What is bullish engulfing pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is bullish engulfing pattern
    Dear forum members, Forex trading me professional traders ki tarah profit earn krny k liy ap ko is business ka knowledge gain krna chaiy aur osy demo account practice krny k bad is business ko join krna chaiy. Is business ko join krny k liy candlesticks ka knowledge zaror gain karin. In candlesticks patterns main bullish engulfing candlestick aik buht important, candlestick pattern hai. Main ap say is candlestick pattern ka knowledge share krna chata hoon.

    Basic information of Bullish Engulfing Candlestick:

    Dear friends, Bullish Engulfing candlestick pattern 2 Candlestick say mil kr banta hai. Yah aik buht acha trend reversal pattern hai. Agar aap is candlestick pattern ko identify krna chahty Hain, tu 2 candlesticks ko alag alag study kr, ap is ko samj sakty hain.

    *# is pattern ki first candlestick, bearish candlestick hoti hai jo k aik strong down trend me banti hai.

    * is ki second candlestick, aik bullish candle hoti hai jo first candle ko pori tarah cover krti hai.

    How to trade on Bullish Engullfing candlestick pattern:

    Dear friend, Forex trading market mein bullish engulfing candlestick pattern, ko daikh kr achi trade krna chaity hain tu is ke liye aapko hamesha support level par bullish engulfing candlestick pattern ka milna zarori hai. Agar ya pattern ap ko continuation of trend main milta hai to yah powerful signal ni hota.

    Interpretation:

    Dear members, jesy k main nay ap ko pehly btaya, k yah aik downtrend k bad banta hai aur trend reversal btata hai to yah ap ko future uptrend k bary main btata hai. Is tarah ap is pattern ko daikh kr buying ki trade laga sakty hain.

    Chart knowledge :

    Dear members, ap chart me bullish engulfing pattern ko clearly identify kr sakty hain. Ager ap is pattern ko understand kr lain gay to ap ko loss hony k chances kam hoon gay.
    Click image for larger version

Name:	download (8).png
Views:	31
Size:	5.3 کلوبائٹ
ID:	12549034
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is bullish engulfing pattern

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Engulfing Candlestick Pattern


    Financial market main kisi stock ya assets ki prices same barqarar nahi rehti hai. Jab bhi supply ya demand main kami beshi hoti hai, to stock ki prices par bhi uss ka impact parta hai. Supply main izzafay se hamesha assets ki qeematen gerti hai, jab k demand main izzafay se qeematen main izzafa hota hai. Supply aur demand ka ye sisela chalta rehta hai, jiss se assets ki prices bhi up and down hoti rehti hai. Forex trading main supply aur demand ka andaza humen price chart par candles ki pattern ki shape main melta hai, jiss main long real body wali candles humesha aik strong indication dete hen. Jab bhi kisi assets ki stock main bohut ziada kami waqea hoti hai, to uss waqat demand main izzafay k chances ziada ho jate hen. Aksar long candlestick jaise bullish engulfing pattern main dosri bullish candle hoti hai, bohut ziada strong reaction deti hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (44).jpeg
Views:	17
Size:	22.3 کلوبائٹ
ID:	12450036

    Candles Formation


    Bullish engulfing candlestick pattern prices chart par do candles ka aik bullish trend reversal pattern hai, jo k low prices ya downtrend main bnata hai, jahan se prices k uptrend main badalen k chances hote hen. Pattern strong bullish signlas deta hai, q k dosri bullish candle pehli candle ko mukamal hazaf kar deta hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	figure-6.png
Views:	13
Size:	14.7 کلوبائٹ
ID:	12450037

    1. First Candle: Bullish engulfing candlestick pattern ki pehli candle bearish trend k mutabiq hoti hai, q k ye bearish trend main akhari candle hoti hai, iss waja se ye aik real body wali black candle hoti hai. Ye candle lower side par close hoti hai, jiss ka close price open price se nechay hota hai. Ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.

    2. Second Candle: Bullish engulfing candlestick pattern ki dosri candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k market main high demand ki waja se banti hai. Ye candle pehli candle k lower par gap main open ho kar ussi k top se above close hoti hai. Bullish candle bhi shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai, lekin real body main ziada honi chaheye, jiss se ye candle pehli candle ko mukamal apne andar engulf kar deti hai.

    Explanation

    Bullish engulfing candlestick pattern candles k opposite direction main same aik bearish harami candlestick pattern jaisa dekhaye deta hai, jo k prices k bottom ya bearish trend main banne par bullish trend reversal ka kaam karta hai. Ye pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k prices main bearish trend continuation ka kaam karti hai, lekin ye candle pattern ki last candle hoti hai, q k iss baad pattern ki dosri candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k pehli candle k lower gap main open ho kar ussi k top par above vlose hoti hai. Dosri candle pehli candle ko apne andar mukamal jazap kar leti hai, aur price chart par maojoda trend ka khatema kar deti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (98).png
Views:	15
Size:	6.1 کلوبائٹ
ID:	12450035

    Trading

    Bullish trend reversal pattern asal main aik single candle pattern hai, q k pehli candle to normal bearish teend k mutabiq hoti hai, lekin dosri candle long real body aur strong banne se prices par hawi bhi ho jati hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai. Pattern par trading se pehli prices ka bottom area ya bearish trend main lazmi honi chaheye, jab k pattern k baad aik confirmation candle ki bhi zarrorat hoti hai. Confirmation candle aik to bullish candle honi chaheye aur dosra ye candle dosri bullish candle k top par close honi chaheye, jo k real body main hoti hai. CCI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main honi chaheye, jab k pattern ka Stop Loss sab se lower position ya dosri candle k open price se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (46).jpeg
Views:	15
Size:	25.5 کلوبائٹ
ID:	12450034

    اب آن لائن

    Working...
    X