading strategies maojood hai, k jinn ko apnane se trader ziada munafa kama sakta hai aur loss kam kar sakta hai, lekin ye tareeqay kar losses ka sabab nahi hai. Bulkeh pese zaya hona ziada tar aik behtareen money management ka na hone ki waja se hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (275).jpeg
Views:	1
Size:	32.0 کلوبائٹ
ID:	12415450

    Top Forex Money Management Rules


    Money management k osool trading strategy aur account k mutabiq honne chaheye, risk aur account main munafa iss k sath direct deal karte hen. Darjazzel main kuch ossool hen jinn ko apnane se forex trading k money management k system ko behtar kia ja sakta hai.

    Risk Per Trade

    Aik trader ko ye khayal rakhna chaheye k kisi aik trade par apne account ka sirf aik chota sa hisa risk main dalna chaheye. Analysts trading par 2% risk ka ziada tar kehte hen, jiss main aik trader apne trades par 2% tak ki risk lena chaheye. Jaisa k $1000 trading account par trader ko $20 ka risk lena chaheye.
    Kuch traders trades size main tabdeeli karte hen, jaisa k "Anti-martingale money management method" k mutabiq jab bhi trades munafa main hon to uss k lot size main izzafa kia jata hai, jab k loss ki sorat main lot size ko kam kia jata hai.
    Aik behtareen trading strategy aur risk management plan waqat k sath sath trader ki madad karni chaheye, lekin aap ko hargez ye baat 100% confirm nahi hoti k agle trade main ya agle 10 trades main kia ho sakta hai. Agle trade k nuqsan k risk ko kam karne k leye, forex trader ko trading account k size k muqabele main trade ka size nisbatan small rakhna chaheye.

    Har Trade par Maximum Drawdown Set karen

    Drawdown se murad trading account k prices main wo faraq hai jo k account ka pehla balance hota hai aur trades k loss k baad account ka jo balance hota hai. Misal k tawar par agar aik trader k account main $10,000 hai, aur trades ko $500 dollar ka loss hota hai, to ye 5% ka drawdown hai (10,000 ka 5% 500 k barabar hai). Drawdown jitna ziada hoga jeetne wale trades k sath account balance ko recover karna utna hi mushkil hoga.

    Risk-Reward Ratio

    Traders k jeetne wale trades ka ratio harne wale trades ki nisbat ziada honna chaheye. Agar aik trader ne risk reward ratio k mutabiq apne leye 1:1 ka intekhab kia hai, to uss k leye usse har 10 traders main se 6 lazmi win karne hongay. Aur agar uss ne 3:1 ka ratio rakha ho to uss sorat main har chota trade ka win honna zarori hai.

    Take Profit and Stop Loss

    Take profit aur stop loss na sirf money management ka zarori hesa hai, bulkeh ye money management k leyw bhi bohut ziada zaroei hai. Take profit aur stop loss ka na sirf istemal bohut aham hai, bulkeh uss k sath sath iss ka sahi istemal bhi trading k leye utna hi aham hai. Take profit jahan tak hamare account k target had ko par munafa ko mehfoz banate hen, ussi tarah se stop loss ziada liss se har sorat humen shield faraham karta hai.

