Assalamu Alaikum Dosto!
Morning Doji-star Candlestick Pattern
Morning doji-star candlestick pattern prices chart par sellers ki market main dilchaspi khatam hone aur market ka buyers k hathon main jane ka aik strong bullish trend reversal pattern hai, jo teen candles par mushtamil hota hai. Ye pattern prices k bottom par ya low prices area main banta hai. Ye pattern teen candles ka hone ki waja se single candle pattern ya double candles patterns ki nisbat ziada picheeda aur dilshasp hota hai. Ye pattern wese single day candle aur two days candlestick ki nisbat price chart pat bohut kam dekhte hen, lekin un ki nisbat ye karkardagi main ziada reliable hote hen.
Candles Formation
Morning doji-star candlestick pattern ka shumar bhi bullish trend reversal pattern main hota hai, jo k prices k bottom ya bearish trend k baad banta hai. Morning doji-star candlestick pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Morning doji-star candlestick pattern ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k prices k sabeqa bearish trend ki alamat hoti hai. Ye candle color main black ya red hoti hai, jiss real body shadow ki nisbat ziada hota hai.
2. Second Candle: Morning doji-star candlestick pattern ki dosri candle aik bagher wali doji candle hoti hai, jo ziada tar doji-star candle hoti hai. Ye candle small upper aur lower shadow k sath hoti hai, aur ye candle pehli bearish candle k bottom par banti hai, jiss ka open aur close same point par hota hai.
3. Third Candle: Morning doji-star candlestick pattern ki teesri candle aik bullish candle banti hai, jo k sabeqa bearish trend ka khatema karke new bullish trend reversal ka sabab banti hai. Ye candle strong bullish candle hoti hai, jiss ka upper ya lower side par small wick ho sakti hai, lekin ye doji candle se above side par gap main banna chaheye.
Explanation
Morning doji-star candlestick pattern price chart k bottom par ya bearish trend k baad banta hai, jo k teen candles par mushtamil hota hai. Pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k prices k bearish ya bottom trend ki alamat hoti hai. Ye candle aik strong position par hoti hai, jo prices ko downward push karti hai. Pattern ki dosri candle aik bagher real body wali doji candle hoti hai, jo k ziada tar aik doji-star candle hoti hai. Ye candle pehli candle k bottom par banti hai, aur ye candle wese to yahan par neutral role play karti hai, lekin iss ka shumar aik bullish candle k tawar kia jata hai. Pattern ki akhari candle aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k top par banti hai. Ye candle bullish trend reversal ka kirdar ada karti hai.
Trading
Morning doji-star candlestick pattern prices k bottom par banne ki waja se bullish trend reversal k leye aik strong signal deta hai, jiss par traders market main buy ki entry kar sakte hen. Pattern par trading karne se pehle traders k leye aik confirmation candle ki zarorat pare gi. Ye confirmation candle real body main bullish bhi honi chaheye aur teesri bullish candle k top par close bhi honi chaheye. Pattern k baad bearish candle banne se pattern par trading loss ka bahis ban sakti hai. Jab k pattern ki confirmation CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se bottom par ya dosri candle k low price se two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим