Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Doji-Star Candlestick Pattern
Bullish doji-star candlestick pattern aik bullish trend reversal pattern hai, jo price chart par do candles se mel kar banta hai. Pattern main shamil pehli candles bearish hoti hai, issi waja se pattern k leye prices ka pehle se low area ya bearish trend main hona zarori hai. Two days candles ki accuracy single day pattern se behtar hota hai, q k iss main aik candle thori bohut confirmation bhi deti hai. Jab bhi market main sellers prices ko aik khas level tak nechay push karte hen, to yahan par trend reversal k imkanat ziada hote hen, ye trend confirmation aksar kuch pattern se confirm ho jati hai, jiss main bullish doji-star pattern bhi shamil hai.
Candles Formation
Bullish doji-star candlestick pattern prices k downtrend ya lower par high demand ki waja se banta hai, jahan par trend reversal k ziada imkanat hote hen. Pattern main shamil candles mukhtalif pattern ki yanni bearish aur doji candle hoti hen, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish doji-star candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k prices ko downtrend ya bearish trend ki akasi karti hai. Ye candle bearish trend ko mazeed nechay ki taraf push karti hai, aur market main high supply ko zahir karti hai. Ye candle aik normal real body wali candle hoti hai.
2. Second Candle: Bullish doji-star candlestick pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jo k ziada tar aik doji star candle hoti hai. Ye candle pehli candle k lower side par banti hai, ye candle pehli candle se lower side par gap main ban sakti hai, lekin candle ka open aur close same point par hona chaheye. Ye candle bearish trend k khatme ka bahis banti hai.
Explanation
Bullish doji-star candlestick pattern prices main bearish trend k dowran ban kar prices ko mazeed nechay jane se rok leti hai. Ye pattern aik strong trend reversal ka signal deti hai. Pattern two days candles par mushtamil hai, jiss ki pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jo k prices k bearish ya downward trend ki alamat hoti hai. Pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, aur ya candle ziada tar aik doji star candle hoti hai aur ye pehli candle ki real body ki inside main bhi banti hai, jiss se prices ka mazeed down-fall ruk jata hai. Ye pattern dekhne main same to same half morning doji-star pattern jaisa lagta hai, lekin morning doji-star candlestick pattern teen candles ka hone ki waja se iss pattern se mukhtalef hota hai.
Trading
Bullish doji-star candlestick pattern prices k bottom main banne ki waja se aik bullish signal genrate karta hai, jiss par market main buy ki entry ki ja sakti hai. Pattern par trade enter karne se pattern ki dosri candle k baad aik confirmation candle ki zarorat parti hai, jo k real body main aik bullish candle honi chaheye, aur ye candle doji candle k top par close bhi honi chaheye. Pattern ki confirmation CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss ki value oversold zone main honi chaheye. Pattern k baad bearish candle se pattern invalid tasawar kia jayega. Pattern ka Stop Loss sab se lower ya dosri candle k lower price se two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим