Meeting line candlestick ang Bearish / Bullish Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Meeting line candlestick ang Bearish / Bullish Pattern
    Meeting line candlestick
    Meeting line candlestick patteren mein linon ka milna bilkul ahem nahi hai, yeh saada aur nayaab dono hai. blush meeting lines patteren mein sirf do mom batian shaamil hain : aik siyah aur aik safaid. Candlesticks ka yeh jora band honay par milta hai, yani doosri ( bulish ) candle ki band honay wali qeemat pehli ( bearish ) candle ki band honay wali qeemat ke barabar hai. taham, kyunkay blush meeting lines ka patteren dosray signals se milta jalta hai, jaisa ke hum zail mein baat karen ge, is ko talaash karna mushkil ho sakta hai, lehaza apna waqat nikalen aur tafseelaat par nazar rakhen.
    Click image for larger version

Name:	images.png
Views:	1
Size:	8.1 کلوبائٹ
ID:	12548383
    Bullish Meeting Line Pattern

    Bullish meeting line pattern jo k "Bearish Meeting Line pattern" k opposite direction main banta hai, two days candles par mushtamil hota hai. Ye pattern prices k bottom ya low price main banta hai, jo k bullish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Pattern dekhne main same "Bullish Belt-Hold Pattern" aur "Piercing Line Pattern" se mushabehat rakhta hai. Ye teeno patterns prices k leye bullish trend reversal pattern ka kaam karta hai, jab k ye pattern bearish continuation pattern "Bearish Thrusting Line Pattern" se bhi formation main melta hai, jo k bearish trend continuation pattern hai. Ye pattern bearish aur bullish candles se mel kar bana hai, jiss main bullish candle bearish candle se nechay gap main open hoti hai, lekin gap ka humen iss waja se clear pata nahi chalta q k ye gap bullish candle ki real body se cover hota hai.
    Click image for larger version

Name:	download.png
Views:	19
Size:	10.1 کلوبائٹ
ID:	12548384
    Bearish meeting line
    Ye scenario market k uptrend ma aksar chart par dekhny ko melta hai. Market pehle stong bullish long candle banati hai or market ko high drive karny ma kamyab ho jati hai. Phr second session ki candle market ko pehle further high ley jati hai but market close hony sy pehle market wapas ah jati hai or ye previous day ki candle ki closing point par close ho jati hai. How to recongize this pattern. Meeting line market k current trend ma nazar ati hain. Pehle candle ka jo color hota hai wo market k trend ko show karta hai. Second color ka jo color ho ga wo opppsite ho ga or dono candlestick ki closing price same ho gi. En lines ki ik nishani ye b hai k ye both long candles hon gi.
    Click image for larger version

Name:	download (1).png
Views:	12
Size:	9.0 کلوبائٹ
ID:	12548385
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bearish Meeting Line Candlestick Pattern
    Bearish meeting line candlestick pattern price chart par banne wala aik two days ka bearish trend reversal pattern hai, jo k high price area ya bullish trend k dowran banta hai. Pattern ki pehli candle bullish jab k dosri candle aik bearish candle hoti hai. Pattern ki dosri bearish candle k open price pehli candle se oopar gap main honi chahiye. Pattern ki dosri candle ka close price pehli candle k same closing price par hona chahiye, lekin iss k close price k ooper ya nechay nahi hona chaheye. Pattern ki dono candles real body main lazmi honi chaheye, jab k candles k shadow ka hona ya na hona zarori nahi hai. Dono candles k darmeyan banne wala gap dosri candle ki real body se cover hota hai, jiss ka normal chart par sahi andaza nahi hota hai.
    Candles Formation
    Bearish meeting line pattern market main prices par bullish ka asarat ko khatam karne ki koshash karte hen, jo k do candles ka aik trend reversal pattern hai. Pattern main candles k opening prices aik dosre k opposite hona aur closing price same hone se ye aik qisam ka unique pattern ban jata hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
    1. First Candle: Bearish meeting line pattern main shamil pehli candle bullish hoti hai, q k ye pattern aik bullish trend k akher main banta hai, to ye candle color main white ya green hoti hai. Ye candle aik strong real body main honi chaheye.
    2. Second Candle: Bearish meeting line pattern ki dosri candle bearish candle banti hai. Ye candle pehli candle se above gap main open ho kar ussi k closing price par close ho jati hai. Pattern ki ye candle aik black ya red color main hoti hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai.
    Explaination
    Bearish meeting line candlestick pattern two days candles ka trend reversal pattern hai, jiss main pehli candle aik normal bullish candle hoti hai, jo prices main bullish trend aur buying pressure zahir karti hai. Ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, jab k pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k pehli candle k top gap main open ho kar pehli candle k exact closing price k in-line close hoti hai. Ye candle market main selling control ko zahir karti hai, jo prices k sabeqa trend k khatemay par banta hai. Ye pattern dekhne aur candles ki formation same bearish belt-hold line candlestick pattern ki tarah hota hai, aur dono same bearish trend reversal k leye istemal hote hen, lekin dosri candle ki thori si tabdeeli ki waja se dono aik dosre se mukhtalef bante hen.
    Trading
    Bearish meeting line candlestick pattern prices k top par banne ki waja se market main sellers ziada active ho jate hen. Pattern ki dosri candle prices ko bullish trend k leye resistance zone banati hai, jiss k baad prices teezi k sath downfall karti hai. Pattern par trade enter karne se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jiss ka open price apne close price k ooper hona chaheye aur dosri candle k lower par close honi chaheye. Lekin agar confirmation candle ki jagah agar bullish candle banti hai, to ye pattern invalid ho kayega, jiss par trade entry nahi karni chaheye. Indicators par value lazmi overbought zone main honi chaheye, jiss ki confirmation lazmi hai. Stop Loss pattern k sab se top position jo k dosri candle ka high price banta hai, se two pips above set karen.

    اب آن لائن

    Working...
    X