Define Morning Star & Evening Star Candlestick Pattern...!
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Define Morning Star & Evening Star Candlestick Pattern...!
    Asslam.u.Aliakum Dosto...

    Dear Friends trading mian expert banny k leay p ko chart read krana bhot hi achi trha ana chahey chart pr candles ho ti hain or candles time guzarnay k sath sath different types k pattern bnati hain jin logo k pass trading k achay skill hoty hain un ko chart dekh kr market ka andaza ho jata hy humra aj ka topic bi in pattern main sy hy jis ka name Morning Evening Star pattern hai.

    Morning Star Candlestick Pattern:

    Morning star bullish change kai k style hy ho k 3 candles pr mushtamil hota hu 1st big red baody candlestick or 2nd small body candlestick in k darmian gap ka hona bhot zruri hy 3rd big body 1st candle ki body area k limits main rhy k movement krti hy. Ik best morning star main 2nd body sy phaly or bad mian gap hota hai. Click image for larger version

Name:	images (19).png
Views:	1
Size:	3.1 کلوبائٹ
ID:	12548887

    Evening Star Candlestick Pattern:

    Dear Friends evening star morning star k opposite hota hy or yeh bearish trend ko show krta hy or yeh price k increase honay k bad nazar ata hy 1st day ik long candle banti hy jis ka color white hota hy is candle k bad star banta hy star ki body last day ki body say gap banati hy market mian ghair yaqni surat hal ky banay ka ishara choti body walay star ka banna hy next day bearish ka gap banata hy or is ana andaza mazeed kam price ksath mukamml band ho jata hy .is ki shape bi morning star candle ki trha hi hoti hai. Click image for larger version

Name:	images (20).png
Views:	77
Size:	4.3 کلوبائٹ
ID:	12548888
    Identification Of Morning & Evening Star Candlestick Pattern:

    Dear forex members morning star war evening star ek dusre ke blood pachan hai pehle chemistry rihan ki taraf aur dusri classic tej Hoti hai is channel ki body chhoti hoti hai aur third candle rever ki kimat hoti hai jo ki pahli candle se thoda Aage Karke apna close deti hai ine teenon state ko samajh a jaaye to Ham market mein successful trading kar sakte hain important hai ki koi betrayed jaane se pahle stop loss take profit ko use Karen. Click image for larger version

Name:	images (22).png
Views:	31
Size:	14.1 کلوبائٹ
ID:	12548889

    Trading With Morning & Evening Star Candlestick Pattern:

    Dear forex members koi bhi trade lagane se pahle important hai ki Ham stop loss aur take profit ko use Karen kyunki ye hamare account ko safe rakhte hain aur hamen ziyada loss Nahin hone dete isliye zarori hai ki Ham zyada har trade mein stoploss ko use Karen Takay hamara account bhi safe Rahe aur hamare trade bhi safe Rahe aur jyada se jyada profit ho. Click image for larger version

Name:	images (21).png
Views:	45
Size:	13.5 کلوبائٹ
ID:	12548890
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Define Morning Star &amp; Evening Star Candlestick Pattern...!

    WHAT IS A MORNING STAR CANDLESTICK PATTERN :





    Morning star pattern ak candlestick pattern ha ya pattern market ma three candlestick sa mil kar banta ha. Ya pattern huma market ma downtrend ka bottom yani downtrend ka end ma dakhna ko milta ha is market ma market ka reversal hota ha up ke traf. Ya pattern ak reversal pattern ha ya pattern huma market ka bearish sa bullish ke traf reversal ka batata ha. Ya pattern three candles sa banay ga or is pattern ke ya three candles market ka bottom ma ak specific sequence ma ho ge jo market ko reverse kara ge upward ke traf. Jab ya pattern market ka chart ma banay ga to is pattern ka market ma bannay sa phalay market ka jo trend ho ga wo downward ke traf ho ga or ya market ko lower ke traf lay ga or is pattern ko market ka lower ma abnay ga jab ya pattern banay ga to jo is pattern ke first candle ho ge wo ak long real body bearish ke candle ho ge jo ka ka market ko high sa low ke traf la kar jay ge or is pattern ke second candle ak small candle hoge jo ka green colour ke ho ge ya or is ka long shadow ho ga ya candle market ka bottom ma ho ge or is pattern ke last candle ak bullish ke candle ho ge jo market ko upward ke traf push kara ge.





    WHAT IS A EVENING STAR CANDLESTICK PATTERN :





    Ya evening star candlestick pattern market ma morning star pattern ka opposite ma banta ha ya evening star pattern ma market ka chart ma uptrend ka top ma banta ha or ya huma market ka uptrend ka end ka batata ha or is pattern ka bad market reverse ho jate ha downward ke traf. Is pattern ma market huma bearish ke traf reversal ka batate ha yani is ma market bullish sa bearish ke traf reversal ho ge. Ya pattern jab market ka chart ma banay ga to is pattern sa phalay market strong trend banate hoi upward ma ay ge or up ma is evening star pattern ko banay ge or ya pattern market ko is ka trend ka opposite ke traf reversal kar da ga. Ya pattern bhi three candlestick sa mil kar banay ga is pattern ke first candle ak long real body wale bullish ke candle ho ge jo market ko high ke traf la kar jay ge or is pattern ke second candle ak small red colour ke candle ho ge jo market ka top ma banay ge or market ko down ke traf small reversal ka signal da ge or last candle is pattern ke long bearish ke red candle ho ge jo market ma strong change lay ge is ma market high sa low ke traf ay ge.





    TRADING WITH MORNING STAR AND EVENING STAR PATTERN :





    Morning star or evening star ak dosra ka opposite pattern ha or ya dono pattern market ka opposite ke traf jana ka traders ko signal data ha jab morning star pattern market ka chart ma banta ha to ya market ko lower sa high ke traf jana ka signal da ga or jab market ma evening star pattern banay ga to is ma market higher sa lowee ke traf ay ge. Jab morning star pattern market ma banay ga to is ka banay sa phalay market ma bear ka pressure ho ga or is pattern ke second candle sa market ka bull ka pressure a jay ga jo market ko higher ke traf la kar jay ga or jab evening star pattern market ma banay ga to is ka start ma market ma high bull ka pressure ho ge or is ka end ma market ka bull apna control lost kar da ga or market ko bear control kara ga jo market ko lower ma lay ga. Morning star pattern ma traders buy ke trade ko is pattern ke last candle ka closing point sa enter kara ga or stop loss ko low ma rakha ga or evening star pattern ma traders sell ke trade ko is pattern ke last candel ka low point sa enter kara ga or stop loss ko high ma rakha ga.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Define Morning Star &amp; Evening Star Candlestick Pattern...!

      Assalamu Alaikum Dosto!


      Morning Star Candlestick Pattern


      Morning star candlestick pattern market main ziada ferokht k baad bearish trend main banta hai, jahan se qeematon ka mumkina tawar oar bullish trend reversal hona hoti hai. Morning star pattern teen candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jiss k baad nechay gap main aik small real body wali candle hoti hai, jo k bearish ya bullish dono ho sakti hai. Ye candle aam twar par star candle hoti hai, jiss ka upper aur lower side par small se wick bhi ho sakti hai. Pattern k last par aik aur long real body wali bullish candle hoti hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai.

      Click image for larger version

Name:	morning-star-1024 (3).jpg
Views:	30
Size:	63.2 کلوبائٹ
ID:	12415226

      Candles Formation


      Morning star candlestick pattern teen candles ka aik bullish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle bearish dosre small candle hoti hai, jo k bullish ya bearish dono ho sakti hai, jab k last par aik bari real body wali bullish candle hoti hai. Inn candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

      1. First Candle: Morning Star Candlestick Pattern ki pehlee candle aik strong bearish candle hotti hai, q k qeematen pehle se hi bearish trend main harkat kar rahee hotti hai, is waja se is candle ka bearish hona zarorri hai. Pehlee candle aik strong aur long bearish trend candle hotti hai, jis ka upper aur lower wick bohut chotta hotta hai.

      2. SecondCandle: Morning Star Candlestick Pattern main dosree candle aik small real body wali candle hotti hai, ziadda tar ye candle Spinning top candle ya isi tarah se dosree candle hotti hai. Candle ka color zarorri nahi hai, lekin is ki position bohut ziadda aham hai, q k ye pehlee candle se down side par gap main open aur close hotti hai.

      3. Third Candle: Morning Star Candlestick Pattern ki teessri candle aik strong bullish candle hotti hai, jo k trend reversal ka kaam kartti hai. Ye candle bhi dosree candle se gap main up side par open ho kar higher par ja kar close hotti hai. Teesrri candle pehlee candle k real body k 50% se ziadda par close honi chaheye.

      Evening star candlestick pattern


      Evening star candlestick pattern "Morning star candlestick pattern" k bar akas opposite direction main bullish trend main banta hai, jahan se prices bearish trend reversal main change hona shoro karti hai. Pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jiss baab aik small candle banti hai, ye candle bearish ya bullish dono ho sakti hai. Pattern ki akhari candle aik bearish candle hoti hai, jiss k baad prices mumkina tawar par bullish trend de bearish trend main badal jati hai. Bullish aur bearish candle k darmeyan banne wali small star candle dono se upside par gap main banti hai.

      Click image for larger version

Name:	evening-star-1024 (1).jpg
Views:	5
Size:	55.8 کلوبائٹ
ID:	12415227

      Candles Formation


      Evening star candlestick pattern teen candles ka aik bearish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle bullish dosre small candle hoti hai, jo k bearish ya bullish dono ho sakti hai, jab k last par aik bari real body wali bearish candle hoti hai. Inn candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

      1. First Candle: Evening Star Candlestick Pattern ki pehlee candle aik strong bullish candle hotti hai, q k qeematen pehle se hi bullish trend main harkat kar rahee hotti hai, is waja se is candle ka bullish hona zarorri hai. Pehlee candle aik strong aur long bullish trend candle hotti hai, jis ka upper aur lower wick bohut chotta hotta hai.

      2. Second Candle: Evening Star Candlestick Pattern main dosree candle aik small real body wali candle hotti hai, ziadda tar ye candle Spinning top candle ya isi tarah se dosree candle hotti hai. Candle ka color zarorri nahi hai, lekin is ki position bohut ziadda aham hai, q k ye pehlee candle se upper side par gap main open aur close hotti hai. Dosree candle pehlee candle k shadow ko bhi touch nahi kartti hai. Ye candle bullush aur bearish dono tarah se ho saktti hai.


      3. Third Candle: Evening Star Candlestick Pattern ki teessri candle aik strong bearish candle hotti hai, jo k trend reversal ka kaam kartti hai. Ye candle bhi dosree candle se gap main down side par open ho kar lower par ja kar close hotti hai. Teesrri candle pehlee candle k real body k darmeyan se ziadda par close honi chaheye.


      Trading


      Morning star aur evening star candlestick patterns dono trend reversal pattern hen, iss waja se qeemten iss position se rebound hona shoro karti hai, lekin uss k leye kuch zarori conditions hen, jin ka hona zarori aur aham hai. Pehla ye k ye pattern prices k intehaye top ya bottom par banna chaheye, jo umoman indicator ls par overbought ya oversold zone hona chaheye. Dosra patterns par trading k leye trend confirmation candles ka hona zarori hai. Morning star pattern par buy ki entry aik bullish candle k baad hongi, jab k evening star pattern par trading se pehle bearish candle ka confirm hona zarori hai. Trend confirmation candles ka real body main bhi hona zarori hai, jab k pattern k trend k opposite direction k candles banne par pattern ka reaction invalid ho jata hai, jiss par trade entry se parhez karen. Stop Loss ka istemal zaror karen jo k loss se trades aur account ko mehfoz banata hai.

      Click image for larger version

Name:	images (2) (263).jpeg
Views:	1
Size:	18.2 کلوبائٹ
ID:	12415228

      اب آن لائن

      Working...
      X