    Trade tab Karen Jab aap Loss ko Bhi Tayar hon

    Forex trading me emotions bulkul bhi kaam nahi karte hen, k agar aik trade loss main jaye to hum uss ko recover karne ya loss ko kam karne k leye mazzeed ussi semat main trades open akrte hen ya trading par ghusa karne ki koshash main hum mazzeed trades laga kar loss uthana shoro karte hen, iss se huemn ziada se ziadda loss hasil hoga. Humen trading k dowran apne jazbat ya emotions aur lalach ko hamesha aik side par rakh kar trading karni chaheye.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Forex mein money management us tariqe aur tashkeel se mutaliq hai jis mein aap apne trading funds ko qaim rakhanay aur hifazat karnay ke liye istemaal ki jane wali strateejion ko samjhna aur istemal karna hota hai. Is mein maqsad hota hai ke aap apni munafa ko zyada karen aur nuqsaanat ko kam karen. Forex market mein lambe arsay tak kamyabi ke liye kamyab money management ka istemal zaroori hai. Forex mein money management kuch ahem asoolon par tajweez kiya jata hai. Pehla asool ser-e-aam hai aur is par capital preservation yaani maaliyat ki hifazat tawaja di jati hai. Is asool ke tahat aapko her trade mein sirf aik chotay hissay ka risk lena chahiye, aam tor par aap apne maaliyat ka sirf chand feesad par qurban hona chaheinge, maslan 2% ya 5%. Is se aap apne poore maaliyat ka tabdeel honay se bacha sakte hain aur trading account ko qaim rakh sakte hain. Dusra ahem asool position sizing hai, jis mein aap apne har trade ke liye munasib lot size tay karne ka faisla karte hain. Lot size trade ki maqdar ko darj karne ke liye istemal hota hai. Aapko apne trading plan aur risk tolerance ke hisab se sahi lot size tay karna chahiye. Agar aap kam risk wale tajurbaat ke shauqeen hain, to aap chote lot sizes ka istemal kar sakte hain. Jabke ager aap zyada risk lena chahte hain, to aap bade lot sizes ka istemal kar sakte hain. Lot size tay karne ke liye aap risk-to-reward ratio, stop loss aur account balance ka tajurba aur analysis kar sakte hain. Dusra asool stop loss aur take profit orders ka istemal hai. Stop loss order aapki trade ko automatic tor par bund kar deta hai agar market aapke khilaf chalne lagay. Is se aap nuqsaanat ko control kar sakte hain aur apne risk ko manage kar sakte hain. Take profit order aapki trade ko automatic tor par bund kar deta hai jab aapka maqsood munafa hasil ho jaye. Stop loss aur take profit levels tay karte waqt aapko market volatility, support aur resistance levels aur technical analysis ka tawaja dena chahiye. Money management ke tajurbaat ke shauqeen traders aksar apne trading records ko maintain karte hain aur performance metrics jaise sharah-e-munafa, drawdown, aur success rate par nazar rakhte hain. Is se unko apni trading strategy aur money management techniques mein behtar hone ke liye tajarba hasil hota hai. Forex mein money management ka istemal karne ke liye, aapko kuch zaroori tariqay aur techniques ko samajhna aur implement karna chahiye.
      • Define Your Risk Tolerance: Pehle se hi tay kar lein ki aap kitna risk lena chahte hain. Ye aapke trading plan ka ek hissa hona chahiye. Risk tolerance ko samajhne ke liye apne financial situation, trading experience, aur psychological factors jaise ki stress tolerance ko mad-e-nazar rakhein.
      • Set Stop Loss Levels: Stop loss levels tay karna zaroori hai taaki aap apne nuqsaanat ko control kar sakein. Stop loss aapki trade ko automatic tor par bund kar deta hai agar market aapke khilaf chalne lagay. Aapko apne trading strategy, technical analysis, aur risk tolerance ke hisab se stop loss level tay karna chahiye.
      • Determine Take Profit Levels: Take profit levels tay karna aapko munafa ko lock karne mein madad karta hai. Ye aapki trade ko automatic tor par bund kar deta hai jab aapka maqsood munafa hasil ho jaye. Aapko apne trading strategy, technical analysis, aur risk-to-reward ratio ke hisab se take profit level tay karna chahiye.
      • Use Trailing Stop: Trailing stop aapki trade ko protect karne ka ek acha tariqa hai. Ye aapki trade ko lock karta hai aur market ke samay ke sath sath apne stop loss level ko adjust karta hai. Agar market aapke favor mein chal raha hai, to trailing stop aapko munafa ki zyada hifazat deta hai. Isko istemal karne ke liye aapko trading platform ke features aur settings ko samajhna hoga.
      Believe in yourself and your abilities. When you fight for your dreams, you can achieve anything.

      اب آن لائن

      Working...
      X